GHAZAL BY YUSUF JAMAL-Shaakhon men sabz rang ki lahren jo ..

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
yusufjamal
-
-
Posts: 7
Joined: Wed Jun 04, 2008 5:07 pm

GHAZAL BY YUSUF JAMAL-Shaakhon men sabz rang ki lahren jo ..

Post by yusufjamal »

Shaakhon men sabz rang ki lahren jo aayengi
Patton pe taalian bhi hawaayen bajayengi

Pazmurda tehniyon pe parinde na aayenge
Sukhe shajar ko munh bhi baharen chirhayengi

Chehron pe Qahat saali ka manzar liye huwe
Lamhon ki dastaken bhi kiwaren sunayengi

parwaaz shauq per mujhe itna hai etamaad
Rangeen titliyan kabhi mujhko uraayengi

Baaqi nahi hai zehan me ab mousamon ke naam
Guzri huyi ruton ki na yaaden sataayengi

Tha rang asl jis men wo shai qadr kho chuki
Naqlee jo rangaten hai wo dil ko lubhayengi

shishe ki har khanak se yahan dolta tha man
Ab seep ki hai chooriyan kiya khankhanyengi

Mujhko khabar na thi ke yeh ghazlen meri kabhi
Haddi ka dhancha faaqon se mujhko banayengi

Dil me panap rahi hain tamannayen jo jamal
yeh thokaron pe thokaren mujhko lagayengi

YUSUF JAMAL
RAJGANGPUR-770017
Orissa- India
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Re: GHAZAL BY YUSUF JAMAL-Shaakhon men sabz rang ki lahren jo ..

Post by munir-armaan-nasimi »

=D>

KYA BAAT HAI YOUSUF BHAI.....
CHAKKE PE CHAKKA MAARTE JAA RAHE HAIN....
EK SE BADH KAR EK GHAZAL POST KAR RAHE HAIN.
JO BHI GHAZAL PADHTA HOON WOHH
PAHLI GHAZAL SE AUR PYARI LAGTI HAI...

MASHA'ALLAH....!!

Mujhko khabar na thi ke yeh ghazlen meri kabhi
Haddi ka dhancha faaqon se mujhko banayengi

Kadwaa Sach... shayad isiko kehte hain..... magar yeh sher mujhpe ziyada saadiq aata hai. hai na?!!

Phir milenge.

Khuda Haafiz,

Munir Armaan
Post Reply