moHtaram Dr, AHmad Ali Barqi SaaHib aadaab-o-tasleemaat!
Ummeed hai kheriyat se hooN ge. Aap ne jis khubSuratee se A'llamah MuHammad Iqbal ke do farasee qat^a'aat kaa manz^oom tarjumah kiya hai use dekh kar yeh andaazah lagana sehel ho jata hai keh aap ko bafaZ^l-e-aezdee zabaan-e-farasee par mukammal qudrat HaaSil hai. yahee wajah hai keh aap ne tarjumah kaa Haq bakhubee ada karte huwe A'llamah ke kheyalaat aor fikr kee SaHeH ya'nee man-o-a'an tarjumanee kar dee hai. jo laai'q-e-Sad daad-o-taoSeef hai. dilee daad qubool keejiye.
Ummeed hai aae'ndah bhee apnee e'lmee kaawishooN aor adabee mashaGhil se mustafeed farmate raheeN ge.
Wassalam
Muzaffar AHmad Muzaffar
Mohtaram Muzaffar Ahmad Muzaffar Sb
Aadaab o tasleemat
Hazrat Allama Iqbal ke Farsi qetea'at ka manzoom tarjumah aapko pasand aaya, is tashveeq aur hausalah Afzaaii ke liye mamnoon hoon.Insha Allah main is silsile ko mazeed jaari rakhne ki koshish karoonga. Ittelaaan arz hai ki mere Walid e mohtaram janab Rahmat Ilahi Barq Azmi marhhom ne Allama Iqbal aur Ghalib ke kalam ko manzoom mukaalme ki shakl dene ka ek silsilah shuroo kiya tha tha. Allama ki 25 aur Ghalib ki 12 ghzlon par likhe gaye manzoom mukalme agar aapki site par mahfooz ho sakein to ain nawaazish hogi. Yeh mukalme tafheem e Kalaam e Iqbal mein mua'awin ho sakte hai.Is silsile ka ek mukalmah Haazir e khidmat hai.
Guftah e Iqbal:
Jab Ishq sikhata hai aadaab e khud aagaahi
Khulte hain ghulamoon par asrar e shahanshahi
Guftah e Barq Azmi
Rahte hain khushamad mein kyon Hazrat e dargahi
Aayeinge samajh mein kab asrar e shahanshahi
Guftah e Iqbal
Aye tair e lahooti us rizq se maut achhi
jis rizq se aati ho parwaz mein kotahi
Guftah e Barq Azmi
Farmaein khushamad mein nuqsan hai kya aakhir
yeh murgh e musallam hai yeh koftah e maahi
Guftah e Iqbal
Dara o Sikandar se wah mard e faqir aula
Ho jiski faqiri men bu e asadullahi
Guftah e Barq Azmi
Kya aapka mansh hai ham banke rahein muflis
Aur lab pe faqiri ho aah e sahargaahi
Guftah e Iqbal
Aain e jawaan mardaan haq goi o babaki
Allah ke sheron ko aati nahin roobaahi
Guftah e Barq Azmi
Rukti hai aubaan apni haq baat ke kahne mein
Kahne hi nahin deta kuchh dabdabah e shahi