بیاد مولانا ابوالکلام آزاد
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
بیاد مولانا ابوالکلام آزاد
Maulana Azad
- Attachments
-
- Maulana Azad.gif (33.83 KiB) Viewed 189 times
http://www.drbarqiazmi.com
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
Re: بیاد مولانا ابوالکلام آزاد
moHtaram Dr, AHmad A'li Barqi SaaHib tasleemaat!
Aap kaa kalam-e-manz^oom bayaad-e-maolana Abul kalam Aazaad naz^ar nawaaz huwaa. mashAllah jis meN aap kee fikree upaj, Safaaee-e-bayaaN, ra'naee-e-kheyaal, ustadanah chabak dastee, aor barjastagee ke aese namune dekhne ko mile keh lut^f aageyaa. aap ne maoSoof kee fit^ree e'lmee aor fannee SalaHiyatooN ko jis khubSuratee se Safah-e-qirt^aas par muntaqil kiya hai. woh aap hee kaa HiSSah hai. wagarnah a'aam t^aor par is zamanah meN itnee furSat hee muyassar naheeN keh aadamee kisee shakS ke barah meN kuch likhne kaa qaSd kare lekin aap ne jahaN bharpoor andaaz meN unheeN khiraaj-e-teHseen pesh kiya hai. wahaN un kee aa'la aoSaaf kaa barmala aa'teraaf bhee kiya hai. jo apnee jagah qaabil-e-ta'reef hai. jazakAllah!
meree jaanib se is takhleeq par delee daad aor mubarak baad kaa toHfah qubool keejiye. qawee ummeed hai keh aap aae'ndah bhee yooN hee apne qalam se aese naadir e'lmee nuskhe takhleeq farmate raheeN ge. inshAllah!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Mohataram Muzaffar A Muzaffar Sb
Assalam o Alaikum
Aap ne jis mushfiqanah aur Mukhlisanah andaaz me meri tashweeq aur hausalah afzaaii ki hai wah aaka husn e nazar Jo aaindah mere ashhab e qalam ke liye mehmez ka kaam karega.Apne muhsinon ko kam az kam unki barsi ke hi mauqah par yaad kar lena hamara qaumi aur milli Farizah hai.Main ne yaum e sir Sayed ke mauqe par apna manzoom kheraj e aqeedat kai sites par post kiya tha lekin kisi ne dekhne ki bhi zahmat nahin ki.Is daur e "Qahturrejaal" main is baat ki sakht zaroorat hai ki:
Tazah khwahi dashtan gar daghhaay e sinah ra
Gahe gahe baaz khwaan in qissah e parinah ra
Sir Syed Par meri yeh Nazm aapke bashraf e mulahizah hazir e khidmat hai:
بیاد سر سید
از
ڈاکٹر احمد علی برقی
ذاکر نگر، نئی دھلی
ھے یہ سرسید کا فیضان نظر
جس نے شھر علم کے کھولے ھیں در
ھے علی گڈہ میں جو ان کی یادگار
ان کے نخل آرزو کاھے ثمر
گامزن راہ ترقی پر ھیں ھم
ان کی تعلیمات کا ھے یہ اثر
اپنے فرض منصبی کے ساتھ ساتھ
ان کی تھی حالات پر گھری نظر
لکھ کے اسباب بغاوت پر کتاب
قوم کے تھے رھنما بعد از غدر
جس گھڑی کوئی نہ تھا پرسان حال
تھی بھلائی قوم کی پیش نظر
وہ شعور فکر و فن کے تھے نقیب
علم کی عظمت سے تھے وہ با خبر
قوم کو ترغیب دے کر علم کی
زندہ جاوید ھے وہ دیدہ ور
یوم سرسید منائیں کیوں نہ ھم
ان کا ھے احسان ملک و قوم پر
زیب تاریخ جھاں ھے ان کا نام
کام ھے ان کا نھایت معتبر
تھے وہ بزم علم فن کی روشنی
هر طرف جو آج تک ھے جلوہ گر
علم ھے قفل سعادت کی کی کلید
علم سے ھے سرخرو نوع بشر
علم سے بڑہ کر نھیں ھے کوئی شے
اس کے آگے ھیچ ھے سب مال وزر
ان کا برقی ھے یہ احسان عظیم
ھم علوم عصر سے ھیں با خبر

- Ghazal(Mahshar e Khyal).gif (31.12 KiB) Viewed 180 times
http://www.drbarqiazmi.com
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
Re: بیاد مولانا ابوالکلام آزاد
mokarram-o-moHtaram Janaab Ali AHmad Barqi SaaHib tasleemaat!
Aap kee e'naayat hai keh aap gaahe gaahe apne dilpazeer kalam se mustafeed farmaate rehte haiN. yeh chaopaal aek behtareen zarei'ah-e-ablaaGh hai. jaesa keh aap Dehli ke baasee haiN aor khaadim dayaar-e-Ghaer (bart^aaniyah) kaa rehaae'shee hai. mujhe khushee hai keh aap ne qalam kaa saath nah choora aor kisee nah kisee t^arH is fan se wabastah haiN aor ham tishnaagaan-e-she'er-o-naGhmah ke zaoq-o-shaoq kaa ke bhee ehtemaam gar haiN.
Naee Dehli meN jahaN deegar eHbaab-e-fan maojood haiN wahaaN Dr, Waseem Rashid SaaHibah jo keh khaadim kee karam farma haiN. do aek baar London tashreef laa chukee haiN. agar kisee majlis meN mulaqaat ho to salaam keh deejiye gaa. isee maah Moscow meN Urdu Conf.. hai jahaN aaTh mumaalik se do do afraad ko dua'wat dee gaee hai. jis meN khaadim bhee inshAllah 19 Nov ko HaaZ^ir ho raha hai. aap se dua'aa kee darkhuwaast hai keh tamaam mua'aamlaat-e-safar bakhaer-o-khubee saranjaam pa jaeeN.
e'lawah azeeN maolana Aazad ke hawalah se jo asha'aar aap ne a't^aa kiye haiN. bilamubaalGhah qaabil-e-ta'reef-o-taoSeef haiN. meree jaanib se dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
Aap kee kalam kaa intez^aar rehne laga hai. inshAllah ab yeh raabit^ah ustuwaar rahe gaa. yeh aap kee apnee chaopaal hai. ise aap ne he sajana hai.
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar AHmad Muzaffar