miSra'-e-t^arH GuZaarish#40 1/05/08 pesh-e-khidmat hai.

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

miSra'-e-t^arH GuZaarish#40 1/05/08 pesh-e-khidmat hai.

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]Yaaraan-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat! :rose

Ummeed hai sabhee dost baakheriyat hooN ge. GuZaarish#40 mah-e-rawaaN 1/05/08 ke liye t^arHee miSra' pesh-e-khidmat hai. jise kuliyaat-e-Saif-ud-Deen Saif marHoom se muntakhib kiyaa geyaa hai. mulaHiZ^ah farmaeeiye.

!!!~~~~~~~~miree daastaan-e-Hasrat woh sunaa sunaa ke roo'Y~~~~~~~~!!!


Sadr-e-mushae'irah janaab-e-Abdullah Nazir SaaHib.


Quwaafee: sunaa, bujhaa, dabaa, chupaa, khudaa, waGhaerah.
radeef: ke roo'Y.

beHer: is beHer ko beHer-e-ramal mucamman mashkool kehte haiN. ya'nee beHer-e-ramal kee woh aaTh rukanee shakl jis meN mashkool Zahaaf :fa e' laat: istema'aal kiyaa jataa hai.

afaai'l= fa e' laat.........faa e' laa tun........fa e' laat........faa e' laa tun
=1121..........2122..........1121.........2122
=///0/........./0//0/0..........///0/............/0//0/0


Qawee ummeed hai guzashtah mushae'rah kee t^arH is mushae'rah ko bhee dost apne kalam se kaamyaab bana deeN ge. aor apnee dilkash Ghazaliyaat se mustafeed hone kaa maqa' haath s nah jaane deeN ge.


Wassalam
mutamannee-e-shirkat
intezaamiyah Urdubandhan.
[/align]
Post Reply