aHbaab urdubandhan
Adaab
ek t^arHee ghazal lekar aap kee a'daalat maeN Haz^ri hooN. aapni raaye se aagaah farmaayeN
nawazish hogee.
[align=center]naye rind haiN nayaa maikadah nayee botaloN maeN sharaab hai
abhi dastras maeN nah aayegaa abhi bahkaa bahkaaa shabaab hai
nah woh ulfateN nah woh chaahateN nah woh unsopyaar kaa baab hai
huyee talf saaree riwaayateN yeh jadeediyat kaa neSaab hai
mere hamnasheeN zara soch to keh yeh kaisaa teraa Hesaab hai
mujhe khaar hee hai milaa wahaN jahaN shaakh shaakh gulaab hai
kaheeN ranj o gham kaheeN HasrateN kaheen yaasodukh kee riwayten
jise paRh rahaa hai too shouq se meree zindagee kee kitaab hai
meree usse itnee hai rasm o rah nah mile naZar nah khule hai lab
:nah kalaam hai nah payaam hai nah sawaal hai nah jawaab hai
abhee our nikhre gaa range roo abhee khushboo phailegee koo ba koo
jo mere lahoo se paTee zameeN yeh usee chaman ka gulaab hai
mere hamnasheeN ko hai sab khabar keh hai chhalnee chhalnee mera jigar
pah woh kiyaa kare keh sawaar us pa to beHesee ka a'zaab hai
yahee iltijaae kiye phir rahaa hai har aek se "Naiyer"e benawaa
kabhee toRyo nah subue gham keh isee maeN haaN maey naab hai.[/align]
kalaam:Khurshidul Hasan Naiyer
naye rind haiN nayaa maikadah nayee botaloN maeN sharaab hai
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 96
- Joined: Thu Mar 20, 2008 8:23 am
naye rind haiN nayaa maikadah nayee botaloN maeN sharaab hai
Last edited by Khurshidul Hasan Naiyer on Fri May 02, 2008 6:26 pm, edited 1 time in total.
-
- -
- Posts: 96
- Joined: Thu Mar 20, 2008 8:23 am