Mata'e quwwat

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
azeezbelgaumi
-
-
Posts: 420
Joined: Thu Apr 05, 2007 2:52 pm
Location: BANGALORE INDIA
Contact:

Mata'e quwwat

Post by azeezbelgaumi »

Image
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: Mata'e quwwat

Post by sbashwar »

Mohtaram Azeez Belgaumi Saheb
:salaam:
Ghazal ke har sheir qabil-e-daad hai.
Meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Wassalaam
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
User avatar
azeezbelgaumi
-
-
Posts: 420
Joined: Thu Apr 05, 2007 2:52 pm
Location: BANGALORE INDIA
Contact:

Re: Mata'e quwwat

Post by azeezbelgaumi »

Mohataram Salem Bashawer Saheb,

Assalamu Alaikum

Phone par baat ho chuki hai... Daad bhi aapne khub di hai... aur ab sukhanwar par aap ki dad wasool kar raha hun.. Aapka shukriya dad ke liye bhi aur sukhanwar ke sahih maqam par ise post karne ke liye bhi... Jazakallah..

Apna Khayal rakhen

wassalam

Azeez Belgaumi
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: Mata'e quwwat

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram A'zeez Bilgaumi SaaHib tasleemaat!

meHfil meN aap kee tashreef aawaaree khush aae'ind hai. lehazah Urdubandhan ke sabhee dostooN kee jaanib se aap ko kush aam deed kaha jataa hai. mujhe ummeed hai keh aap kee aamad se sabhee saathiyooN ko bohot khuch seekhne kaa maoqa' mile gaa. aor khuSuSa" jaesa keh mohtaram Bashwar SaaHib ne zikr kiyaa thaa keh aap bafaZ^l-e-khudaa Quraan-e-Hakeem par bhee kaam karrahe haiN. yeh bohot baRaa kaam hai. Allah kare keh aap yeh sabhee umoor bakhaer-o-khubee sar anjaam de paaeeN. aor aese iSlaaHee aor ta'meeree kaamooN meN mazeed HiSSah lete raheeN. Aameen!

Aap kaa kalam bahisht-e-naz^ar huwaa. khub maZ^amen nikaale haiN. kalam mataa'-e-den-o-eemaaN se labreez hai. dilkash kheyaalaat aor eemaanee Ghaerat-o-Hamiyat se bharpoor asha'aar aapke jazbah-e-islaami ke aae'nah daar haiN. kalam meN sachchaa jazbah kaarfarmaa hai. yahee wajah hai keh kalam nihayat purtaaceer ho geyaa hai.

mujhe qawee ummeed hai keh aap yooN hee apnee takhleeqaat se nawaazte raheeN ge. aor bazm kee raonaq kaa baae'c baneeN ge. inshAllah!

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
User avatar
azeezbelgaumi
-
-
Posts: 420
Joined: Thu Apr 05, 2007 2:52 pm
Location: BANGALORE INDIA
Contact:

Re: Mata'e quwwat

Post by azeezbelgaumi »

Mohataram Janab Muzaffar A Muzaffar Saheb

Assalamu Alaikum

Ummid ke mizaj e giram bakhair hoga.

Taakhir se jawab ke liye muaazirath pesh karta huN.

Aap ke sataayishi alfaaz ke jawaab meiN mere paas sirf duaayeN haiN. aur Bas...

Meri Khwahish hai ke aapke is taassur ko MPhil ke us maqaley meiN shamil karwaauN jo AZEEZ BELGAUMI FAN AWR SHAKHSIYAT ke unwan se TIRUPATI UNIVERSITY AP INDIA se ek naujawan taalib ilm Janab Shabbir Qazi Saheb ke zere tahqeeq hai jin se Salam Bashwar Saheb bhi Skype par guftagu kar chuke haiN.

2. Agar isi taassur ya taassuraat ko aap alag se mere e mail id azeezbelgaumi@hotmail.com par irsal farma deN to nawazish hogi.

Aapki nawazishat ka koi badal nahiN .... Shukriya bhi nahiN.... phir bhi shukriya.


Azeez Belgaumi
Post Reply