Ghazal: 46thTarhi Moshaairah:Ahmad Ali Barqi Azmi

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
aabarqi
-
-
Posts: 596
Joined: Tue Oct 07, 2008 11:09 am
Location: New Delhi
Contact:

Ghazal: 46thTarhi Moshaairah:Ahmad Ali Barqi Azmi

Post by aabarqi »

Ghazal: 46thTarhi Moshaairah {Urdubandhan}:Ahmad Ali Barqi Azmi
Attachments
46mushaira urdubandhan.gif
46mushaira urdubandhan.gif (44.63 KiB) Viewed 738 times
http://www.drbarqiazmi.com
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: Ghazal: 46thTarhi Moshaairah:Ahmad Ali Barqi Azmi

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram A'li AHmad Barqi SaaHib aadaab-o-tasleemaat! :-)

Mushae'rah meN aap kee shirkat se jis qadar mujhe khushee aor masarrat kaa eHsaas huwaa hai. use alfaaz^ meN bayaaN karnaa ju-e-sheer lana hai. meree dilee kaefiyat kaa andaazah Sirf maiN hee kar saktaa hooN. so aap kee tashreef aawaree jahaN ham sab ke liye baae'c-e-khushee hai. wahaN aap kee yooN bharpoor aamad baae'c-e-iftekhaar bhee hai. mujhe ummeed hai keh aap yooN hee tashreef laate raheeN ge aor apnee be panah she'eree aor takhleeqee SalaHiyatooN se ehl-e-mejlis ko mustafeed farmaate raheeN ge. inshAllah!

Aap kee t^arHee Ghazal HaseeN alfaaz^ aor purkashish tarakeeb kaa HaseeN imtejaaz hai. jazbah-o-kheyaal jawaN hai. khud aa'temaadee jo aap ke lab-o-lehjah kee pehchaan hai. kalam se Saaf z^aahir hai. zer-e-naz^ar kalam meN saadagee meN purkaaree paedah karne kaa kaamyaab tajrubah kiya geya hai. jo apnee jagah laai'q-e-daad hai. bahai'ciyat-e-majmua'ee Ghazal Ganjeenah-e-lafz^-o-mua'nee bhee hai aor mataa'-e-ranG-e-taGhazzul bhee. har miSra' qaabil taoSeef hai. is meN shubah kee koee gunjaai'sh naheeN keh aap ne apnee zood gaoee ke saath saath fannee pukhtagee ko haath se naheeN jaane diya. aor e'Sree rujHaanaat qalabee waardaat aor TaGhazzul kee chaashnee ne Kalam meN hamAahangee aor nudrat-e-bayaaN kee Aamezish shaamil kar dee hai. jis kee wajah se Ghazal dilkash aor SeHer angeez ho gaee hai.

meree jaanib se is kaamyaab shahkaar kee takhleeq par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

Muzaffar AHmad Muzaffar
User avatar
aabarqi
-
-
Posts: 596
Joined: Tue Oct 07, 2008 11:09 am
Location: New Delhi
Contact:

Re: Ghazal: 46thTarhi Moshaairah:Ahmad Ali Barqi Azmi

Post by aabarqi »

Poetic Compliment To Janab Muzaffar AHmad Muzaffar Sb
By Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi



Ho Muzaffar ko Mubarak Roos ka Ilmi Safar

Ho muzaffar ko Mubarak Roos ka ilmi safar
Aath mulkon ke jahaan par ja rahe hai didahwar

Unka yeh Ezaaz hai is baat ka waazah suboot
Urdu duniya mein hain unke karname motabar

Shairi se unki hai ganj e maa'ni jalwahgar
Unke Rashhaat e qalam hain mazhar e fikr o nazar

Unka tarz e kaar hai nakhl e sa'adat ka samar
Unki adabi khidmatein hai marjah e ahl e nazar

Ja Rahe hain Masko ko ab wah Englistan se
Murgh e Urdu ne hain khole aaj barqi baal o par

Ahmad Ali Barqi Azmi[/size][/color]
http://www.drbarqiazmi.com
User avatar
aabarqi
-
-
Posts: 596
Joined: Tue Oct 07, 2008 11:09 am
Location: New Delhi
Contact:

Re: Ghazal: 46thTarhi Moshaairah:Ahmad Ali Barqi Azmi

Post by aabarqi »

Muazffar.gif
Muazffar.gif (32.78 KiB) Viewed 713 times
http://www.drbarqiazmi.com
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1655
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: Ghazal: 46thTarhi Moshaairah:Ahmad Ali Barqi Azmi

Post by sbashwar »

Mohtaram Dr. Baarqi Saheb
:salaam:

Jo ahl-e-zarf haiN inko hi aane ki ijazat hai
Ye woh mehfil hai jismein koi begana nahiN aata

Mosharey mein bohat hi khubsoorat ghazal pesh ki hai. Har sher daad mangta hai.
Meri dher sari daad aur mubarakbaad arz hai.

Aapka mukhlis
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
User avatar
aabarqi
-
-
Posts: 596
Joined: Tue Oct 07, 2008 11:09 am
Location: New Delhi
Contact:

Re: Ghazal: 46thTarhi Moshaairah:Ahmad Ali Barqi Azmi

Post by aabarqi »

Mohtaram Salem Bashwar Sb
Aadaab O Tasleemaat
Aapne mera badhaya hausalah
Aapke husn e nazar ka shukriyah
Mukhlis
Ahmad Ali Barqi azmi
http://www.drbarqiazmi.com
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: Ghazal: 46thTarhi Moshaairah:Ahmad Ali Barqi Azmi

Post by haamidbaaqri »

Assalaam o alaikum
mohtaram ahmad ali barqi sahib

hum apsay pehli baar mukhaatib hau rahay haiN.

maahay rawaaN kay micray per aapki kaavish hameN bahut acchi lagi.

hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah.

mukhlis
haamid baaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Post Reply