aik terhii ghazal

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Ehtesham Anwar
-
-
Posts: 19
Joined: Tue Oct 14, 2008 6:19 pm

aik terhii ghazal

Post by Ehtesham Anwar »

aap aHbaab ki kidmat aik terHi ghazal paesh hay...


Rukh-e-Zaiba lub-o-MizsgaaN nahi hay
Bahaar-e-Nau JunooN sa'maaN nahi hay

Tuloo-e-SubH ka imkaaN nahi hay
Koi jub dil mai hi mahmaaN nahi hay

Mah-e-aflaak ki soorat nikaltaa
Rukh-e-Khursheed jou uryaaN nahi hay

Pas-e-Perdaa rukh-e-tabaaN ka mazher
Chupa aisa kay kuch pinhaaN nahi hay

Junoo ki karfermai tu dekhoo
KaheeN se chaak ab damaaN nahi hay

Hikayaat ek zara mujnooN ki sunloo
Safer saHra ka kuch AasaaN nahi hay

Jou dawedaar haiN unko khaber kia
Ye kaar-e-Tiflaak-e-NadaaN nahi hay

Riiyaazat Chahiaay umr-e-Khizer kii
Ghazal kahna koi AasaaN nahi hay

SaNbhal ker bazm-e-ahl-e-fan mai Anwar
Ye koi Halqa-e-YaraaN nahi hay

Attachments
Rukh-e-Zeeba Lub-o-Miizgaan Nahi hay12.gif
Rukh-e-Zeeba Lub-o-Miizgaan Nahi hay12.gif (20.28 KiB) Viewed 1285 times
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Re: aik terhii ghazal

Post by Mahtab Qadr »

Janab Ehtesham Anwer sahib
salaam e masnoon
aapki purehtesham ghazal nazarnawaz huvi. saray sher pasand aaye aur baaz ashaar ziada dil ko lage jo hazb e zail haiN.
Junoo ki karfermai tu dekhoo
KaheeN se chaak ab damaaN nahi hay
junoN lagta hai bahut chalaak hogaya hai:)

Hikayaat ek zara mujnooN ki sunloo
Safer saHra ka kuch AasaaN nahi hay
bila shuba safar sahra ka asaaN nahi hai laikin aajkal ham sahra nasheenoN ko to Landrover ki wajah se asaan lagne laga hai. sher bahut achcha hai

Jou dawedaar haiN unko khaber kia
Ye kaar-e-Tiflaak-e-NadaaN nahi hay
is sher mai kis dawe ka zikr kya jaraha hai wazahat paida farma deiN to sher ko char chand lag jaiNge.

Riiyaazat Chahiaay umr-e-Khizer kii
Ghazal kahna koi AasaaN nahi hay
bahut khoob , bataur shayer mai aapki baat ka poori tarah aiteraaf karta hoN. baqaul e shayer,
shayeri khoon e jigar ka hai labalab saaghar
kisi kam zarf ki tafreeh ka samaaan nahee

SaNbhal ker bazm-e-ahl-e-fan mai Anwar
Ye koi Halqa-e-YaraaN nahi hay
aray bradar e azeez aisa bhi kya hai ke aap ne hamari bazm ko halqa e yaraN se kharij kardy jab ke ye to thait bazm e yaraaN hai.
ye bazm e yaar hai ahl e junoN ki
yahaN tazheek ka samaN nahi hai
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Re: aik terhii ghazal

Post by munir-armaan-nasimi »

Ehtesham Anwar wrote:aap aHbaab ki kidmat aik terHi ghazal paesh hay...

Rukh-e-Zaiba lub-o-MizsgaaN nahi hay
Bahaar-e-Nau JunooN sa'maaN nahi hay

Tuloo-e-SubH ka imkaaN nahi hay
Koi jub dil mai hi mahmaaN nahi hay

Mah-e-aflaak ki soorat nikaltaa
Rukh-e-Khursheed jou uryaaN nahi hay

Pas-e-Perdaa rukh-e-tabaaN ka mazher
Chupa aisa kay kuch pinhaaN nahi hay

Junoo ki karfermai tu dekhoo
KaheeN se chaak ab damaaN nahi hay

Hikayaat ek zara mujnooN ki sunloo
Safer saHra ka kuch AasaaN nahi hay

Jou dawedaar haiN unko khaber kia
Ye kaar-e-Tiflaak-e-NadaaN nahi hay

Riiyaazat Chahiaay umr-e-Khizer kii
Ghazal kahna koi AasaaN nahi hay

SaNbhal ker bazm-e-ahl-e-fan mai Anwar
Ye koi Halqa-e-YaraaN nahi hay



Beradaram Ehtesham Anwar Saaheb........ Hamaree Bazm main aap ka "Khair Maqdam" karte hoye mujhe badi khushi ho rahi hai keh...... ye Bandhan to pyar ka bandhan hai...... Urdu zaban o adab se pyar....... sher o shairi se pyar..... esko Todna itna aasaan nahin hai...... ummeed hai keh aap ess "bandhan" ko aur mazboot karne ke liye har mumkin koshish jaroor karenge.

Ab aapki Ghazal kii taraf aate hain....... Bhai main to ek tifl-e-maktab hoon sher o shairi ki mehfil main...... phir bhi aapki Ghazal mujhe ........ sarapa ghazal lagi...... har rukh se..... har zavia se...... sunder, sushil and sharmili sii Ghazal....!!

Kuch ek sher jo mujhe bohat achche lage....... aur kuch ek sher jo main apni na-samjhee ki wazah se samajh nahin paaya.. aapke gosh-guzaar kar deta hoon.... Agar aap samjhane ki zehmat gawara karein to main itna na-samajh bhi nahin keh samajh na sakoon..... :lol:

Rukh-e-Zaiba lub-o-MizsgaaN nahi hay
Bahaar-e-Nau JunooN sa'maaN nahi hay

Padhne main to achcha laga yeh matlaa...... magar merii samajh main nahin aaya yeh sher....!!

Mah-e-aflaak ki soorat nikaltaa
Rukh-e-Khursheed jou uryaaN nahi hay

Yeh sher bhi mere palle nahin pada.... misra-e-ola main "ki" ki jagah shayad "kis" kehna chaahte hain aap... warna misra-e-sani main "jou" kyon hota??? Ab plz. aap samjha diziye keh....... main kahaan ghalat hoon.

Jou dawedaar haiN unko khaber kia
Ye kaar-e-Tiflaak-e-NadaaN nahi hay

Masha'Allah.. achcha sher hai magar..... kaun se "Kaar" kii baat kar rahe hain aap? Aashiquee, Shairi, ya deegar kisi kaam ke baare main farmaa rahe hain?????

AB AATE HAIN MERI PASAND KE KUCH ASHAAR KII TARAF:

Tuloo-e-SubH ka imkaaN nahi hay
Koi jub dil mai hi mahmaaN nahi hay

WAH BHAI WAH... kya kehne hain... shaandaar sher hai... Daad qobool kiziye.... =D>

Junoo ki karfermai tu dekhoo
KaheeN se chaak ab damaaN nahi hay

Hikayaat ek zara mujnooN ki sunloo
Safer saHra ka kuch AasaaN nahi hay

Yeh dono ashaar Masha'Allah bahut khoob hain magar..... dono main Junoo ke rang alag alag hain..... yeh bhi aap ka hi kamaal hai..... Kahin MaznooN ki haalat dikha kar darra rahe hain aur kahin..... aaj-kal junoo main chaak e giraabaN nahin hota keh kar hausla bhi badhaaa rahe hain......... Wah Wah,,, Kya baat hai Ehtesham bhai....... Mubarak Ho...!!

Riiyaazat Chahiaay umr-e-Khizer kii
Ghazal kahna koi AasaaN nahi hay

Bilkul saheeh farmaya aapne magar Bhai jaan.... agar aap esi tarah darrate rahenge to hum jaise nau-warid sher kehna hi chhod denge..... kahaaN se laayenge umr-e-Khizer??? Waise kuch log ghazal thok ke hisaab se keh lete hain.....

Ghazal kehte hain jisko maangtii hai kitna lahoo
Log kehte hain keh Dhandaa bade aaraam ka hai

Behtareen sher pe Daad qobool karein... Masha'Allah... baat seedhe dil main utar gayi hai.

SaNbhal ker bazm-e-ahl-e-fan mai Anwar
Ye koi Halqa-e-YaraaN nahi hay

Jab yeh koi "Halqa-e-YaraaN" nahin hai to "Anwar Mian" yahaN kyon aaye hain..... :lol: Kya hum "DushmanoN" ko apni ghazal sunaane????? :oops:

Behad pyara maqta hai Ehtesham bhai... es main ek bahut hi nafees mashwerah bhi chhupa hoa hai..... jab hum kisi bazm-e-ahl-e-fan main hoN to hamein bohat sanbhal ke rehna, bolna, sun na chahiye...... Adab ki jagah hoti hai..... yaaroN ki mehfil nahin keh jo moonh main aaya bak gaye.........!!

Ek behad pyari ghazal ke ess na-cheez ki taraf se dher saare Daad ke phool pesh-e-khidmat hain... Gar qobool uftab.........!!

Aap ka apna,

Munir Armaan Nasimi
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: aik terhii ghazal

Post by jawaid badauni »

Ehtesham Anwar wrote:aap aHbaab ki kidmat aik terHi ghazal paesh hay...


Rukh-e-Zaiba lub-o-MizsgaaN nahi hay
Bahaar-e-Nau JunooN sa'maaN nahi hay

Tuloo-e-SubH ka imkaaN nahi hay
Koi jub dil mai hi mahmaaN nahi hay

Mah-e-aflaak ki soorat nikaltaa
Rukh-e-Khursheed jou uryaaN nahi hay

Pas-e-Perdaa rukh-e-tabaaN ka mazher
Chupa aisa kay kuch pinhaaN nahi hay

Junoo ki karfermai tu dekhoo
KaheeN se chaak ab damaaN nahi hay

Hikayaat ek zara mujnooN ki sunloo
Safer saHra ka kuch AasaaN nahi hay

Jou dawedaar haiN unko khaber kia
Ye kaar-e-Tiflaak-e-NadaaN nahi hay

Riiyaazat Chahiaay umr-e-Khizer kii
Ghazal kahna koi AasaaN nahi hay

SaNbhal ker bazm-e-ahl-e-fan mai Anwar
Ye koi Halqa-e-YaraaN nahi hay


moHtarmee Anwar SaaHab,
tasleemaat

Khush amdeed. beHud Haseen aur murassah ghazal se nawazah hai aap ne. zubaan ke e'tbaar se kuch mushkil ya ghair riwayatee alfaaz ne jahaN ghazal ko Husn baKhsha hai waheeN thoda sa saqeel bhi bana diya hai. aajkal log aasaan zubaan hi samajh pate haiN. lekin mujhe mukammal ghazal bahut achchi lagee.

mundarjazel miSre meN nah jane kyuuN "ka kuch" ki bandish mujhe achchi nahiN lagee. moaf kijiyega.

Safer saHra ka kuch AasaaN nahi hay

koyee tou maslihat hogee warna "safar sahraaoN ka aasaN nahiN hai" ziyadah Saaf lagta hai. mera Khyaal ghalat bhi ho sakta hai.maqSad tanqeed hargiz nahiN hai.

Ghazal per meri daad qubool farmaaiyega.

muKhliS
Jawaid Baaduni
Ehtesham Anwar
-
-
Posts: 19
Joined: Tue Oct 14, 2008 6:19 pm

Re: aik terhii ghazal

Post by Ehtesham Anwar »

Janab-e-maaan Mahtab shb!

Janab Ehtesham Anwer sahib
salaam e masnoon
aapki purehtesham ghazal nazarnawaz huvi. saray sher pasand aaye aur baaz ashaar ziada dil ko lage jo hazb e zail haiN.
Junoo ki karfermai tu dekhoo
KaheeN se chaak ab damaaN nahi hay
junoN lagta hai bahut chalaak hogaya hai:)
Jis qader aaj kay zamanay mai Insan aur insaniaat baywaq'aat horahi hai, us se kaheeN zayada insani raway'yooN mai naqabil-e-fahm tabdeliaaN arahi haiN....

Hikayaat ek zara mujnooN ki sunloo
Safer saHra ka kuch AasaaN nahi hay
bila shuba safar sahra ka asaaN nahi hai laikin aajkal ham sahra nasheenoN ko to Landrover ki wajah se asaan lagne laga hai. sher bahut achcha hai
bhaai ye maiN ne kab kaha kay aap jaisay Sahra nasheeno ki baat hay ye tu dewano ki bataeN haiN... aap jaisay khirad mundooN kay liaay tu bas ye aik khaail (play) hay.........jo landrover aur aeroplane kay zerye bhi khaila (play) jasakta hay #-o

Jou dawedaar haiN unko khaber kia
Ye kaar-e-Tiflaak-e-NadaaN nahi hay

is sher mai kis dawe ka zikr kya jaraha hai wazahat paida farma deiN to sher ko char chand lag jaiNge.

Riiyaazat Chahiaay umr-e-Khizer kii
Ghazal kahna koi AasaaN nahi hay

bahut khoob , bataur shayer mai aapki baat ka poori tarah aiteraaf karta hoN. baqaul e shayer,
Derasl ye Qataa band hay jo aap kah laiN kay typo ki wajhe se clear nahi hopaya baherHaal ager aap esay qataa band kay taur pe peRhaiNgay tu aap ki concerns doooooor hojaingi....... [-(

SaNbhal ker bazm-e-ahl-e-fan mai Anwar
Ye koi Halqa-e-YaraaN nahi hay
aray bradar e azeez aisa bhi kya hai ke aap ne hamari bazm ko halqa e yaraN se kharij kardy jab ke ye to thait bazm e yaraaN hai.
janab-e-maan maiN ne aik baat kahi hay kisi ki janib eshara nahi, waisay ye baat hay tu ahl-e-fun kay liaay aap kiooN pareshaaan horahay haiN...... :lol: [-X


umeed-e-qawi hay kay aap ki tashaf'fi hogaai hogii.


"kay Aaqil ra eshara ae kaafi ast"

Mukhlis,
Ehtesham Anwar
Ehtesham Anwar
-
-
Posts: 19
Joined: Tue Oct 14, 2008 6:19 pm

Re: aik terhii ghazal

Post by Ehtesham Anwar »

Beradaram Ehtesham Anwar Saaheb........ Hamaree Bazm main aap ka "Khair Maqdam" karte hoye mujhe badi khushi ho rahi hai keh...... ye Bandhan to pyar ka bandhan hai...... Urdu zaban o adab se pyar....... sher o shairi se pyar..... esko Todna itna aasaan nahin hai...... ummeed hai keh aap ess "bandhan" ko aur mazboot karne ke liye har mumkin koshish jaroor karenge.
"chaa pid'di chaa pid'di ka shourba", meri majaal kay aap kay hukm se roogerdani karooN

Ab aapki Ghazal kii taraf aate hain....... Bhai main to ek tifl-e-maktab hoon sher o shairi ki mehfil main...... phir bhi aapki Ghazal mujhe ........ sarapa ghazal lagi...... har rukh se..... har zavia se...... sunder, sushil and sharmili sii Ghazal....!!
Kuch ek sher jo mujhe bohat achche lage....... aur kuch ek sher jo main apni na-samjhee ki wazah se samajh nahin paaya.. aapke gosh-guzaar kar deta hoon.... Agar aap samjhane ki zehmat gawara karein to main itna na-samajh bhi nahin keh samajh na sakoon..... :lol:
Rukh-e-Zaiba lub-o-MizsgaaN nahi hay
Bahaar-e-Nau JunooN sa'maaN nahi hay
Padhne main to achcha laga yeh matlaa...... magar merii samajh main nahin aaya yeh sher....!!
(meray bhai ager aap ki samajh nahi aya tu aap kisi mustanad lugat se estefadaa karaiN..... :-)
baherHaal "Mahboob ki sorat-e-khush adaa na honay ki wajhe se bahar bhi apni joulaniaaN dekhanay se qasir hay")


Mah-e-aflaak ki soorat nikaltaa
Rukh-e-Khursheed jou uryaaN nahi hay
Yeh sher bhi mere palle nahin pada.... misra-e-ola main "ki" ki jagah shayad "kis" kehna chaahte hain aap... warna misra-e-sani main "jou" kyon hota??? Ab plz. aap samjha diziye keh....... main kahaan ghalat hoon.
(wo bot-tan'naz, wo shoula badan, wo lala rukh, wo aasman ki koi hoor ke jab bhi us ne rukh-e-roshan se naqab ulta chaarso faza maut'tar hogai, erd gird ki tamam ash'iaa ne us kay noor se gusl kia kay kaainaat kay manzer namay mai shumaar hosakaiN....baherHaal maiN us kay kia kia ausaaf biyaan karooN maiN usay kin lafzooN se pukarooN...
Khudaa ki sanaai ka HaseeN shahkaar,
Mah jabeeN shahkaar,
Dil nasheeN shahkaar,
aur najanay kia kia kuch es kay bawajood bhi mujhay nidamat hoti hay kay maiN gustakhi ker raha hooN us kay liaay ye alfaaz munasib nahi us kay liaay tu taasuwuur ki baykaraaN wus'saat shirt hay.......)

waisay ager aap kay mashwaray pe amal kia jaaey tu shayad misra behar se kharij hojaega..
aur jahaN tak aap ne typo ki baat ki hay tu aisi baat nahi maiN jou kahna chahta tha wahi maiN ne kaha bas zara.....


Jou dawedaar haiN unko khaber kia
Ye kaar-e-Tiflaak-e-NadaaN nahi hay
Masha'Allah.. achcha sher hai magar..... kaun se "Kaar" kii baat kar rahe hain aap? Aashiquee, Shairi, ya deegar kisi kaam ke baare main farmaa rahe hain?????
Jou dawedaar haiN unko khaber kia
Ye kaar-e-Tiflaak-e-NadaaN nahi hay
Riiyaazat Chahiaay umr-e-Khizer kii
Ghazal kahna koi AasaaN nahi hay

Derasl ye Qataa band hay jo aap kah laiN kay typo ki wajhe se clear nahi hopaya baherHaal ager aap esay qataa band kay taur pe peRhaiNgay tu aap ki concerns doooooor hojaingi.......

AB AATE HAIN MERI PASAND KE KUCH ASHAAR KII TARAF:

Tuloo-e-SubH ka imkaaN nahi hay
Koi jub dil mai hi mahmaaN nahi hay
WAH BHAI WAH... kya kehne hain... shaandaar sher hai... Daad qobool kiziye.... =D>
Junoo ki karfermai tu dekhoo
KaheeN se chaak ab damaaN nahi hay

Hikayaat ek zara mujnooN ki sunloo
Safer saHra ka kuch AasaaN nahi hay
Yeh dono ashaar Masha'Allah bahut khoob hain magar..... dono main Junoo ke rang alag alag hain..... yeh bhi aap ka hi kamaal hai..... Kahin MaznooN ki haalat dikha kar darra rahe hain aur kahin..... aaj-kal junoo main chaak e giraabaN nahin hota keh kar hausla bhi badhaaa rahe hain......... Wah Wah,,, Kya baat hai Ehtesham bhai....... Mubarak Ho...!!
donoo ashaar dou mukhtalif kaifyaat kay aak'kas haiN...
bahrHaal pasandeedgi ka shukria


Riiyaazat Chahiaay umr-e-Khizer kii
Ghazal kahna koi AasaaN nahi hay
Bilkul saheeh farmaya aapne magar Bhai jaan.... agar aap esi tarah darrate rahenge to hum jaise nau-warid sher kehna hi chhod denge..... kahaaN se laayenge umr-e-Khizer??? Waise kuch log ghazal thok ke hisaab se keh lete hain.....
Ghazal kehte hain jisko maangtii hai kitna lahoo
Log kehte hain keh Dhandaa bade aaraam ka hai
waisay aap ko kaha kisnay shair kahnaykay liaaay, bhaai qasam khaai hay kia aap nay shair kahnay kii...jaao yaar kaam waam karoo kion zindagi berbaad kertay hoo apni...
ye jumlay thay jou meray seniors nay mujhsay kahay thay jab maiN nau warid thaaaa. baherHaal acha lagta hay jab woo meri khud us baaat ka zikr kertay haiN.... waisay apas ki baat hay shairi merz-e-la'elaaj ast na khauf se aur na bahaduri se shair kahay jasaktah haiN wo Nasikh thay jin hooN ne akahRay maiN shair kahay....
Behtareen sher pe Daad qobool karein... Masha'Allah... baat seedhe dil main utar gayi hai.
aray janab ki bandaperwari hay..

SaNbhal ker bazm-e-ahl-e-fan mai Anwar
Ye koi Halqa-e-YaraaN nahi hay
Jab yeh koi "Halqa-e-YaraaN" nahin hai to "Anwar Mian" yahaN kyon aaye hain..... :lol: Kya hum "DushmanoN" ko apni ghazal sunaane????? :oops:
(yahaN lafz Anwar MiaaN estemaal kia hay aap ne mohteram lafzooN kay estemaal se pahlay zara us kay maHl'le estemaal se waqfiaat bhi zaroori hay, ager aap kay qareeb koi senior shair ya zabandaan mujood hoN tu un say zaroor rahnumaai Hasil karaiN es baray mai kay miaaN ham kis jaghe estemaal kertay haiN.....) :|

Behad pyara maqta hai Ehtesham bhai... es main ek bahut hi nafees mashwerah bhi chhupa hoa hai..... jab hum kisi bazm-e-ahl-e-fan main hoN to hamein bohat sanbhal ke rehna, bolna, sun na chahiye...... Adab ki jagah hoti hai..... yaaroN ki mehfil nahin keh jo moonh main aaya bak gaye.........!!
Nawazish

Ek behad pyari ghazal ke ess na-cheez ki taraf se dher saare Daad ke phool pesh-e-khidmat hain... Gar qobool uftab.........!!
Chaa khaahid kour juzz dou chasm-e-binaa.......
aik baar phir bandaperwari ka shukria

Aap ka apna,
Munir Armaan Nasimi[/quote]

Mukhlis,
Ehtesham Anwar
Last edited by Ehtesham Anwar on Thu Oct 23, 2008 7:23 am, edited 1 time in total.
Ehtesham Anwar
-
-
Posts: 19
Joined: Tue Oct 14, 2008 6:19 pm

Re: aik terhii ghazal

Post by Ehtesham Anwar »

Khush amdeed. beHud Haseen aur murassah ghazal se nawazah hai aap ne. zubaan ke e'tbaar se kuch mushkil ya ghair riwayatee alfaaz ne jahaN ghazal ko Husn baKhsha hai waheeN thoda sa saqeel bhi bana diya hai. aajkal log aasaan zubaan hi samajh pate haiN. lekin mujhe mukammal ghazal bahut achchi lagee.
zerahnawazi kay liaay shukria

mundarjazel miSre meN nah jane kyuuN "ka kuch" ki bandish mujhe achchi nahiN lagee. moaf kijiyega.
Safer saHra ka kuch AasaaN nahi hay
Janab ka tawajuh delanay ka shukria, jee haaN yahan tanafur jaisa aHtemaal maHsoos horaha hay gerchay hay nahi phir bhi....misra yuN peRha jaay..
Safer SaHra ka yuN aasaN nahi

waisay ye rawa rakha hay ustadooN ne
hay kahaaN tamanaa ka dosraa qadam yaarab
ham ne dast-e-emkaaN ko aik naqsh-e-pa payay
(pa paya) {Ghalib}

GulooN mai rang bharay baday nau bahar chalay
Chalay bhi aao kay gulshan ka karabaar chalay
(ka karobaar) {Faiz Ahmed Faiz}
koyee tou maslihat hogee warna "safar sahraaoN ka aasaN nahiN hai" ziyadah Saaf lagta hai. mera Khyaal ghalat bhi ho sakta hai.maqSad tanqeed hargiz nahiN hai.
(mera maqsood SaHra-e-wahid hay esliaay jamaa ka estemaal kuch munasib nahi)

Ghazal per meri daad qubool farmaaiyega.

mutashak'karam az aiN kay tauqeram fermoodi

muKhliS
Ehtesham Anwar
sajhashmi
-
-
Posts: 554
Joined: Thu Oct 23, 2008 7:40 am

Re: aik terhii ghazal

Post by sajhashmi »

Ehtesham Anwar wrote:aap aHbaab ki kidmat aik terHi ghazal paesh hay...


Rukh-e-Zaiba lub-o-MizsgaaN nahi hay
Bahaar-e-Nau JunooN sa'maaN nahi hay

Tuloo-e-SubH ka imkaaN nahi hay
Koi jub dil mai hi mahmaaN nahi hay

Mah-e-aflaak ki soorat nikaltaa
Rukh-e-Khursheed jou uryaaN nahi hay

Pas-e-Perdaa rukh-e-tabaaN ka mazher
Chupa aisa kay kuch pinhaaN nahi hay

Junoo ki karfermai tu dekhoo
KaheeN se chaak ab damaaN nahi hay

Hikayaat ek zara mujnooN ki sunloo
Safer saHra ka kuch AasaaN nahi hay

Jou dawedaar haiN unko khaber kia
Ye kaar-e-Tiflaak-e-NadaaN nahi hay

Riiyaazat Chahiaay umr-e-Khizer kii
Ghazal kahna koi AasaaN nahi hay

SaNbhal ker bazm-e-ahl-e-fan mai Anwar
Ye koi Halqa-e-YaraaN nahi hay

Ehtesham Anwar sahib aap kii ghazal dekh ker khooshi houi
aap ne kuch nah kehtey houey bohut kuch kehdeya aur jo
kaha jata hey guftani wa naguftani to yehaN voh mua`malah nahiN
k ma`ane bat`ne shair meiN alfaaz qir`taas per
Khas ker jo Ghazal kahna koi AasaaN nahi hay aap ney likha
beshak yehi baat hey verna Meer Taqi Meer kiyun kehtey
Mis`rah kabhi kabhi koi moazouN karouN hooN meiN
ya aik aur shair k baqoul
tabb nazer aati hey eik mis`rah e terr kii sSurat!
Allah kare mashq e sukhan awr fazouN terr
dua go
saj hashmi[/color]
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: aik terhii ghazal

Post by sbashwar »

Mohtaram Ehtesham Anwar saheb
:salaam:

Bohat khoob. aapki ye ghazal bar bar paRhne ko ji chahta hai. Bohat umda ghazal kahi aapne.
Kuch asha'ar zyada pasand aye hain:

Rukh-e-Zaiba lub-o-MizsgaaN nahi hay
Bahaar-e-Nau JunooN sa'maaN nahi hay

Tuloo-e-SubH ka imkaaN nahi hay
Koi jub dil mai hi mahmaaN nahi hay

Mah-e-aflaak ki soorat nikaltaa
Rukh-e-Khursheed jou uryaaN nahi hay

Jou dawedaar haiN unko khaber kia
Ye kaar-e-Tiflaak-e-NadaaN nahi hay

Riiyaazat Chahiaay umr-e-Khizer kii
Ghazal kahna koi AasaaN nahi hay

SaNbhal ker bazm-e-ahl-e-fan mai Anwar
Ye koi Halqa-e-YaraaN nahi hay

Meri dili daad aur mubarakbaad arz hai.

Mukhlis
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
Ehtesham Anwar
-
-
Posts: 19
Joined: Tue Oct 14, 2008 6:19 pm

Re: aik terhii ghazal

Post by Ehtesham Anwar »

Ehtesham Anwar sahib aap kii ghazal dekh ker khooshi houi
aap ne kuch nah kehtey houey bohut kuch kehdeya aur jo
kaha jata hey guftani wa naguftani to yehaN voh mua`malah nahiN
k ma`ane bat`ne shair meiN alfaaz qir`taas per
Khas ker jo Ghazal kahna koi AasaaN nahi hay aap ney likha
beshak yehi baat hey verna Meer Taqi Meer kiyun kehtey
Mis`rah kabhi kabhi koi moazouN karouN hooN meiN
ya aik aur shair k baqoul
tabb nazer aati hey eik mis`rah e terr kii sSurat!
Allah kare mashq e sukhan awr fazouN terr
dua go
saj hashmi


janabe Hashmi shb adab!

aap ki es qader hosla afzaai aur dilbastagi ka maiN behad mumnoon hooN ...

aap jaisay kohna mashq shair ki daad meray liay qabil-e-fakhr hay..

aap kay kalamaat meri sukhan'ni ko mahmeez rasaa haiN.

aap ki duaooN ka talib

Ehtesham Anwar
Ehtesham Anwar
-
-
Posts: 19
Joined: Tue Oct 14, 2008 6:19 pm

Re: aik terhii ghazal

Post by Ehtesham Anwar »

Janab S Bishwaar shb Adaab!

maiN ne jana kay meri maHnat jo ghazal kahnay mai serf hoi aaj woo sood samait wasol hogaai kay aap jaisay sukhan fahm ko pasand aagai....

aap ka behad mumnoon hooN ghazal ki pasandeedgi per..


mukhlis,
Ehtesham Anwar
Post Reply