GHAZAL BY YUSUF JAMAL---Jhalakti rehti hain chehre pe wahsha

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
yusufjamal
-
-
Posts: 7
Joined: Wed Jun 04, 2008 5:07 pm

GHAZAL BY YUSUF JAMAL---Jhalakti rehti hain chehre pe wahsha

Post by yusufjamal »

Jhalakti rehti hain chehre pe wahshaten kiya kiya
Hamare dil me thin poshida hasraten kiya kiya

Who ek raaz agar faash hoke reh jaaye
To manzaron men bikhar jaayen zillaten kiya kiya

Mere makaan ki deewar yun to andhi hai
Magar yeh dekhti rehti hain harkaten kiya kiya

Ab aur aankhon me khaabon ke rat jage kaise
Uthayin neendon se maine hazeematen kiya kiya

Hai ek chehra magar iski kitni shaklen hain
Har ek shakl me pinhan hain rangaten kiya kiya

Wo ek shaks ke jhooti rafaqaton ke liye
Jatate phirta hai apni mohabbaten kiya kiya

Guman tha kise ek roz surat-e-wahshat
Samundaron me chupi thin qayamaten kiya kiya

Waraq bayaaz ki ultoon to kis tarah ultoon
Chirati mujhko hain apni Ebaaraten kiya kiya

Yahan sabhi to adaakaar hain tabhi to “JAMAL”
Badalte rehte hain har lamha suraten kiya kiya

YUSUF JAMAL
RAJGANGPUR
770017-ORISSA
INDIA
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Re: GHAZAL BY YUSUF JAMAL---Jhalakti rehti hain chehre pe wahsha

Post by munir-armaan-nasimi »

Kya Baat Hai Yusuf Bhai... Aap bhi yahan Tashreef rakhte hain.. Masha'Allah...!!

Wo ek shaks ke jhooti rafaqaton ke liye
Jatate phirta hai apni mohabbaten kiya kiya

Wah Wah.. Kya Baat hai... Waise puri Ghazal.... rang-e-taghazzul se bhari hoyi hai. Magar mujhe behad afsos hai keh abhi tak kisi ki nazar nahin padi.

Kya UrduBandhan wale sab apne ApnoN main busy ho gaye hain...???

aap ka apna

Munir Armaan
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: GHAZAL BY YUSUF JAMAL---Jhalakti rehti hain chehre pe wahsha

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Yusuf Jamal SaaHib tasleemaat! :-)

Awwal-ul-zikr to aap ko meHfil meN tashreef aawaaree par dilee t^aor par khush aam deed kaha jaataa hai. aap kee aamad se yaqeena" hameeN bohot khuch seekhne kaa maoqa' mile gaa. aor inshAllah aap kee maojoodagee raonaq-e-meHfil kaa baae'ic bane gee.

aap kee Ghazal firdoos-e-naz^ar huee. Kiya kehne dil a'jab suroor-o-mastee se jhoom jhoom geyaa. lut^f aageyaa. meree bhee baRee khuwaahish hai keh maiN is zameen meN t^aba' aazmaooN dekheeN kab taofeeq-e-sukhan miltee hai. khaer aap kee Ghazal bilaashubah laai'q-e-daad-o-teHseen hai. so meree jaanib se dilee daad qubool keejiye.

aap kee mazeed GhazlooN naz^mooN kaa shiddat se intez^aar rahe gaa. ummeed hai meHroom nah rakhkheeN ge. maiN aek baar phir aap kaa teh-e-dil se mamnoon hooN. keh aap meHfil meN tashreef laae aor apne dilkash kalam se nawaaza!

Jhalakti rehti hain chehre pe wahshaten kiya kiya
Hamare dil me thin poshida hasraten kiya kiya

Kiya kehne Waah Waah! pehle miSra' meN :pe: ko :se: badal kar bhee dekhaa jaa saktaa hai.

Who ek raaz agar faash hoke reh jaaye
To manzaron men bikhar jaayen zillaten kiya kiya

Waah!

Mere makaan ki deewar yun to andhi hai
Magar yeh dekhti rehti hain harkaten kiya kiya

Wah!

Ab aur aankhon me khaabon ke rat jage kaise
Uthayin neendon se maine hazeematen kiya kiya

Wah!

Hai ek chehra magar iski kitni shaklen hain
Har ek shakl me pinhan hain rangaten kiya kiya

Wah!

Wo ek shaks ke jhooti rafaqaton ke liye
Jatate phirta hai apni mohabbaten kiya kiya

Waah Wah! :jatate: ko jatata: likh kar bhee dekhaa jaa saktaa hai.

Guman tha kise ek roz surat-e-wahshat
Samundaron me chupi thin qayamaten kiya kiya

Bohot khoob Waah Waah!

Waraq bayaaz ki ultoon to kis tarah ultoon
Chirati mujhko hain apni Ebaaraten kiya kiya

Waah!

Yahan sabhi to adaakaar hain tabhi to “JAMAL”
Badalte rehte hain har lamha suraten kiya kiya

Kiya kehne Waah Waah Waah! lajaawab maqta' hai waah!

khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Post Reply