aap kii naZm paRh kar baRi udaasi chaa gayee hai, bachpan maiN jin buzurgoN kii shafqat maiN aur jis maaHol (purana ghar) waghera maiN aankh kholii thi, woh sub shiddat say yaad aaraha hai.
mujh pe chahi hi yeh maayusi aap kii naZm kii kaamyabi kii zamaanat hai
aek nazm jo apne haaliya safar ke tassuraat per likhi.
Nazam.........!!
"Deccan" ki bahaareiN vo gali koocha o bazaar
bachpan ki sabhi yadeN huuweeN taza phir ik baar
abaad ghar aadha tha tou veeraaN bhi tha aadhaa
deevaareN sisaktee huwee veeraan sa kamraa
awaaz mere Abbi ki aati rahee akser
lekin mujhe unki huuwee shafqat nah mayassar
“Ammi” bhi sunaati rahiN qisse mujhe har pal
yaad “Abbi” ki aati thee tou dil hota tha bekul
Pahle tou bohat royee keh dil pe nah tha qaaboo
phir waqt ke marham ne kiye khushk kuch aansu
un donoN ki qurbat se mili qalb ko raaHat
kuch “Bhayya” ki shafqat thee tou kuch “Bhabhi” ki shafqat
is aas pe maiN aa gayee apnoN se bichaR kar
qismat ne diya saath tou phir jaoNgee maiN ghar
jab jaooNgee ho jaaoNgee “Ammi” ke liye waqf
har lamha mira hoga bus un hee ke liye waqf
duniya meN har aulaad se mera hai yeh kahna
maaN-baap ko peeri meN nah choRo kabhi tanha
kya Khaliq.e Akbar ka hai farman nah bhoolo
ik lamhe ko maan-baap ka eHsaan nah bhoolo
Niazmand, Sara
MASHA-ALLAH... AAP NWE TO HAMEIN RULA HI DIYAA.... DIL SE JO BAAT NIKALTI HAI WOH AISI HI ASAR KARTI HAI.... BAHUT ACHCHI NAZM HAI..... AAPKI AAJ TAK KI SAB SE BEHTAREIN TAKHLEEQUE.........!!
duniya meN har aulaad se mera hai yeh kahna
maaN-baap ko peeri meN nah choRo kabhi tanha
kya Khaliq.e Akbar ka hai farman nah bhoolo
ik lamhe ko maan-baap ka eHsaan nah bhoolo
YE CHAAR MISRE MAIN 'TABARRUK' KI TARAH RAKH LETA HOON..... KYA AAP YAQEEN KARENGI KE MAIN DELHI MAIN CORPORATE SECTOR MAIN BADI ACHCHI JOB KAR RAHA THA MAGAR.. DO SAAL KE ANDER "MERI AMMI" NE ITNE KHAT LIKHE KEH..... MAIN UNKI MOHABBAT AUR SHAFAQQAT KE AAGE HAAR GAYA AUR NAUKRI CHHOD KAR WAPAS GHAR AA GAYA.....
AB MAA KA BETA HOON AUR EK CHOTA SA SOCIAL WORKER..... KUCH DOST ES BAAT KO MERA 'PAGALPAN' KEHTE HAIN MAGAR MAIN ESKO 'MOHABBAT' KEHTA HOON....!!
ARREY HAAN..... DHER SAARI DAAD QOBOLO FARMAAYEIN......!!
muddatoN baad aap ka kalaam paRhne ko milaa, aur voh bhii itnanii pyaari nazm, maiN bataa nahiN sakta k isey paRh kar mujhe kyaa hua.
is kalaam kii taareef k liye mere paas alfaaz nahiN haiN, kuch der k liye mehsoos huaa k kahiN yeh sab maiN ne to nahiN likha?, kyuuN k is meiN mujhe apnii ziNdagii ka bhii hissa nazar aaya, paRh kar aaNkheN bhar aaii'N.
merii jaanib se se dilii aur bahut-bahut aur bahut ziyadah daad-o-mubaarak-baad qubool keejiYe! rose1
Hassan
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai