muHabbat phir us kaa bayaaN? Allah! Allah!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

muHabbat phir us kaa bayaaN? Allah! Allah!

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-bazm: tasleemaat!

ek Ghazal pesh kar rahaa hooN. ziyaadah puraanee naheeN hai (2003 kee hai) lekin hai chhoTee beHr kee. apne raaYe se nawaaziYe. shukriyah!

Sarwar A. Raz :Sarwar:
================================
GHAZAL

muHabbat, phir us kaa bayaaN? Allah! Allah!
zameeN ho gayee aasmaaN! Allah! Allah!

huyee aarzoo phir jawaaN! Allah! Allah!
koyee ho gayaa mehrbaaN! Allah! Allah!

sar-e-t^oor-e-i'rfaaN yeh t^oofaan-e-Hairat!
Hijaabaat-e-kaun-o-makaaN! Allah! Allah!

bhalaa kis t^araH miltee manzil Khudee kee?
Sanam-Khaanah-e-een-o-aaN! Allah! Allah!

nah meraa gulistaaN, nah meree Khudaayee
magar hai Gham-e-aashiyaaN! Alaah! Allah!

zamaaneh kee yeh karwaTeN? taubah! taubah!
muHabbat kee yeh daastaaN! Allah! Allah!

use DhooNDte DhooNDte kho gayaa maiN
saraab-e-yaqeen-o-gumaaN! Allah! Allah!

Khudaa ban gayee meree yeh Khud-parastee!
huwaa jab maiN Khud par a'yaaN! Allah! Allah!

tamannaa, Gham-e-bekasee, naa-muraadee!
maqaamaat-e-aah-o-fuGhaaN! Allah! Allah!

magar zindah hai chaar-o-naachaar :Sarwar:!
taqaaZ^aa-e-daur-e-jahaaN! Allah! Allah!

==================================
Attachments
ghazal.gif
ghazal.gif (18.13 KiB) Viewed 191 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: muHabbat phir us kaa bayaaN? Allah! Allah!

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

--------------------------------------------------------------------------------
moHtaram Sarwar SaaHib tasleemaat!

Aap kee Ghazal naz^ar afrooz huee. kiyaa kehne dilkash tarakeeb, khubSurat bandisheeN, aor HaseeN ista'aare sabhee kuch to hai is Ghazal meN. so dil khush ho geyaa.


muHabbat, phir us kaa bayaaN? Allah! Allah!
zameeN ho gayee aasmaaN! Allah! Allah!

Waah!

huyee aarzoo phir jawaaN! Allah! Allah!
koyee ho gayaa mehrbaaN! Allah! Allah!

Kiya kehne waah!

sar-e-t^oor-e-i'rfaaN yeh t^oofaan-e-Hairat!
Hijaabaat-e-kaun-o-makaaN! Allah! Allah!

Bohot khoob!

bhalaa kis t^araH miltee manzil Khudee kee?
Sanam-Khaanah-e-een-o-aaN! Allah! Allah!

Bohot khoob Waah Waah!

nah meraa gulistaaN, nah meree Khudaayee
magar hai Gham-e-aashiyaaN! Alaah! Allah!

Waah Waah!

zamaaneh kee yeh karwaTeN? taubah! taubah!
muHabbat kee yeh daastaaN! Allah! Allah!

Waah Waah!

use DhooNDte DhooNDte kho gayaa maiN
saraab-e-yaqeen-o-gumaaN! Allah! Allah!

Waah Waah!

Khudaa ban gayee meree yeh Khud-parastee!
huwaa jab maiN Khud par a'yaaN! Allah! Allah!

Kiya kehne waah!

tamannaa, Gham-e-bekasee, naa-muraadee!
maqaamaat-e-aah-o-fuGhaaN! Allah! Allah!

Bohot khoob!

magar zindah hai chaar-o-naachaar :Sarwar:!
taqaaZ^aa-e-daur-o-jahaaN! Allah! Allah!

Bohot khoob Waah! Waah!

meree jaanib se dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Khurshidul Hasan Naiyer
-
-
Posts: 96
Joined: Thu Mar 20, 2008 8:23 am

Re: muHabbat phir us kaa bayaaN? Allah! Allah!

Post by Khurshidul Hasan Naiyer »

qabile iHtaraam Jb Sarwar Raz Sb

aap kee chhotee baHr kee Ghazal paRh rahaa hooN or mazah lerahaa hooN. khoob kahee aapne. daad lekar Haaz^ir hooN. aap kee GhazloN ko baar paRhne ko jee chhahtaa or har baar lut^f meiN ez^aafah hotaa jaataa hai. kiyaa baat hai Allah! Allah!

muHabbat, phir us kaa bayaaN? Allah! Allah!
zameeN ho gayee aasmaaN! Allah! Allah!

bahut khoob

huyee aarzoo phir jawaaN! Allah! Allah!
koyee ho gayaa mehrbaaN! Allah! Allah!

waah! waah!

sar-e-t^oor-e-i'rfaaN yeh t^oofaan-e-Hairat!
Hijaabaat-e-kaun-o-makaaN! Allah! Allah!

Bohot khoob!

bhalaa kis t^araH miltee manzil Khudee kee?
Sanam-Khaanah-e-een-o-aaN! Allah! Allah!

Bohot achhaa

nah meraa gulistaaN, nah meree Khudaayee
magar hai Gham-e-aashiyaaN! Alaah! Allah!

Waah Waah!

zamaaneh kee yeh karwaTeN? taubah! taubah!
muHabbat kee yeh daastaaN! Allah! Allah!

Waah Waah!

use DhooNDte DhooNDte kho gayaa maiN
saraab-e-yaqeen-o-gumaaN! Allah! Allah!

khoob janab kiya kahaa hai aapne!

Khudaa ban gayee meree yeh Khud-parastee!
huwaa jab maiN Khud par a'yaaN! Allah! Allah!

waah!

tamannaa, Gham-e-bekasee, naa-muraadee!
maqaamaat-e-aah-o-fuGhaaN! Allah! Allah!

Bohot khoob!

magar zindah hai chaar-o-naachaar :Sarwar:!
taqaaZ^aa-e-daur-e-jahaaN! Allah! Allah! (yeh misra urdu mein "daur-e-jahaaN"ke sath hai jo yaqeenan typo hai jis ko maiN bilaa aap kee ijaazat ke o ko e se badal diya hai)

Waah! Waah!

daad qubool ho to i'naayat.

t^aalibe dua'aa

Khurshiul H. Naiyer
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: muHabbat phir us kaa bayaaN? Allah! Allah!

Post by Sarwar A. Raz »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:--------------------------------------------------------------------------------
moHtaram Sarwar SaaHib tasleemaat!

Aap kee Ghazal naz^ar afrooz huee. kiyaa kehne dilkash tarakeeb, khubSurat bandisheeN, aor HaseeN ista'aare sabhee kuch to hai is Ghazal meN. so dil khush ho geyaa.


muHabbat, phir us kaa bayaaN? Allah! Allah!
zameeN ho gayee aasmaaN! Allah! Allah!

Waah!

huyee aarzoo phir jawaaN! Allah! Allah!
koyee ho gayaa mehrbaaN! Allah! Allah!

Kiya kehne waah!

sar-e-t^oor-e-i'rfaaN yeh t^oofaan-e-Hairat!
Hijaabaat-e-kaun-o-makaaN! Allah! Allah!

Bohot khoob!

bhalaa kis t^araH miltee manzil Khudee kee?
Sanam-Khaanah-e-een-o-aaN! Allah! Allah!

Bohot khoob Waah Waah!

nah meraa gulistaaN, nah meree Khudaayee
magar hai Gham-e-aashiyaaN! Alaah! Allah!

Waah Waah!

zamaaneh kee yeh karwaTeN? taubah! taubah!
muHabbat kee yeh daastaaN! Allah! Allah!

Waah Waah!

use DhooNDte DhooNDte kho gayaa maiN
saraab-e-yaqeen-o-gumaaN! Allah! Allah!

Waah Waah!

Khudaa ban gayee meree yeh Khud-parastee!
huwaa jab maiN Khud par a'yaaN! Allah! Allah!

Kiya kehne waah!

tamannaa, Gham-e-bekasee, naa-muraadee!
maqaamaat-e-aah-o-fuGhaaN! Allah! Allah!

Bohot khoob!

magar zindah hai chaar-o-naachaar :Sarwar:!
taqaaZ^aa-e-daur-o-jahaaN! Allah! Allah!

Bohot khoob Waah! Waah!

meree jaanib se dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
muKarram-e-bandha janaab Muzaffar SaaHeb:aadaab!

aap kee nawaazish hai keh Ghazal ko daad-o-sitaayish se surKhroo kiyaa. waqt aur Haalaat ke saath ab she'r-goyee :ba-qadr-e-baadaam: ho kar reh gayee hai. kabhee maheeneh meN kayee kayee GhazleN ho jaatee theeN aur ab maheenoN meN ek hotee hai!

inqilaabaat haiN zamaaneh ke!

lekin koyee shikaayat naheeN hai. aaj kal apne chauthe she'ree majmoo,e'h kee tehZeeb meN maSroof hooN jo shaayad aaKhiree bhee ho gaa. dekhiYe kyaa bantaa hai. aap kee i'zzat-afzaayee kaa shukriyah!

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: muHabbat phir us kaa bayaaN? Allah! Allah!

Post by Sarwar A. Raz »

Khurshidul Hasan Naiyer wrote:qabile iHtaraam Jb Sarwar Raz Sb

aap kee chhotee baHr kee Ghazal paRh rahaa hooN or mazah lerahaa hooN. khoob kahee aapne. daad lekar Haaz^ir hooN. aap kee GhazloN ko baar paRhne ko jee chhahtaa or har baar lut^f meiN ez^aafah hotaa jaataa hai. kiyaa baat hai Allah! Allah!

muHabbat, phir us kaa bayaaN? Allah! Allah!
zameeN ho gayee aasmaaN! Allah! Allah!

bahut khoob

huyee aarzoo phir jawaaN! Allah! Allah!
koyee ho gayaa mehrbaaN! Allah! Allah!

waah! waah!

sar-e-t^oor-e-i'rfaaN yeh t^oofaan-e-Hairat!
Hijaabaat-e-kaun-o-makaaN! Allah! Allah!

Bohot khoob!

bhalaa kis t^araH miltee manzil Khudee kee?
Sanam-Khaanah-e-een-o-aaN! Allah! Allah!

Bohot achhaa

nah meraa gulistaaN, nah meree Khudaayee
magar hai Gham-e-aashiyaaN! Alaah! Allah!

Waah Waah!

zamaaneh kee yeh karwaTeN? taubah! taubah!
muHabbat kee yeh daastaaN! Allah! Allah!

Waah Waah!

use DhooNDte DhooNDte kho gayaa maiN
saraab-e-yaqeen-o-gumaaN! Allah! Allah!

khoob janab kiya kahaa hai aapne!

Khudaa ban gayee meree yeh Khud-parastee!
huwaa jab maiN Khud par a'yaaN! Allah! Allah!

waah!

tamannaa, Gham-e-bekasee, naa-muraadee!
maqaamaat-e-aah-o-fuGhaaN! Allah! Allah!

Bohot khoob!

magar zindah hai chaar-o-naachaar :Sarwar:!
taqaaZ^aa-e-daur-e-jahaaN! Allah! Allah! (yeh misra urdu mein "daur-e-jahaaN"ke sath hai jo yaqeenan typo hai jis ko maiN bilaa aap kee ijaazat ke o ko e se badal diya hai)

Waah! Waah!

daad qubool ho to i'naayat.

t^aalibe dua'aa

Khurshiul H. Naiyer
muHibbee Khurshid SaaHeb: aadaab!

Ghazal kee pazeeraayee aur daad ke liYe mamnoon hooN. Urdu meN kisee kaa shukriyah adaa karnaa ho to us ke liYe alfaaz^ bohat meHdood haiN. is meN kuchh jiddat kee Z^aroorat meHsoos hotee hai!

yeh Ghazal mujh ko kehte waqt achhee lagee thee aur ab paRhte waqt bhee achhaa meHsoos kartaa hooN! phir jab aap jaise suKhan-shanaas dost daad dete haiN to yeh Khushee do-baalaa ho jaatee hai!

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: muHabbat phir us kaa bayaaN? Allah! Allah!

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Sarwar Raz wrote:
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:--------------------------------------------------------------------------------
moHtaram Sarwar SaaHib tasleemaat!

Aap kee Ghazal naz^ar afrooz huee. kiyaa kehne dilkash tarakeeb, khubSurat bandisheeN, aor HaseeN ista'aare sabhee kuch to hai is Ghazal meN. so dil khush ho geyaa.


muHabbat, phir us kaa bayaaN? Allah! Allah!
zameeN ho gayee aasmaaN! Allah! Allah!

Waah!

huyee aarzoo phir jawaaN! Allah! Allah!
koyee ho gayaa mehrbaaN! Allah! Allah!

Kiya kehne waah!

sar-e-t^oor-e-i'rfaaN yeh t^oofaan-e-Hairat!
Hijaabaat-e-kaun-o-makaaN! Allah! Allah!

Bohot khoob!

bhalaa kis t^araH miltee manzil Khudee kee?
Sanam-Khaanah-e-een-o-aaN! Allah! Allah!

Bohot khoob Waah Waah!

nah meraa gulistaaN, nah meree Khudaayee
magar hai Gham-e-aashiyaaN! Alaah! Allah!

Waah Waah!

zamaaneh kee yeh karwaTeN? taubah! taubah!
muHabbat kee yeh daastaaN! Allah! Allah!

Waah Waah!

use DhooNDte DhooNDte kho gayaa maiN
saraab-e-yaqeen-o-gumaaN! Allah! Allah!

Waah Waah!

Khudaa ban gayee meree yeh Khud-parastee!
huwaa jab maiN Khud par a'yaaN! Allah! Allah!

Kiya kehne waah!

tamannaa, Gham-e-bekasee, naa-muraadee!
maqaamaat-e-aah-o-fuGhaaN! Allah! Allah!

Bohot khoob!

magar zindah hai chaar-o-naachaar :Sarwar:!
taqaaZ^aa-e-daur-o-jahaaN! Allah! Allah!

Bohot khoob Waah! Waah!

meree jaanib se dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
muKarram-e-bandha janaab Muzaffar SaaHeb:aadaab!

aap kee nawaazish hai keh Ghazal ko daad-o-sitaayish se surKhroo kiyaa. waqt aur Haalaat ke saath ab she'r-goyee :ba-qadr-e-baadaam: ho kar reh gayee hai. kabhee maheeneh meN kayee kayee GhazleN ho jaatee theeN aur ab maheenoN meN ek hotee hai!

inqilaabaat haiN zamaaneh ke!

lekin koyee shikaayat naheeN hai. aaj kal apne chauthe she'ree majmoo,e'h kee tehZeeb meN maSroof hooN jo shaayad aaKhiree bhee ho gaa. dekhiYe kyaa bantaa hai. aap kee i'zzat-afzaayee kaa shukriyah!

Sarwar A. Raz :Sarwar:
janab Sarwar A'alam Raz Sarwar SaaHib tasleemaat!

U'mr ke saath saath she'er gaoee meN kamee hotee hai. yeh fit^ree cheez hai. naojawanee meN to gaoyaa she'er-o-naGhmah kaa aek saelaab hotaa hai. phir jawaanee aor azaaN ba'd u'mr kee dusree manazil......lekin darHaqeeqat is kaa aSal ta'aluq ya'nee she'er gaoee meN kamee beshee kaa cabab to dilee waardaat se hai. dil jab maaei'l bah karam huwaa. wahaaN dil-o-damaaGh she'er gaoee par aamadah hone laga. :-)

khuda nah kare keh yeh deewaan jis kee aap taiyaaree kar rahe haiN aap kaa aakhree dewaan caabet ho Allah kare keh aap ka yeh she'eree silsilah qaai'm-o-daaei'm rahe. aor Allah aap ko daraaz-e-u'mr se nawaze! Aameen!

khush raheeN
wassalam
Muzaffar
Post Reply