::miri dastaan.e.Hasrat voh suna suna kay roye::....FarHan

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

::miri dastaan.e.Hasrat voh suna suna kay roye::....FarHan

Post by farhan »

apni ik tazah TaraHi ghazal aap aHbaab ki nazr karta hooN. mulaHayzah kijea.

1}
rah.e.zindagii meiN akcer, gam utha utha kay roye.
sabhi naQsh.e.arzoo dil say mita mita kay roye.

2}
kabhi raaz dil kay kholo, kabhi yaar hum say bolo.
hai tumheeN yeh rooG kaisa,k hameeN haNsa kay roye.

3}
kai dil jalooN say poocha, maiN nay aashiQee ka maTlab.
jo haiN daaG apnay dil meiN, voh dikha dikha kay roye.

4}
k dukhi hum iss Qadar thay, jo kisi nay Haal poocha.
usi ajnabi maseeHa ko gale laga kay roye.

5}
tira ae! Saba karam ho, unheeN ja k yeh Khabar day.
na uThi yeh soyee Qismat, k jaGa jaGa kay roye.

6}
youN bujha bujha sa chehra, liye nama.bar voh louTa.
jo umeed ka diya tha, hum usay bujha kay roye.

7}
na Khabar thi aashiQee meiN, yeh bhi din naSeeb hoga.
gira aasmaan sar per, hum usay uTha kay roye.

8}
maiN bikhar gaya hawaooN meiN, luTa kay apni Khushboo.
voh mire wajood kay TukRe uTha uTha kay roye.

9}
jab uTha mira janazah, mire yaar dostooN ko.
::miri dastaan.e.Hasrat voh suna suna kay roye::

10}
k tire gali meiN hum ko, na hua naSeeb madfan.
shab.o.rooz dil say apnay, yahi Gam laga kay roye.

11}
yeh kasak baRi ajab hai, Gam.e.aashiQee ki farHan!
kabhi roo kay muskhuaye, kabhi muskura kay roye.

Talib.e.Dua.

FarHan Aziiz!
Attachments
miri.dastaan.e.hasrat.voh.suna.suna.kay.roye.B01.gif
miri.dastaan.e.hasrat.voh.suna.suna.kay.roye.B01.gif (16.57 KiB) Viewed 1072 times
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Farhan bhai,

roz hooN aap ki dua-oN meN
ab mujhe ye yaqeen hotaa hai.

chaliaye aate heN aap ki ghazal ki taraf,

1}
rah.e.zindagii meiN akcer, gam utha utha kay roye.
sabhi naQsh.e.arzoo dil say mita mita kay roye.---------------------------------------------------------khayaal bohat saada hai.

doosra miSra bebeHr lag rahaa hai.

2}
kabhi raaz dil kay kholo, kabhi yaar hum say bolo.
hai tumheeN yeh rooG kaisa,k hameeN haNsa kay roye.------------------------------------------------hmm

mujhe khoo, tumheN oar royee meN koi ham aaHangi meHsoos nahi ho rahi.

kabhi raaz na dil kholaa, kabhi woh huway no goyaa
hai unheN ye rog kaisa, ke hemeN hanSa ke royee.

ya is jaisa kuch oar?

3}
kai dil jalooN say poocha, maiN nay aashiQee ka maTlab.
jo haiN daaG apnay dil meiN, voh dikha dikha kay roye.---------------------------------------khoob

apne kiss oar taraf lay jaataa hai. daagh dil meN se daagh dil ke kuch zydaa bethar meHsoos hotaa hai.

kai dil jaloN se poocha......................................
jo the daagh unke dil ke,................................

ya

woh bhi daagh apne dil ke, the dikhaa...................

ya kuch aor jo aap ko bethar lagay.

4}
k dukhi hum iss Qadar thay, jo kisi nay Haal poocha.
usi ajnabi maseeHa ko gale laga kay roye.---------------------------------------------------khoob.

k shroo meN to bilkul achhchaa nahi laga ( mujhe) is taraH bhi ho saktaa hai

the dukhi ham iss qadar ke, jo kisi ne Haal ne poocha
usi.................

5}
tira ae! Saba karam ho, unheeN ja k yeh Khabar day.
na uThi yeh soyee Qismat, k jaGa jaGa kay roye.-------------------------------------------------khyaal khoob ast

tairi meHrabani ho gi, tu Sabaa jo un se keh day
na uThi ye soyee qismat, woh jagaa jagaa ke roye.

mujhe koi bulaa raha hai agar waqt milaa to baaqi baat phir ho gi. maazirat chaahtaa hooN.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Post by farhan »

muhammad_19k wrote:Farhan bhai,

Khawar Bhai,,,

Salaam o RaHmat,,,

ummid hai mizaaj.girami ba.khair hoNge.

1) Khiyaal yaQeenan saadah hai.aityaraaf karata hooN. aap nay likha{doosra miSra bebeHr lag rahaa hai.} mujhay to nahin laga. bara.e.mahrbani nashaandahi farmayeN to mamnoon rahoonga.

2){kabhi raaz na dil kholaa, kabhi woh huway no goyaa}
sub say pehlay to yeh k aap ka tajweez kardah miSrA bay behr hai. taQTeeA kar kay deekh lijeaga. dosarye{khola},{huway}{roye}is in maiN aap ko hum.aahangi lag rahi hai??

3)dil meiN agar daaG hoNgey to kiya voh dil kay daaG nahi hue.

4) k say miSrA shuru nahin karna chahiyea. lakin bahut ghour karnay kay baad bhi mujhey yahi surat munasib lagi. aap ki raye per bhi ghour kar raha hooN. munasib tajweez hai. shukirya!!!

5) Bhai!! mayray shair meiN kiya kharabi hai. aap kay tajweez kardah shair kay pehla miSrA meiN shariyat to bilkul bhi nahin. ik seedha saadha bhola bhala jumla hai. aur bus!

aap ki muHabbatooN aur eenayatooN kay liye mamnoon hooN.
Talib.e.dua

FarHan Aziiz
Khurshidul Hasan Naiyer
-
-
Posts: 96
Joined: Thu Mar 20, 2008 8:23 am

Post by Khurshidul Hasan Naiyer »

muHtaram jb. FarHaan Sb

salaam o raHmah

aap kee ghazal paRhee, pasand aayee.
1}
rah.e.zindagii meiN akcer, gam utha utha kay roye.
sabhi naQsh.e.arzoo dil say mita mita kay roye.

achhaa she'r hai magar meree raaye hai keh aap is ko phirse se dekhleN chooNke maiN khud iSlaaH ke maidaan kaa aadmee naheeN hooN is liye dekhne kee hee baat karsaktaa hooN

2}
kabhi raaz dil kay kholo, kabhi yaar hum say bolo.
hai tumheeN yeh rooG kaisa,k hameeN haNsa kay roye.

bahut achhaa waah waah

3}
kai dil jalooN say poocha, maiN nay aashiQee ka maTlab.
jo haiN daaG apnay dil meiN, voh dikha dikha kay roye.

waah

4}
k dukhi hum iss Qadar thay, jo kisi nay Haal poocha.
usi ajnabi maseeHa ko gale laga kay roye.

achhaa hai

5}
tira ae! Saba karam ho, unheeN ja k yeh Khabar day.
na uThi yeh soyee Qismat, k jaGa jaGa kay roye.

waah, waah kiyaa kahne haiN

6}
youN bujha bujha sa chehra, liye nama.bar voh louTa.
jo umeed ka diya tha, hum usay bujha kay roye.

waah

7}
na Khabar thi aashiQee meiN, yeh bhi din naSeeb hoga.
gira aasmaan sar per, hum usay uTha kay roye.

8}
maiN bikhar gaya hawaooN meiN, luTa kay apni Khushboo.
voh mire wajood kay TukRe uTha uTha kay roye.

waah, khayaal achha laga magar ise bhee aap kee ek nigaah kee z^roorat maHsoos horahee hai.

9}
jab uTha mira janazah, mire yaar dostooN ko.
::miri dastaan.e.Hasrat voh suna suna kay roye::

10}
k tire gali meiN hum ko, na hua naSeeb madfan.
shab.o.rooz dil say apnay, yahi Gam laga kay roye.

waah

11}
yeh kasak baRi ajab hai, Gam.e.aashiQee ki farHan!
kabhi roo kay muskhuaye, kabhi muskura kay roye.

keyaa kahne haiN

ek achhee ghazal par daad Haz^ir hai dekhte hain Usatza kiyaa kahte haiN.

meree ek guzaarish hai keh jis site per baHr dee jaatee hai kam az kam usee maah meiN is site ke baHr kee ghazal ko doosre or doose site ke baHr kee Ghazal ko is site per nah Dalaa jaye. isliye keh mukhtalif usaatiza ke khyaalaat mukhtalif hote hain. haan doosre maah meiN dalne meiN koi harj naheeN. yeh meree raye hai is se administrator muttafiq ho jayeN to behtar ho.

mukhlis

Khurshidul H. Naiyer
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Salam Farhan bhai,

aap ke likhte heN,
farhan wrote:

Khawar Bhai,,,

Salaam o RaHmat,,,

ummid hai mizaaj.girami ba.khair hoNge.

1) Khiyaal yaQeenan saadah hai.aityaraaf karata hooN. aap nay likha{doosra miSra bebeHr lag rahaa hai.} mujhay to nahin laga. bara.e.mahrbani nashaandahi farmayeN to mamnoon rahoonga.

2){kabhi raaz na dil kholaa, kabhi woh huway no goyaa}
sub say pehlay to yeh k aap ka tajweez kardah miSrA bay behr hai. taQTeeA kar kay deekh lijeaga. dosarye{khola},{huway}{roye}is in maiN aap ko hum.aahangi lag rahi hai??

3)dil meiN agar daaG hoNgey to kiya voh dil kay daaG nahi hue.

4) k say miSrA shuru nahin karna chahiyea. lakin bahut ghour karnay kay baad bhi mujhey yahi surat munasib lagi. aap ki raye per bhi ghour kar raha hooN. munasib tajweez hai. shukirya!!!

5) Bhai!! mayray shair meiN kiya kharabi hai. aap kay tajweez kardah shair kay pehla miSrA meiN shariyat to bilkul bhi nahin. ik seedha saadha bhola bhala jumla hai. aur bus!

aap ki muHabbatooN aur eenayatooN kay liye mamnoon hooN.
Talib.e.dua

FarHan Aziiz
janab e mann mairi pehlay baat to ye yaad rakhiaye ge ke meN na hi koi shaairi ka maahir hooN na 'arooz ka. meN ne to bus aap ki shaairi par apnaa khyaal bayaan kiya hai. aor woh meN is leeyae kartaa hooN ke shaair ko pataa chal jaa-aye ke aek mujh jaise kam ilm shair par us ke kalam na kyaa acar chhoRa.

1. aap theek kehte heN mujhe paRhne meN ghalit lagi
2. yahaan bhi aap theek heN mairi ghalati ke ghalat typ kar gyaa. saHeeH miSra thaa, kabhi raaz e dil na khoola, kabhi twoh huway na goyaa.
3. bhayee ye baat mairi ilmi saTh se ooper ki lagti hai. jo mujhe lagtaa thaa woh meN keh chukaa. aap muTmain heN to sab theek hai.
4. ji shukriyaa.
5. aap sher ka pehlaa miSra mujhe kuch uljhaa uljhaa lag rahaa hai. is leeaye us ko saadha karne ki koshish ki, agar aap ko ye nayee Soorat bohat saada lagi to ho saktaa hai ke aisi hi ho. tajveez daine ka maqSad Sirf kuch sochne ke leeaye motivation daine se zydaa aor kuch nahi. meN jaantaa hooN ke aap mujhe se achchche shaair heN. meN to jumaa jumaa aath din ka shair hooN aor do maah meN aek ghazal kehtaa hoon :grin:

mairi kisi baat se aap ki dil kharashi hoee to muaaf farmaa-iaye ga mairaa maqSad aisaa nahi thaa.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: ::miri dastaan.e.Hasrat voh suna suna kay roye::....FarHan

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Farhan SaaHib tasleemaat! :rose

Aap kee shirkat mushae'rah kee kaamyaabee kee e'lamat hai. khubSurat kalam dilkash kheyalaat aor HaseeN alfaaz^ kaa intekhaab jo az khud aek fan hai. is par aap ko jis qadar bhee daad-o-taoSeef se nawazaa jae so kam ho gaa. mujhe sabhee asha'aar be Had pasand aae haiN. jo keh tamaam ke tamaam baa wazan bhee haiN.

meree jaanib se is khubSurat kalam par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye. ummeed hai agle mushae'rah meN bhee shirkat farmaeeN ge.

khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Re:

Post by farhan »

Khurshidul Hasan Naiyer wrote:muHtaram jb. FarHaan Sb

salaam o raHmah

aap kee ghazal paRhee, pasand aayee.
1}
rah.e.zindagii meiN akcer, gam utha utha kay roye.
sabhi naQsh.e.arzoo dil say mita mita kay roye.

achhaa she'r hai magar meree raaye hai keh aap is ko phirse se dekhleN chooNke maiN khud iSlaaH ke maidaan kaa aadmee naheeN hooN is liye dekhne kee hee baat karsaktaa hooN

2}
kabhi raaz dil kay kholo, kabhi yaar hum say bolo.
hai tumheeN yeh rooG kaisa,k hameeN haNsa kay roye.

bahut achhaa waah waah

3}
kai dil jalooN say poocha, maiN nay aashiQee ka maTlab.
jo haiN daaG apnay dil meiN, voh dikha dikha kay roye.

waah

4}
k dukhi hum iss Qadar thay, jo kisi nay Haal poocha.
usi ajnabi maseeHa ko gale laga kay roye.

achhaa hai

5}
tira ae! Saba karam ho, unheeN ja k yeh Khabar day.
na uThi yeh soyee Qismat, k jaGa jaGa kay roye.

waah, waah kiyaa kahne haiN

6}
youN bujha bujha sa chehra, liye nama.bar voh louTa.
jo umeed ka diya tha, hum usay bujha kay roye.

waah

7}
na Khabar thi aashiQee meiN, yeh bhi din naSeeb hoga.
gira aasmaan sar per, hum usay uTha kay roye.

8}
maiN bikhar gaya hawaooN meiN, luTa kay apni Khushboo.
voh mire wajood kay TukRe uTha uTha kay roye.

waah, khayaal achha laga magar ise bhee aap kee ek nigaah kee z^roorat maHsoos horahee hai.

9}
jab uTha mira janazah, mire yaar dostooN ko.
::miri dastaan.e.Hasrat voh suna suna kay roye::

10}
k tire gali meiN hum ko, na hua naSeeb madfan.
shab.o.rooz dil say apnay, yahi Gam laga kay roye.

waah

11}
yeh kasak baRi ajab hai, Gam.e.aashiQee ki farHan!
kabhi roo kay muskhuaye, kabhi muskura kay roye.

keyaa kahne haiN

ek achhee ghazal par daad Haz^ir hai dekhte hain Usatza kiyaa kahte haiN.

meree ek guzaarish hai keh jis site per baHr dee jaatee hai kam az kam usee maah meiN is site ke baHr kee ghazal ko doosre or doose site ke baHr kee Ghazal ko is site per nah Dalaa jaye. isliye keh mukhtalif usaatiza ke khyaalaat mukhtalif hote hain. haan doosre maah meiN dalne meiN koi harj naheeN. yeh meree raye hai is se administrator muttafiq ho jayeN to behtar ho.

mukhlis

Khurshidul H. Naiyer

Janab Khurshid ul Hasan SaHib,,,

Salaam o RaHmat,,,

sub say pehlay to maiN aap say mAa'zirat khaw hooN k takheer say jawab likh raha hooN. daraSl maiN inn dinooN kuch ziyadah hi maSroof hooN. phir phi kuch waQt nikaal kar aaj net per aa hi gaya.

aap nay ghazal kay per shair per khuSooSi daad say nawaza hai. iss kay liye main manooN hooN.shukran jazeel.
aap nay jin batooN ki taraf tawajjah dilayii hai maiN nay note karli haiN aayendah unn per Amal karooNga.shukriya!
ummid hai aap ki issi tarah housla.afzayii muyassar rahygi.

Talib.e.dua

FarHan Aziiz
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Re:

Post by farhan »

muhammad_19k wrote:Salam Farhan bhai,

aap ke likhte heN,
farhan wrote:

Khawar Bhai,,,

Salaam o RaHmat,,,

ummid hai mizaaj.girami ba.khair hoNge.

1) Khiyaal yaQeenan saadah hai.aityaraaf karata hooN. aap nay likha{doosra miSra bebeHr lag rahaa hai.} mujhay to nahin laga. bara.e.mahrbani nashaandahi farmayeN to mamnoon rahoonga.

2){kabhi raaz na dil kholaa, kabhi woh huway no goyaa}
sub say pehlay to yeh k aap ka tajweez kardah miSrA bay behr hai. taQTeeA kar kay deekh lijeaga. dosarye{khola},{huway}{roye}is in maiN aap ko hum.aahangi lag rahi hai??

3)dil meiN agar daaG hoNgey to kiya voh dil kay daaG nahi hue.

4) k say miSrA shuru nahin karna chahiyea. lakin bahut ghour karnay kay baad bhi mujhey yahi surat munasib lagi. aap ki raye per bhi ghour kar raha hooN. munasib tajweez hai. shukirya!!!

5) Bhai!! mayray shair meiN kiya kharabi hai. aap kay tajweez kardah shair kay pehla miSrA meiN shariyat to bilkul bhi nahin. ik seedha saadha bhola bhala jumla hai. aur bus!

aap ki muHabbatooN aur eenayatooN kay liye mamnoon hooN.
Talib.e.dua

FarHan Aziiz
janab e mann mairi pehlay baat to ye yaad rakhiaye ge ke meN na hi koi shaairi ka maahir hooN na 'arooz ka. meN ne to bus aap ki shaairi par apnaa khyaal bayaan kiya hai. aor woh meN is leeyae kartaa hooN ke shaair ko pataa chal jaa-aye ke aek mujh jaise kam ilm shair par us ke kalam na kyaa acar chhoRa.

1. aap theek kehte heN mujhe paRhne meN ghalit lagi
2. yahaan bhi aap theek heN mairi ghalati ke ghalat typ kar gyaa. saHeeH miSra thaa, kabhi raaz e dil na khoola, kabhi twoh huway na goyaa.
3. bhayee ye baat mairi ilmi saTh se ooper ki lagti hai. jo mujhe lagtaa thaa woh meN keh chukaa. aap muTmain heN to sab theek hai.
4. ji shukriyaa.
5. aap sher ka pehlaa miSra mujhe kuch uljhaa uljhaa lag rahaa hai. is leeaye us ko saadha karne ki koshish ki, agar aap ko ye nayee Soorat bohat saada lagi to ho saktaa hai ke aisi hi ho. tajveez daine ka maqSad Sirf kuch sochne ke leeaye motivation daine se zydaa aor kuch nahi. meN jaantaa hooN ke aap mujhe se achchche shaair heN. meN to jumaa jumaa aath din ka shair hooN aor do maah meN aek ghazal kehtaa hoon :grin:

mairi kisi baat se aap ki dil kharashi hoee to muaaf farmaa-iaye ga mairaa maqSad aisaa nahi thaa.

mukhliS,

Bhai Khawar SaHib

Salaam o RaHmat,,,

ummid hai k aap ba.khair hoNgaye. Janab Khurshid ul Hasan SaHib kay jawab maiN takheer ka sabab likh chuka hooN aap nay paRh bhi liye hoga. so aap say bhi mAa'zirat khaw hooN.

aap kay jawabi jawab kay liye bahut hi mamnoon hooN. aap apna qeemati mayri bay.tuki ghazal per daytay haiN yeh mayray liye bahut baRi baat hai.
ummid karta hooN aap say aayendah bhi mulaQaateeN hoti raheeNgi.

Talib.e.dua

FarHan Aziiz
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Re: ::miri dastaan.e.Hasrat voh suna suna kay roye::....FarHan

Post by farhan »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Farhan SaaHib tasleemaat! :rose

Aap kee shirkat mushae'rah kee kaamyaabee kee e'lamat hai. khubSurat kalam dilkash kheyalaat aor HaseeN alfaaz^ kaa intekhaab jo az khud aek fan hai. is par aap ko jis qadar bhee daad-o-taoSeef se nawazaa jae so kam ho gaa. mujhe sabhee asha'aar be Had pasand aae haiN. jo keh tamaam ke tamaam baa wazan bhee haiN.

meree jaanib se is khubSurat kalam par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye. ummeed hai agle mushae'rah meN bhee shirkat farmaeeN ge.

khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Janab Muzaffar SaHib

Salaam o RaHmat,,,

mAa'zirat khaw hooN k maiN iss taraf takheer say phouncha. aaj kal kuch maSroof jaraha hooN.

ghazal ki pasandeedgii o pazirayii, daad o mubarakbaad kay liye main aap ka mamnoon hooN. bahut bahut shukriya.
ummid karta hooN k aap say guftagoo rahygi.

Talib.e.dua

FarHan Aziiz
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: ::miri dastaan.e.Hasrat voh suna suna kay roye::....FarHan

Post by sbashwar »

Mohtaram Farhan Saheb
:salaam:

Aapki ghazal par mahireen ki rai ke baad mein sirf yeh kehsakta houn ke Ghazal pasand ayee.
سالم احمد باشوار
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Re: ::miri dastaan.e.Hasrat voh suna suna kay roye::....FarHan

Post by farhan »

sbashwar wrote:Mohtaram Farhan Saheb
:salaam:

Aapki ghazal par mahireen ki rai ke baad mein sirf yeh kehsakta houn ke Ghazal pasand ayee.

Walaikum As salam wa Rahmatuallahi wa Barakatuhu,,,

sub say pehlay main aap say maA'zirat khaw hooN k main iss taraf bahut takheer say phouncha.

mujhay yeh jaan ker khushi hui k aap ko yeh ghazal pasand aayii.bahut bahut shukirya.

talib.e.dua

FarHan Aziiz
Post Reply