Dosto! aadaab
bohat din ba'ad Haaziree laga raha hooN. ek sada see Ghazal laya hooN. koii she'r achcha lage tou bataaiyega.
aapki aara ka muntazir,
Jawaid Badauni
tire chiraaG mire kaam aa nahiN sakte
woh mere ghar ka aNdhera miTa nahiN sakte
bichaR ke bhi mire dil ke qareeb rahte haiN
woh door jake bhi ab door ja nahiN sakte
Janazah mera kiraye ke log uThayeNge
Keh mere apne mira bojh uTha nahiN sakte
jahaN men Khud hi rah.e Haq talash karna hai
yeh raasta mujhe rahbar dikha nahiN sakte
tapish meN dhoop ki karte haiN kaam Khush hoker
jo apne bachchoN ko bhooka sula nahiN sakte
Khudaya mujh ko kayii dil a’taa kiye hotey
Keh ek dil meN kayii Gam sama nahiN sakte
Mujhe khushee hai keh saman bik gaya :Jawaid:
keh ab tou chor bee is ghar meN aa nahiN sakte
-----------------------------------------------------------
meri taza Ghazal(mushairah Urduduniya)
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
Re: meri taza Ghazal(mushairah Urduduniya)
moHtaram Biradaram Jawaid Badauni SaaHib tasleemaat!
kese mizaaj haiN? aap ko meHfil meN maojood paa kar dil khush ho geyaa. kheyaal hai keh kisee khaaS maSroofit ke baai'c aaj kal maHaafil meN kam dikhaaee dete haiN. meree khuwahish hai keh aap in maHaafil kee jaan haiN agar aap daaman kashee farmaa leeN ge to in chaopaalooN kaa wujood hee ma'araZ^-e-khat^ar meN paR jaae gaa. ReHanah SaaHibah ke shikaayat bajaa hai. aap tashreef nah laate to mere shikaayat naame kaa muNh bhee dekhnaa paRtaa. hameeN kisee qeemat par aap kee judaaee yaa Ghaer HaaZ^aree qubool naheeN. is liye azrah-e-e'naayat maaHfil ko aabaad rakhiye. ham sab ko aap kee shafqat kee Z^aroorat hai.
mah-e-rawaaN ke liye jahaN deegar SaaHibaan-e-qalam ne apne qalaam ke jaohar dikhae haiN wahaN aap kee Ghazal bhee aap ke makhSooS andaaz-e-bayaaN ko liye huwehai. jis meN nudrat-e-bayaan ke dilkash numune bhee haiN aor jadeed Ghazal gaoee ke HaseeN aor dilkash tajrube bhee haiN. Ghazal ke peraaeY meN mua'aasharate aor saamaajee masaa'ail ko aek makhSooS aor moHtaat^andaaz meN bayaan karna aaj ke e'ehd kee aham Z^aroorat hai. aor is silsilah meN aap kaa kirdaar jaandaar aor micaalee hai.
meree jaanib se is khubSurat aor dilkash Ghazal par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
Wasssalam
Muzaffar A Muzaffar

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Biradaram Jawaid Badauni SaaHib tasleemaat!

a'zeezi Muzaffar SaaHab, aadaab
jawab kuch taKheer se de raha hooN jis ke liye beHud naadim hooN. maiN bazm meN aata jaata rahta tha magar kuch bhej nahiN saka tha. bus kuch aisee hi maSroofiyaat aur majbooriyaN raheeN. warna aise achche aur pyare dostoN se kaun door rahna chahega. ghazal bohat sada thee, phir bhi aap ko bhaa gayee. yeh aap ki moHabbat hai. maiN bohat saadgee se kahta hooN is liye meri baat aasaani se logoN tak pahoonch jati hai. dil chaahta hai ab kuch rawish se haT kar kaha jaye. kub tak wohee puraney raag alaape jayeN? maiN tou kya cheez hooN aaj har shayar ki shairee per fikr.e duaraN aSar andaaz hai.
Insha Allah aap se rabT rahega. itne mazbooT rishte itni aasaanee se nahiN TooTte hain bhaii. Ghazal ki pazeeraayee ke liye beHud mamnoon hooN. Khoosh raheN!
aapka muKhliS
Jawiad Badauni
Re: meri taza Ghazal(mushairah Urduduniya)
wah jawaid bhai bahut khoob..ghazal aapke makhsoos rang mein hai aur jadeediyat liye hue hain...sabhi sher aasaan aur achche hain...bas ek cheez ki kami lagi ke aapne girha nahi lagayi :D Daad pesh hai is umda kaavish par .
Shumaila
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: meri taza Ghazal(mushairah Urduduniya)
Shummu wrote:wah jawaid bhai bahut khoob..ghazal aapke makhsoos rang mein hai aur jadeediyat liye hue hain...sabhi sher aasaan aur achche hain...bas ek cheez ki kami lagi ke aapne girha nahi lagayi :D Daad pesh hai is umda kaavish par .
Shumaila
Pahle yeh bataaiye mohtarmah keh aap haiN kahaN? hum duniya bhar men aap ko talash karte haiN aur aap yahaN baiThee hamaree ghazal per hameN apni daad se nawaz rahee haiN. Bhaii kahtee haiN tou kuch raah.o.rabt tou rakhiyega.
Khoosh raheN!
Jawaid