muHtaram aHbaa-e-bazm
Assalaam a'laikum
meree tukbaNdiyaaN to kayee dinoN se likhee paRee thee. magar himmat naheeN horahee thee keh Haz^ir hooN. Jb muHtaram Muzaffar Sb kee khubsoorat Ghazal dekhee to maiN bhee makhmal meiN TaaT kee t^arH se aa gayaa hooN. ek naz^ar ho sake to idher bhee karleN. asha'aar yooN huwe haiN keh.....
miree ab maantaa koyee naheeN hai
:mujhe pahchaantaa koyee naheeN hai:
taGhaful kee naz^ar aesaa huwaa hooN
keh jaise jantaa koyee naheeN hai
bayaaN karne se kuchh hotaa hai halkaa
Ghama-e-dil baNtaa koyee naheeN hai
tumheN bhee pyaar ho ek saNg dil se
sewaa iske dua'aa koyee naheeN hai
hai dard-e-dil i'naayat dostoN kee
Khudaa tum se gilah koyee naheeN
shanasaayee ho tiree dard-e-dil se
miraa ab mudua'aa koyee naheeN hai.
unheN phooloN kee qeemat kya pataa ho
jiNheN kaaNTaa chubhaa koyee naheeN hai
mat^ab par dard-e-dil ke ab haiN taale
keh ismeiN mubtalah koyee naheeN hai
haiN goahar saNg rezoN meiN chhupe par
phaTakta chhaNtaa koyee naheeN hai
hai gudRee meiN chhupaa ek laal :A'aajiz:
unheN pahchaanta koyee naheeN hai
hameshah se hunar par muflisoN ke
nigaaheN Daaltaa koyee naheeN hai
lahoo jaltaa hai tab hotee hai GhazleN
ise par aaNktaa koyee naheeN hai.
chalaa aataa hooN maiN bazm-e-sukhan meiN
magar gardaantaa koyee naheeN hai
palaT kar dekhte ho kisko :Naiyer:
tumheN detaa Sadaa koyee naheeN hai
mashq-e-sukhan :by: khurshidul Hasan Naiyer