moHtaram S, Bashwar SaaHib tasleemaat!
Ghazal gaoee aek fan hai aor Nazir SaaHib bilashubah is fan ke nah Sirf maahir haiN balkeh is fan par qudrat bhee rakhte haiN. yahee wajha hai. keh in kee naok-e-qalam se aesee shahkaar GhazaleeN manaSSah-e-shahood par apnee jalwah aaraaee se har khaaS-o-a'aam ko apnee jaanib matawajjah karne meN kaamyaab ho jaatee haiN. bilamubaalghah mere mamdooH a'Sr-e-HaaZ^ir ke nihayat baaSalaHiyat shaae'ir haiN. jis par ham jitnaa bhee fakhr kareeN so utnaa hee kam ho gaa.
meree is Ghazal kee pesh kash par aap kaa be Had mamnoon hooN.
khush raheeN
wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Junoon-e-Ishq.. Abdullah Nazir
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- sbashwar
- -
- Posts: 1654
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
- Do you know URDU language?: Yes
- Location: Hyderabad, India
- Contact:
Junoon-e-Ishq.. Abdullah Nazir
- Attachments
-
- junooneishq2.gif (95.94 KiB) Viewed 42 times
سالم احمد باشوار
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact: