guzarish # 42 ke liye meree koshis

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Khurshidul Hasan Naiyer
-
-
Posts: 96
Joined: Thu Mar 20, 2008 8:23 am

guzarish # 42 ke liye meree koshis

Post by Khurshidul Hasan Naiyer »

Ghazal

ek khwaab-e-shikastah kee ta'beer naz^ar aaee
:shaayad keh bahaar aaee zaNjeer naz^ar aaee:

haaN raaz-e-muHabbat kee tanweer naz^ar aaee
har saaNs taRapne kee taa,ceer naz^ar aaee

use she'r banaayaa hai GhazloN meiN sajaayaa hai
aaNkhoN mieN teree jo bhee taHree naz^ar aaee

pur dard Ghazal lekar ham bazm meiN aae haiN
hamko too muHabbar jab dil geer naz^ar aaee

jab khoon-e-tamanna se sajne lagee deewaareN
tab dast-e-Hinaaee meN shamsheer naz^ar aaee

woh bazm-e-muHabbat ho yaa razm gah-e-ulfat
jis jaae too gayaa meree ta'meer naz^ar aaee

alHamd a't^aa teree teraa hai karam mujhpar
har zarre mieN bas teree taSweer naz^ar aaee

har gaam sitam gar ko aaeenah dikhaaeNge
:Naiyer: ko yahee bas ek tadbeer naz^ar aee

Shukriyaa

Khurshidul H. Naiyer
[/color]
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: guzarish # 42 ke liye meree koshis

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Khurshid Hasan Naiyar SaaHib tasleemaat!

khaadim chaar dinooN se Switzerland geyaa huwaa thaa. aaj hee wapasee huee hai. meHfil mashAllah aabaad hai aor ise aabaad rakhne meN aap aese saathiyooN kaa bohot haath hai Allah aap ko aabaad-o-shaad rakhe.

GuZarish#41 mah-e-rawaN ke liye aap kee t^araHee Ghazal dekhee. jo keh nihayat dilkash aor khubSurat asha'aar kaa majmua'ah hai. aap ne rawayatee usloob kee jumlah paasdaaree ko malHooz^ rkhte huwe wusa'at-e-bayaaN kee khoob jaohor dikhaee haiN. mua'amlah bandee ke saath saath nuktah aafreenee ke bhee maZ^ameen milte haiN.

she'er ke buniyaadee muharrakaat meN jo chez sab se aham hai. woh eHsaas-e-meHroomee hai. har fard ke haaN kuch mushtarik a'naaSir ke bawajood is eHsaas-o-kaifiyat ke zaatee pehlu bhee hote haiN. aor yeh eHsaas mukhtalif afraad meN mukhtalif sat^eH se phooTtaa hai. yooN to eHsaas-e-meHroomee se kisee ko bhee mufar naheeN lekin jooN jooN khuwahishaat puree hotee rehtee haiN na'ee tamannaaeeN janam letee rehtee haiN. aor yooN eHsaas-e-meHroomee kaa a'alam wohee rehtaa hai. aor yeh eHsaas jab she'er meN Dhaltaa hai to aek shahkaar Ghazal takhleeq hotee hai jo shaa'ir kee pehchaan ban jaatee hai. aor yeh Ghazal bhee unheeN numaae'ndhah GhazalooN meN se aek hai. jo aap ne takhleeq kee hai. meree jaanib se dilee daad HaaZ^ir-e-khidmat hai. qubool keejiye.


ek khwaab-e-shikastah kee ta'beer naz^ar aaee
:shaayad keh bahaar aaee zaNjeer naz^ar aaee:

Bohot khoob Waah Waah Waah kiya kehne! lajawaab mat^la' hai. =D>

haaN raaz-e-muHabbat kee tanweer naz^ar aaee
har saaNs taRapne kee taa,ceer naz^ar aaee

Waah Waah!

use she'r banaayaa hai GhazloN meiN sajaayaa hai
aaNkhoN mieN teree jo bhee taHree naz^ar aaee

maZ^moon achchaa hai lekin pehlaa miSra' khaarij az beHer ho geyaa hai. mere nazdeek aek yeh Surat ho saktee hai.
"she'rooN meN utaaraa hai GhazlooN meN sajaayaa hai"

pur dard Ghazal lekar ham bazm meiN aae haiN
hamko too muHabbat jab dil geer naz^ar aaee

Waah!

jab khoon-e-tamanna se sajne lagee deewaareN
tab dast-e-Hinaaee meN shamsheer naz^ar aaee

Bohot khoob Waah Waah Waah! kiyaa baat hai! =D>

woh bazm-e-muHabbat ho yaa razm gah-e-ulfat
jis jaae too gayaa meree ta'meer naz^ar aaee

Waah Waah! lajawaab hai! =D>

alHamd a't^aa teree teraa hai karam mujhpar
har zarre mieN bas teree taSweer naz^ar aaee

Kiya kehne waah! Hamd kaa khubSurat she'er hai! Waah!

har gaam sitam gar ko aaeenah dikhaaeNge
:Naiyer: ko yahee bas ek tadbeer naz^ar aee

Kiya kehne Waah Waah! Bohot khoob!

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar[/b][/i][/size][/color]
Khurshidul Hasan Naiyer
-
-
Posts: 96
Joined: Thu Mar 20, 2008 8:23 am

Re: guzarish # 42 ke liye meree koshis

Post by Khurshidul Hasan Naiyer »

muHtaram Jb. Muzaffar Sb

assalaam a'laikum

ummeed kartaa hooN keh aap kaa Switzerland kaa safar pur lut^f or kaamyaab rahaa hogaa or aap bakhair hoNge. Ghazal peh aap kee daad o dahish, HoSlah afzaaee, pazeeraee, muhabbat o qadardaanee or raahnumaae kaa dil kee gahraee se shukrguzaar hooN. salaam tashakkur qubool farmaaeN.

aap kaa a't^aa kardah miSra bhee pasaN aayaa Allah aap ko achhaa rakhe.

aap kee pazeeraee ne to aisaa lagtaa hai keh mujhe kuchh der ke liye Shaae'r banaa diyaa.

bahut bahut shukriyaa

Khair aNdesh

Khurshidul H. Naiyer
Post Reply