Aadab o tasleem
Mehfil meiN iss khayal ce phir'''''''''''''''''''''''''''
S Anwer Jawaid Hashmi
Tazah Ghazal
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
Tazah Ghazal
- Attachments
-
- hasmiez2.GIF (18.77 KiB) Viewed 186 times
- munir-armaan-nasimi
- -
- Posts: 460
- Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
- Location: INDIA
- Contact:
Re: Tazah Ghazal
Daawah tha keh manzil hai meri chand Qadam par
Main agla Qadam rakh na saka Pal se nikal kar
MASHA'ALLAH.. KYA KHOOB GHAZAL HAI... EK EK SHER APNI DAAD KHUD USOOL KAR LETA HAI...... BOHAT HI SHAANDAAR GHAZAL HAI HASHMI SAAHEB... MUBAARAKAN........!!
Dua-go
Armaan
Main agla Qadam rakh na saka Pal se nikal kar
MASHA'ALLAH.. KYA KHOOB GHAZAL HAI... EK EK SHER APNI DAAD KHUD USOOL KAR LETA HAI...... BOHAT HI SHAANDAAR GHAZAL HAI HASHMI SAAHEB... MUBAARAKAN........!!
Dua-go
Armaan
-
- -
- Posts: 24
- Joined: Sat Dec 31, 2005 9:41 pm
- Location: jubail.ksa
- Contact:
Re: Tazah Ghazal
sajhashmi wrote:Aadab o tasleem
Mehfil meiN iss khayal ce phir'''''''''''''''''''''''''''
S Anwer Jawaid Hashmi
[b]hashmi sahib .
aadab .
gazal nazar nawaz huwi , kahein kahein yo'n laga ke gazal chulbuley pan ka shikar ho kar hazal ho gai hai ,
matla be rabt hai ,, ula kuch kah raha hai , cani kuch aur hi , khaar chapal se nikal kar paer me chubha ?????
yani ulti samt se . khaar amoodi shakl me aap ka muntazir tha , ke yeh aap ka paao'n pad>ha . aur woh chubha ....oooffff kabhi kabhi sleepar ka belt( yani hawai chappal ka fita apne kisi khaney se nikal jata hai . tou log amooman chappal haath me utha kar ussey dubarah ussi khaney me daal detey hain , aur dubara pahan kar chalney lagtey hain , khaer shayed ula misra issi mas a ley ki janib isharah kar raha hai
janab ab jangal se koi nahi aata , sarey darindey shar me hi hotey hain , siyasi huliye me . shahri intezamiya wale . safed posh .... police wale .... khudkush hamla aawaro'n ki toliyaa'n ......
yeh gul ji kon hai ????aur ism_e_ilahi se iska keya ta_alluq hai ??//keya gul ji ya gul khan ki jisaamat itni mukhtasar hai ke woh botal me sama sakey ?? hashmi sahib gazal ka naam le kar kahiein aap duwa taaweez
ka karobaar tou shuroo karne wale nahi hain ?????.
chaey ki talab hotel se nikaal kar bazm_e-adab me le gai , lekin yeh talab zeyadah thee ya zada ?????
raees zadey tou nahi they ??? ameer zadey tou nahi they kahein ???? faqeer zadey they keya ?shareef zadey ???
tou hargiz nahi ho saktey .. sahih kaha na main ne ??? bhala bataein do rupey ki chaey ke liye bazm_e_sukhan me ja ghussey ??? kahein woh woh haraam >>>>>>>........ tawba tawba , moaaf kijiye > zahn udhar chala gaya , moaaf kijiye . bhala aap ki gazal me unka keya kaam >>>>..!!!!!
baqi ke ash_aar bas keya kaho'n , dusrey ehbaab ke liye chor diye , woh apni aa_ra se nawazein gein , .
haa'n maqta me roti wo chawal ka istemaal bhi khoob hai .
bahr haal yeh aadhi gazal aur aadhi hazal ke liye meri nek khwahishaat qabool karein daad aur qahqahaey .
khaer andesh
dilshadnazmi
=D> =D> :mrgreen: [/b]
dilshadnazmi.jubail.ksa
- sbashwar
- -
- Posts: 1654
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
- Do you know URDU language?: Yes
- Location: Hyderabad, India
- Contact:
Re: Tazah Ghazal
Mohtaram Syed Anwar J. Hashmi Saheb
# 2 sheir zyada pasand ayaa. Jo daur hazira par hai.
Meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Mukhlis
Salem Bashwar
# 2 sheir zyada pasand ayaa. Jo daur hazira par hai.
Meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Mukhlis
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار