Ghazal dahqaan kaee talkh sawalaat karaiN gay

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Ghazal dahqaan kaee talkh sawalaat karaiN gay

Post by Sohail Malik »

Azeezaan e bazm salaam!

aaj baRay arSay kay baad aik ghazal kay saath aap ki khidmet maiN haazir ho raha huN

apni raey say zarur nawaaziay ga

khair andesh

sohail malik
Attachments
dahkaan kaee talkh sawaalaat.gif
dahkaan kaee talkh sawaalaat.gif (26.03 KiB) Viewed 252 times
Last edited by Sohail Malik on Tue Sep 30, 2008 4:24 pm, edited 3 times in total.
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: Ghazal dahkaan kaee talkh sawalaat karaiN gay

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Biradaram Sohail Malik SaaHib aadaab-o-tasleemaat! :-)

Qiblah kaese mizaaj haiN? kahaN hote haiN? aap ko meHfil meN dekh kar jee bohot khush huwaa. Allah kare keh ab aap yooN he baaqaae'dagee se tashreef laate raheeN inshAllah!

Aap kee Ghazal jo aap ke makhSooS aor puraa'temaad lab-o-lehjah kee tarjumaan hai firdoos-e-naz^ar huee. aek baat jo mujhe aap ke kalam meN hameshah mutaacar kartee hai. woh hai aap kee nudrat-e-bayaanee. jis kaa is Ghazal meN bhee bharpoor a'ks aageyaa hai. na'e maZ^ameen aor fikr kee upaj ne kalam meN ras ghool diya hai. aor yahee wajah hai keh kalam majboor kartaa hai keh muSannif ko kheraaj-e-teHseen se nawaza jaae lehazah dilee daad qubool keejiye.

tashreef laate rahiye yeh to aap kee apnee chaopaal hai. takalluf kaesa? :-)

khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Re: Ghazal dahkaan kaee talkh sawalaat karaiN gay

Post by Sohail Malik »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:Biradaram Sohail Malik SaaHib aadaab-o-tasleemaat! :-)

Qiblah kaese mizaaj haiN? kahaN hote haiN? aap ko meHfil meN dekh kar jee bohot khush huwaa. Allah kare keh ab aap yooN he baaqaae'dagee se tashreef laate raheeN inshAllah!

Aap kee Ghazal jo aap ke makhSooS aor puraa'temaad lab-o-lehjah kee tarjumaan hai firdoos-e-naz^ar huee. aek baat jo mujhe aap ke kalam meN hameshah mutaacar kartee hai. woh hai aap kee nudrat-e-bayaanee. jis kaa is Ghazal meN bhee bharpoor a'ks aageyaa hai. na'e maZ^ameen aor fikr kee upaj ne kalam meN ras ghool diya hai. aor yahee wajah hai keh kalam majboor kartaa hai keh muSannif ko kheraaj-e-teHseen se nawaza jaae lehazah dilee daad qubool keejiye.

tashreef laate rahiye yeh to aap kee apnee chaopaal hai. takalluf kaesa? :-)

khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Muzaffar bhaee salaam!

umeed hay aap khairiet say hoN gay.

huee takheer to kuch baeC e takheer bhi tha ....

yeni aik shehr say dusray shehr muntaqili ka marhala darpesh tha. abhi naee jagah kay masael ka saamnaa ker rahaa huN jis ki wajah say likhnay peRhnay say duri hay.


aur aap say to muhabbat ka rishta hay aap say kaisee duri haaN majburi zarur aaRay aa jaati hay

duaoN maiN yaad rekhiay

khair andesh

sohail malik
akhtaranjum
-
-
Posts: 12
Joined: Wed Oct 22, 2008 1:07 am

Re: Ghazal dahqaan kaee talkh sawalaat karaiN gay

Post by akhtaranjum »

janaab sohail malik sahab adaab!
urdu bandhan maiN pehli baar haazir ho raha hooN
sb say pehlay aapki ghazal nazar say guzri

''dehkaan kaee talkh sawalaat karaiN gay''
jo waqaee achi oar khoob'soorat ghazal hay
pata chall raha hay keh koy raNg-e-sukhan hay

pehlay pehlay salaam kay saath dhairoN daad-o-tahseen qabool kiijay
harr baar naya zaat ka irfaan milaiga


kiya hii kehnay

mukhlis
AKHTAR ANJUM
Post Reply