aik Ghazal

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
akhtaranjum
-
-
Posts: 12
Joined: Wed Oct 22, 2008 1:07 am

aik Ghazal

Post by akhtaranjum »

AHbab ki nazr aik ghazal....

aaap kii aara ka muntazir..

Akhtar Anjum

Attachments
Apny ek pahchaan rakhtay haiN hamaray ghar alag.gif
Apny ek pahchaan rakhtay haiN hamaray ghar alag.gif (15.37 KiB) Viewed 979 times
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: aik Ghazal

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Akhtar Anjum SaaHib tasleemaat!

Aap se Ghaleba" pehlee baar mulaqaat ho rahee hai. aap kee tashreef aawaree baae'c-e-musarrat hai. Allah aap ko khush-o-aabaad rakhe.
Aap kee Ghazal firdoos-e-naz^ar huee kiya kehne asha'aar kee lat^afat aor seHer angeziyat ne dil jeet liya. is khubSurat Ghazal kee takhleeq par meree jaanib se dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

mujhe qawee ummeed hai keh aap yooN hee tashreef laate raheeN ge aor apne dilkash kalam se meHfil ko saja kar mamnoon farmaeeN ge. inshAllah!

Wassalam
Muzaffar AHmad Muzaffar
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: aik Ghazal

Post by jawaid badauni »

Waah Akhtar Saahab waah!

aisee dushwaar radeef aur aise bolte ashaa'r. subH subH aap ki Ghazal nazar nawaz huuwee hai. aaj ka din achcha hi guzrega, Insha Allah.

meree daad qubool farmaiiye.

Naacheez,

Jawaid Badauni
Muscat - Oman
sajhashmi
-
-
Posts: 554
Joined: Thu Oct 23, 2008 7:40 am

Re: aik Ghazal

Post by sajhashmi »

jawaid badauni wrote:Waah Akhtar Saahab waah!

aisee dushwaar radeef aur aise bolte ashaa'r. subH subH aap ki Ghazal nazar nawaz huuwee hai. aaj ka din achcha hi guzrega, Insha Allah.

meree daad qubool farmaiiye.

Naacheez,

Jawaid Badauni
Muscat - Oman

Jjawaid Badayuni Sahib khuda kare aap ka dinn achcha guzergaya ho!
aap ne Akhtar Anjum Sahib ki ghazal pasand kii iss ka matleb yeh k aap
bhi Mo laley ko pasand aur baretney valey heiN cheh khoob janab
Phir bhi Khoosh rahiyey
Syed Anwer Jawaid Hashmi ](*,)
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: aik Ghazal

Post by jawaid badauni »

sajhashmi wrote:
jawaid badauni wrote:Waah Akhtar Saahab waah!

aisee dushwaar radeef aur aise bolte ashaa'r. subH subH aap ki Ghazal nazar nawaz huuwee hai. aaj ka din achcha hi guzrega, Insha Allah.

meree daad qubool farmaiiye.

Naacheez,

Jawaid Badauni
Muscat - Oman

Jjawaid Badayuni Sahib khuda kare aap ka dinn achcha guzergaya ho!
aap ne Akhtar Anjum Sahib ki ghazal pasand kii iss ka matleb yeh k aap
bhi Mo laley ko pasand aur baretney valey heiN cheh khoob janab
Phir bhi Khoosh rahiyey
Syed Anwer Jawaid Hashmi ](*,)

S.Anwar Jawaid Hashmi SaHab,

aapkee baat ko samajhne se qaaSir hooN. apne mauqif ki wazahat farmaiye:

(1) mera tabsarah Akhtar Saahab ki ghazal per tha phir jawab aap ne kyuun diya hai?

(2) Mo Laley alfaz se aap ki kya murad hai?

(3) aap ne mujhe khush rahne ki du'a ke saath PHIR BHI alfaz ka istaimal kyuuN kiya hai?

aapke jawabaat ka muntazir,

Jawaid Badauni
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Re: aik Ghazal

Post by Mahtab Qadr »

janab Anjum Akhtar sahib
salaam e masnoon
aapki ghazal ka her sher apni nauyat ke aitebaar se munfarid aur waqt ki zaban ban kar qari ke zahn o dil ko mutasir kar raha hai. bahut khoob meri dili mubarakbaad pesh e khidmat hai.
is sher ne to poori qaum ki nabz par hath rakh dya hai, Allah aapko jazaye khair de aur qaum ko is masale mai hidayat ata farmaaye.aameen.
muttahid karna barha dushwaar hai is qaum ka
jis ke hoN maslak juda masjid juda , membar alag

niazmand
Mahtab
sajhashmi
-
-
Posts: 554
Joined: Thu Oct 23, 2008 7:40 am

Re: aik Ghazal

Post by sajhashmi »

mein majmoi tour per apni ghazal ko pasand kerney walouN ka shukriya ada kertey houey Mehtab Qadr saheb ki tawajuh
uss sheir ki janeb mabzoul kervata houN jo unhouN ne darj kertey houey Uss qoam ki bajaiey iss qoam kerdiya
tamam ehbaab ka shukriya

wassalam
Akhtar Anjum =D>
sajhashmi
-
-
Posts: 554
Joined: Thu Oct 23, 2008 7:40 am

Re: aik Ghazal

Post by sajhashmi »

Jawaid Badayuni Saheb Aadab!

Aap ne Akhtar Anjum Saheb k hawaley se jo nukat barae istafsaar darj kiyey unn ka jawab kya doouN
Moal lay ker aap bhi lalay likh sektey heiN abb bhi nah samajh aaiye tau meiN kya kerouN!
Akhtar Saheb ko jawab dena thaa bilkul durust mager yeh fermaiyey kya kisi aur ko tabsiraey kaa haqq nahiN
Phir bhi khoosh raheiN aur koi baat nagawar e khatir ya zehn o qalb per garaN guzri to mua`zzret
Syed Anwer Jawaid Hashmi
talib e illm o adeb [-o<
Post Reply