Ghazal -- mumkin nahiN hay rokni yalghaar e media

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Ghazal -- mumkin nahiN hay rokni yalghaar e media

Post by Sohail Malik »

[align=right]عزیز دوستو
آپ کی خدمت میں ایک غیر روایتی غزل لے کر حاضر ہوا ہوں
اس غزل میں عام بول چال میں استعمال ہونے والےانگریزی اور اردو کےچند ایسے الفاظ آے ہیں جو غزل کے لیٔے غیر معروف ہونے کی وجہ سے آپ کو اجنبی ضرور لگیں گے لیکن ذرا فکر کیجیٔے کہ کیا وہ اپنی نشست میں اپنا کام ٹھیک سے کر رہے ہیں۔ کیا ان کے بغیر ادایگی ءِ مفہوم ممکن تھی۔ اور کیا اِن الفاظ کے استعمال سے شاعری کی خوبصورتی مجروح ہؤی ہے اور اگر ہاں تو کیسے

ان الفاظ کے استعمال کے علاوہ جو دوسرا تجربہ کیا ہے وہ اردو الفاظ کی فارسی کے طریقے سے انگریزی لفظ کے ساتھ ترکیب بنانے کا ہے ۔ یہ آپ کو کیسا لگا اِس پر بھی ضرور روشنی ڈالیے

آُپ کے بے لاگ تبصرے کا منتظر

سہیل ملک
[/align]
Attachments
Media.gif
Media.gif (25.52 KiB) Viewed 843 times
Last edited by Sohail Malik on Thu May 15, 2008 7:03 pm, edited 1 time in total.
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Sohail bhai,

Zabardast,

aap jaante hi heN hameN usi zuban meN baat karne ko tarjeeH daine chahhiaye jo dosroN ko samajh aati hai. mushkil ashaar likh kar baRa shair to banaa jaa sakti hai. laikin shayed mufeed shair nahi. aap ki ghazal mujhe bohat pasand aaii- jo ba maqSad bhi hai His e jaamal ki bhook bhi miTaati hai.

aap k Hukm par aek do batoN ki nishandahi karnaa chahhooN ga. agar koi aap k leeaye faaidaa mand caabit hoee to mairi khusqismati hogi.

4. GustaakhiaN ki jagaa Seegha waaHid zydaa behtar rahy ga.
5. kartaa muaasharay ke hai naasoor sab ayaaN
7. Khachar khapta huwa nahi lag rahaa.
8. mujhe >>>>>>>>>>rahi
9. lafz zara kuch bhalaa nahi laga. magar>hooN meN aor zara>magar.
10. kaheeN > koi (kahaaN aor kaheeN ki takraar se bachne ke leeaye)

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Post by Sohail Malik »

Sohail bhai,

Zabardast,

aap jaante hi heN hameN usi zuban meN baat karne ko tarjeeH daine chahhiaye jo dosroN ko samajh aati hai. mushkil ashaar likh kar baRa shair to banaa jaa sakti hai. laikin shayed mufeed shair nahi. aap ki ghazal mujhe bohat pasand aaii- jo ba maqSad bhi hai His e jaamal ki bhook bhi miTaati hai.

daad ka shukria

maiN nay hamaisha baa maqSad shaeri kay haq maiN hi baat ki hay aur is baat per maiN aap say hamaisha mutaffiq rahaa huN

aap k Hukm par aek do batoN ki nishandahi karnaa chahhooN ga. agar koi aap k leeaye faaidaa mand caabit hoee to mairi khusqismati hogi.

4. GustaakhiaN ki jagaa Seegha waaHid zydaa behtar rahy ga.
5. kartaa muaasharay ke hai naasoor sab ayaaN
7. Khachar khapta huwa nahi lag rahaa.
8. mujhe >>>>>>>>>>rahi
9. lafz zara kuch bhalaa nahi laga. magar>hooN meN aor zara>magar.
10. kaheeN > koi (kahaaN aor kaheeN ki takraar se bachne ke leeaye)

aap ki kuch tajaweez to maiN nay juN ki tuN ikhtiaar ker li haiN aur kuch say rehnumaee li hay.

khachchar kiuN nahiN khapa ? is becharay jaanwar ka kia quSur hay. agar kargas khap sakta hay to kawwa kiuN nahiN.

daraSl yeh istemaal maiN nay kia hi issi baat ko ayyaN kernay kay liay hay keh sirf english hi nahiN balkeh urdu kay bhi kaee alfaaz ghazal maiN namaanus lagtay haiN. laikin baat yeh hay keh agar kissi khayaal ki adaegi ussi lafz say ho paey to phir jhijhikna nahiN chahihay.

issi sher maiN tajrubaati tour per aik muhawera istemaal kia hay jis per aap nay roshnee naheeN Daali:

' tarbo lagaana '

tarbo agarcheh english ka lafz hay laikin tarbo lagaana aik urdu muhaawera hay aur roz merra bol chaal maiN aam istemaal ho raha hay. jo khayaal yeh muhawera bayaan ker raha hay us ka hu bahu mutabaadil dastyaab nahiN.

is muhaaweray ko lughat tek pohanchnay maiN kuch waqt lagay ga laikin aaj logoN ki akCeriet issay pehchananay maiN shaed koee mushkil mehsus nah keray.

duaoN maiN yaad rekhiay

sohail malik
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Sohail bhai,

mujhe to turbo lagaana bilkul theek hai lagaa hai. kyooN k yahaaN kuch oar nahi lag saktaa [:)]

mukhliS
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
dilshadnazmi
-
-
Posts: 24
Joined: Sat Dec 31, 2005 9:41 pm
Location: jubail.ksa
Contact:

Re: Ghazal -- mumkin nahiN hay rokni yalghaar e media

Post by dilshadnazmi »

Sohail Malik wrote:[align=right]عزیز دوستو
آپ کی خدمت میں ایک غیر روایتی غزل لے کر حاضر ہوا ہوں
اس غزل میں عام بول چال میں استعمال ہونے والےانگریزی اور اردو کےچند ایسے الفاظ آے ہیں جو غزل کے لیٔے غیر معروف ہونے کی وجہ سے آپ کو اجنبی ضرور لگیں گے لیکن ذرا فکر کیجیٔے کہ کیا وہ اپنی نشست میں اپنا کام ٹھیک سے کر رہے ہیں۔ کیا ان کے بغیر ادایگی ءِ مفہوم ممکن تھی۔ اور کیا اِن الفاظ کے استعمال سے شاعری کی خوبصورتی مجروح ہؤی ہے اور اگر ہاں تو کیسے

ان الفاظ کے استعمال کے علاوہ جو دوسرا تجربہ کیا ہے وہ اردو الفاظ کی فارسی کے طریقے سے انگریزی لفظ کے ساتھ ترکیب بنانے کا ہے ۔ یہ آپ کو کیسا لگا اِس پر بھی ضرور روشنی ڈالیے

آُپ کے بے لاگ تبصرے کا منتظر

سہیل ملک
[/align]

;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;

sohail bhai ,
salam _o-alaekum ,

koi mane ya na mane , mujhe tou aap ki ye naeei tarz ki kawish bahot khoob lagi , haqeeqat ka izhaar bad>he behtar tareeqey se kiya hai aap ne , tajubey hone chahiye , aur main aap ka hami hoon , iss zimn me , gazal sirf mahboob ke zulf_o_rukhsaar aur uske ashwey ghamzey bayan karne ka naam nahi hai , balke aaj ki gazal zindagi ke har kisi shoabey ki haqeeqat ki ak_kasi karti nazr aati hai , mujhe ye ehtemaal hai ke ...kuch khaas ahebab iss par naak monh chad>haeingey , magar parwah mat kijiye . tajruba aap ka ach_cha hai , aur main aap ke iss tajurubey ki taa_eed me hoon ,

mubarak baad qabool karein ,
mukhlis
dilshadnazmi
dilshadnazmi.jubail.ksa
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Re: Ghazal -- mumkin nahiN hay rokni yalghaar e media

Post by Sohail Malik »

dilshadnazmi wrote:

Dilshaad bhaee salaam!

aap nay meri is koshish ko saraahaa jis kay liay maiN aap ka mamnun huN.

aap kay khayaalaat jaan ker mujhay khushi huee hay, yaqeenan aaj ki zaruriaat kay mutaabiq munasib tabdeliaN shaeri kay baqaa kay liay naguzeer haiN wagarnah woh haqeeqt say dur hotay hotay madum ho jaey gi.

rehi baat aqdaar per sakhti say karband logoN kay khayalaat ki to mujhay un ki raey ka bhi ehteraam hay aur un ki nek nieti per koee shubah bhi nahiN hay, laikin chunkeh mujhay infiraadi tour per apni raey kay izhaar ka haq haaSil hay aur apnay tarz per khayaalaat ko shaeri ka libaada dainay ka bhi so mairay liay tanqeed koee masala nahiN. maiN aisay mawaqay per do mukhtalif aaraa kay baqaey bahami ka qael huN aur is baat ka bhi keh aisay maiN Saheeh ya ghalat ka faiSla waqt khud hi ker laita hay.

duaoN maiN yaad rakhiay

khair andesh

sohail malik
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: Ghazal -- mumkin nahiN hay rokni yalghaar e media

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Biradaram Sohail malik SaaHib taslemaat!

kese mizaaj haiN ummeed hai kheriyat se hooN ge.
meHfil meN tashreef laane aor itnee khubSurat nazm a't^aa karne par mamnoon-e-eHsaan hooN. mujhe aap kaa andaaz-e-teHreer dil-o-jaan se pasand hai. aap ne baRe kam waqt meN zabaan-o-bayaan par dastaras HaaSil kee hai. khuSuSa" aozaan ke aa'tebaar se aap kee kawish qaabil-e-daad hai. is ke e'lawah tarakeeb-o-iste'are bhee dil khenchte haiN. Waah!

khubSurat naz^m par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

Muzaffar A Muzaffar
User avatar
Anmol
-
-
Posts: 139
Joined: Sat Dec 11, 2004 9:32 pm
Location: California
Contact:

Re: Ghazal -- mumkin nahiN hay rokni yalghaar e media

Post by Anmol »

Sohail SaaHib, aadaab!

aap ki ye munfarid si ghazal mujhe pasand aayi. aap ne bilkul sachchi aur khari baateN kahi haiN.

daad qubool kijiye!

Anmol
My Poetry Website>> http://www.tanhaa.net/anmol

A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
Post Reply