GHAZAL BY YUSUF JAMAL

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
yusufjamal
-
-
Posts: 7
Joined: Wed Jun 04, 2008 5:07 pm

GHAZAL BY YUSUF JAMAL

Post by yusufjamal »

GUMAAN SHAB KA RAHA AUR NA ANDHERA RAHA
PURANE LOGON KA HAR AHAD HE SAWERA RAHA

HAI TERE HAAT ME KIYA SAB WOHI TO KERTA HAI
KIYA HAI KAAM KOI AUR NAAM TERA RAHA

BACHAAYA KISNE TUJHE SOCH TU BACHA KAISE
TUJHE TO JAB KE TERE DUSHMANO NE GHERA RAHA

SAFAR NA TANHA KIYA DARSE, LOOT LE NA KOI
MAGAR JO QAAFLA MUJHKO MILA, LOOTERA RAHA

JISE TUM KAAT DIYE JAAN KE AASEB ZADA
USEE SHAZAR PE PARINDON KA BHI BASERA RAHA

SAANEHA AISA HE NAZUK THA, BOLEY SANNATA
GADAGARON KO TALASHO KE JINKA DERA RAHA

GAWAAH ME TO MERA NAAM DE RAHE HO JAMAL
MAIN SACH KAHUNGA, WATEERA HE SACH KA MERA RAHA


YUSU JAMAL
RAJGANGPUR-770017
ORISSA-INDIA
dilshadnazmi
-
-
Posts: 24
Joined: Sat Dec 31, 2005 9:41 pm
Location: jubail.ksa
Contact:

Re: GHAZAL BY YUSUF JAMAL

Post by dilshadnazmi »

yusufjamal wrote:GUMAAN SHAB KA RAHA AUR NA ANDHERA RAHA
PURANE LOGON KA HAR AHAD HE SAWERA RAHA

HAI TERE HAAT ME KIYA SAB WOHI TO KERTA HAI
KIYA HAI KAAM KOI AUR NAAM TERA RAHA

BACHAAYA KISNE TUJHE SOCH TU BACHA KAISE
TUJHE TO JAB KE TERE DUSHMANO NE GHERA RAHA

SAFAR NA TANHA KIYA DARSE, LOOT LE NA KOI
MAGAR JO QAAFLA MUJHKO MILA, LOOTERA RAHA

JISE TUM KAAT DIYE JAAN KE AASEB ZADA
USEE SHAZAR PE PARINDON KA BHI BASERA RAHA

SAANEHA AISA HE NAZUK THA, BOLEY SANNATA
GADAGARON KO TALASHO KE JINKA DERA RAHA

GAWAAH ME TO MERA NAAM DE RAHE HO JAMAL
MAIN SACH KAHUNGA, WATEERA HE SACH KA MERA RAHA


YUSU JAMAL
RAJGANGPUR-770017
ORISSA-INDIA


yousuf jamal sahib ,

salam _o_alaekum ,

barso'n baad aap ki gazal pad>hi , pahley mushaero'n me sunta thaa , ap haerat zadah hongey ...!!!!

ji haan , main wohi dilshad nazmi hoon , jo kabhi aap ke ilaqey me baarha mushaero'n me shareek hota raha ,

khaer yaad kijiye , shayed yaad aa jaoo'n , ?

aap ki gazal ke matla se apni baat shuroo karta hoon ,


GUMAAN SHAB KA RAHA AUR NA ANDHERA RAHA
PURANE LOGON KA HAR AHAD HE SAWERA RAHA



bahot khoob ,

HAI TERE HAAT ME KIYA SAB WOHI TO KERTA HAI
KIYA HAI KAAM KOI AUR NAAM TERA RAHA[/color]

iss sher me zaban ulajh kar rah gai hai .
mere khayal se aap kahena ye chahte hain ke

hai tere haath me keya . sab ussi ki karni rahi ..
kisi ne kaam kiya , aur naam tera raha ...
lekin , sher ka mazmoon wazah nahi ho paya ,

[BACHAAYA KISNE TUJHE SOCH TU BACHA KAISE
TUJHE TO JAB KE TERE DUSHMANO NE GHERA RAHA.

pahela misra saaf suthra hai , cani misre me dushmano'n ne "ghaera raha "ye ghera raha kuch ajeeb sa laga ,
yahaan main samjhta hoon ke " ghera thaa" ka mahal thaa , lekin radeef ki apni majburi hai .khaer sher nazr_e_cani
chahta hai ,

SAFAR NA TANHA KIYA DARSE, LOOT LE NA KOI
MAGAR JO QAAFLA MUJHKO MILA, LOOTERA RAHA

yahaa'n phir wohi . aakhri tukra ,radeef ke saath mil kar ulajh gaya ,lootera raha , jab ke lootera thaa, ya lootera nikla ki shakl me zahir hota tou sher apni manwi eatebaar se chust ho jata ,

JISE TUM KAAT DIYE JAAN KE AASEB ZADA
USEE SHAZAR PE PARINDON KA BHI BASERA RAHA

pahela misra wazn se kharij ho gaya hai , dusra misra
ussi shajr pe parindo'n ka bhi basera thaa hona chahiye , magar na jane y kiyo'n raha ki radeef aap ne muntakhib ki.jis ki wajah se har sher cani misrey me ulajh kar rah gaya ..

SAANEHA AISA HE NAZUK THA, BOLEY SANNATA
GADAGARON KO TALASHO KE JINKA DERA RAHA

pata nahi aap iss sher me keya kahena chahte hain ,???? ye "SAANEHA " KEYA HAI ,AUR "" TALASHO""KON SI ZABAN HAI?

[GAWAAH ME TO MERA NAAM DE RAHE HO JAMAL
MAIN SACH KAHUNGA, WATEERA HE SACH KA MERA RAHA

MAQTA ACH_CHA HAI , PASAND AAYA ,



RAJGANG PUR KE TAMAM EHBAAB SE MERA SALAAM KAHEIN ,
DUA KA TALIB ,
DILSHADNAZMI
dilshadnazmi.jubail.ksa
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: GHAZAL BY YUSUF JAMAL

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Yusuf jamal saaHib tasleemaat!

meHfil meN aap kee tashreef aawaree par khush aam deed kaha jaataa hai. ummeed hai ab aap baaqaae'dagee se tashreef late raheeN ge. aor apne khubSurat kalam se mustafeed farmate raheeN ge. inshAllah!

kalam dekhaa jo aek achchee koshish hai. Nazmi SaaHib ke mashware qaabil-e-Ghaor haiN. meree jaanib se daad qubool keejiye.

wassalam
Muzaffar A Muzaffar
yusufjamal
-
-
Posts: 7
Joined: Wed Jun 04, 2008 5:07 pm

Gulhaa-e-khuloos

Post by yusufjamal »

karam farmaa-e banda Mohtaram, dilshad nazmi sb
Ghazal per islahaee aara ke liye mamnoon hun, shaiyer ne apne taur per sher kahta hai, padhne wale apne andaaz-e- fikr se padhte hain, fir bhi aapki mushfiquaana tanqueed pasand aayi itlaa an arz hai ke Ghazal ki radeef"hai" nahi balke "raha" hai. Raha suwal ke aapne "Talashon" kiya daryaaft kiya hai? Arz hai talashon ,talashna, talaashte,talaashiye jaise alfaaz jadeed adab ki den hain.aap adbi jareedon ka motalea kerte rahe honge, aapko wahan yeh alfaaz milte chale jaayenge.
Jahan tak mera mashrab hai main ne hamesha sehatmand aur saaleh tanqueed ka khairmaqdam kerta hun. kiyunki begharaz tanqueed se kalmkaar ko roushni milti hai. aapki belaos tanqueed ka ehteraam kerta hun aur aapki aara ka bhi.aap meri takhleeqaat India,Pakistan aur euorope ke 25-26 adabi Resael me dekh sakte hain.Ek baar phir aapki mohabbaton ka shukriya.......


YUSUF JAMAL
Post Reply