mushaira 41# k liye aik koshish hazir hai
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
Re: mushaira 41# k liye aik koshish hazir hai
moHtaram Mujahid SaaHib aadaab-o-tasleemaat!
GuZarish#41 ke liye aap kee Ghazal firdoos-e-naz^ar huee. lekin maiN apnee intehaaee maSrufiyat ke baai'c apnee adnaa raaeY nah pesh kar sakaa. kheyaal thaa keh aaraam se likhooN gaa lekin maSroofiyat aaRe aatee rahee. daraSl Pakistan se AHmad faraz, MoHsin EHsan, India se Dr, Waseem Rashid aor deegar ka'ee mehmaanaan-e-giraamee tashreef laaeY huwe the. jo keh a'alamee Urdu seminaar (SOAS) London ke liye tashreef laaey theY. is liye khaaSee intez^aamee zimmah daariyaaN raheeN.
Aap kee Ghazal bilashubah dilkash aor dilaawaez hai. aap ke makhSooS aor khubSurat andaaz kee Ghammaaz hai. mujhe bohot pasand aaee hai. miSra'#13 beHer meN naheeN aasakaa. dekh leejiye gaa.
do SurateeN yeh mumkin haiN.
"faqat^ qiSSooN meN haiN farhaad-o-sheereeN"
yaa
"haiN qiSSooN meN faqat^ farhaad-o-sheereeN"
Allah aap ko mazeed likhne kee taofeeq a't^aa farmaataa rahe Aameen!
ummeed hai rawaaN mushae'rah meN bhee apnee SalaHiyatooN kaa muz^aahirah karne kaa qaSd kareeN ge.
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar