Kahish JaaN Rah Gai Hai Bazm Aarai Gai - Abdullah Nazir

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Kahish JaaN Rah Gai Hai Bazm Aarai Gai - Abdullah Nazir

Post by sbashwar »

Nazir Saheb ka pehla dewaan Gohar-e-Shabtaab se li gayi yeh ghazal aap loug ke liye pesh hai:
Attachments
g_nazir01.jpg
g_nazir01.jpg (108.68 KiB) Viewed 75 times
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: Kahish JaaN Rah Gai Hai Bazm Aarai Gai - Abdullah Nazir

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Bashawar SaaHib tasleemaat!

Ustaad-e-sukhan HaZ^rat Abdullah Nazir SaaHib kee yeh takhleeq dekh kar jee khushee se masroor ho geyaa. bohot dilkash aor dilaawaez asha'aar haiN. maiN ne yeh Ghazal pehle naheeN dekhee thee. mumkin hai keh yeh un kee koee na'ee kaawish ho. bahar Haallut^f de gaee.

is e'naayat ke liye dilee shukriyah qubool keejiye.
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: Kahish JaaN Rah Gai Hai Bazm Aarai Gai - Abdullah Nazir

Post by sbashwar »

Mohtaram Muzaffar Sahib
:salaam:

Nazir Sahib ka pehla dewan Gohar-e-Shabtaab jo mere haaN bohat saaf halat mein tha usi ko maine scan kiya tha. Yeh ghazal usmein shamil hai. Aur ab alhamdlillah kamil dewan site par dekha jasakta hai jo maine jaldi mein pesh kardiya houn. Uspar mazeed kaam apni sahulat se karonga. Aur dosra dewan Taar-e-infaas-e-ghazal par bhi mera kaam baqi hai. Insha-allah, mukammil hone ke baad donoun dewan aur Nazir sahib ke ta'arruf mein jo kuch likha gaya hai woh bhi izafa kardonga. Dua kijiye.

Urdubandhan ke main page aur forum par " Kalaam-e-Nazir " link click karein to aap Nazir sahib ka ye dewaan paRh sakenge.

Haal hi mein ek moshaere mein gaya tha wahan unke chahne walauN ka khayal hai ke Nazir sahib ka pehla dewan ke ghazlein dosre dewan se bohat behtar hain.

Nazir sahib ka ghair matboa kalaam bhi mere qabze mein hai. Insha-allah mukhtalif forums par pesh karte rahonga.

Wassalaam
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
Post Reply