Guzarish#43 ke liye mere chand she'er!

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Guzarish#43 ke liye mere chand she'er!

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Yaaraan-e-meHfil aadaab-o-taslemaat!

mushae'rah meN taa Haal koee Ghazal naheeN a't^aa kee gaee Ghaleba" miSra' dushwaar hai. aor isee liye dostooN ne ab tak mushae'rah kaa baaqae'dah aaGhaaz naheeN kiyaa. khaer umeed hai keh chand GhazleeN aa hee jaeeN gee.

maiN apnee koshish le kar HaaZ^ir-e-khidmat hooN mulaHiZ^ah keejiye.

Ghazal

JunooN meN ehl-e-Gham jab daastaaN apnee sunaate haiN
"a'jab t^urfah tamaashah hai keh ro kar muskuraate haiN"


ham apne khun-e-dil se shamma'-e-ulfat jalaate haiN
magar jhuNke hawaa ke chaaroN jaanib se bujhaate haiN


bhaNwar se laakh bach nikleeN magar yeh ik Haqeeqat hai
kinaare par muHabbat ke safeene Doob jaate haiN!


a'jab raah-e-tamannaa hai qadam uThte to haiN lekin
najane kiyooN tere koche meN aakar Dagmagaate haiN?


khudaa jaane ho kyaa anjaam-e-ulfat is zamaane meN?
shab-e-tanhaaee meN u'shshaaq ke dil baeTh jaate haiN!


nah yeh maoqoof beHr-e-bekaraaN tak haiN nah SeHraa tak
mire naale ufaq se bhee pare meHshar uThaate haiN!


zabaan-e-Haal se har Zakhm-e-dil faryaad kartaa hai
jo ehl-e-Husn hote haiN wohee nishtar lagaate haiN!


ilaahee wusa'at-e-dunyaa-e-Gham kee intehaa kiyaa hai?
keh muddat se uThaa kar baar-e-hastee chalte jaate haiN!


kaheeN Gharqaab ho jaatee hai aa kar maoj saaHil par
kaheeN maoj-e-Hawaadic se kinaare Doob jaate haiN!


Z^ameer-e-lafz^-o-ma'nee ko :Muzaffar: dee zabaaN maiN ne
magar ehl-e-naz^ar yeh baat akcar bhool jaate haiN!

Muzaffar A Muzaffar



[/size][/i][/i][/size][/color]
Khurshidul Hasan Naiyer
-
-
Posts: 96
Joined: Thu Mar 20, 2008 8:23 am

Re: Guzarish#43 ke liye mere chand she'er!

Post by Khurshidul Hasan Naiyer »

muHtaram Muzaffar Sb

tasleemaat

be intihaa khoobSurat Ghazal jo aap ke khayaalat or afkaar kee bharpoor a'kkas hai. chamakte damakte alfaaz^ mieN baRe qeemtee ishaare or kinaaye. muHabbat, Husn or dard kee tarjumaan Ghazal par mujh t^alib-e-i'lm kee janib se DheroN daad or mubaarak baad qubool farmaakar i'naayat farmaaeN. khuSooSan yeh asha'aar mujhe bahut pasaN aaye

bhaNwar se laakh bach nikleeN magar yeh ik Haqeeqat hai
kinaare par muHabbat ke safeene Doob jaate haiN!

bahut khoob

a'jab raah-e-tamannaa hai qadam uThte to haiN lekin
najane kiyooN tere koche meN aakar Dagmagaate haiN?

kiyaa kahne haiN bhai waah waah

zabaan-e-Haal se har Zakhm-e-dil faryaad kartaa hai
jo ehl-e-Husn hote haiN wohee nishtar lagaate haiN!

sachhe tajurbe kee tarjumaanee lag rahee hai, daad

ilaahee wusa'at-e-dunyaa-e-Gham kee intehaa kiyaa hai?
keh muddat se uThaa kar baar-e-hastee chalte jaate haiN!

achaa She'r hai

Z^ameer-e-lafz^-o-ma'nee ko :Muzaffar: dee zabaaN maiN ne
magar ehl-e-naz^ar yeh baat akcar bhool jaate haiN!

khoob hai maqta'

ek achhee ghazal par daad de kar rukhSat hotaa hooN. ummeed hai aap bakhair hoNge.

Allah Hafiz

Khurshidul Hasan Naiyer
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: Guzarish#43 ke liye mere chand she'er!

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram K, H, Naiyyar SaaHib tasleemaat!

maiN nihayat sharmindah aor t^aalib-e-mua'aafee hooN keh aap ke khat^ kaa jawaab dene meN khaaSee takher kar geyaa. mujhe ummeed hai keh aap darguzar farmaa deN ge. inshAllah!

Aap ne bohot khubSurat aor nihayat puracar alfaaz^ meN khaadim kee HaoSlah afzaaee farmaate huwe daad-o-teHseen se bhee nawaza hai. maiN is murawwat aor khulooS ke liye saraapaa sipaas hooN Allah aap ko salamat rakhe. Aameen!

Ummeed hai yooN hee himmat baRhaate raheeN ge.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Post Reply