Fasana Baney Ga

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Steve Almas
-
-
Posts: 43
Joined: Mon Jun 06, 2005 6:52 pm

Fasana Baney Ga

Post by Steve Almas »

Nayi Ghazal pesh-e-khidmat he. Umeed ha passand aaye gi
Mukhlis
Steve Almas
Image
Mera Ishq ik din fasana baney ga
Khaber kiya thi dushman zamana baney ga
Girein gi wahan bijliyan dekh lena
Woh jis shakh per aashiana baney ga
Jiye ga bhala kesey phir zindagi bhar
Jo tir-e-nazar ka nishana baney ga
Kathan ho ga phir dharhkanon ka tasalsal
Yeh dil dard ka jab thikana baney ga
Mera dil liya tha yeh ab jaan bhi le lo
Koyi merney ka to bahana miley ga
Terey husn ka iss zamaney mein Almas
Ham sa na koi dewana miley ga
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: Fasana Baney Ga

Post by sbashwar »

Mohtarami Steve Almas Saheb
:salaam:

Girein gi wahan bijliyan dekh lena
Woh jis shakh per aashiana baney ga

Bohat achchi ghazal kahi aapne. Meri dili daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Mukhlis
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
Steve Almas
-
-
Posts: 43
Joined: Mon Jun 06, 2005 6:52 pm

Re: Fasana Baney Ga

Post by Steve Almas »

Mohtarami Steve Almas Saheb


Girein gi wahan bijliyan dekh lena
Woh jis shakh per aashiana baney ga

Bohat achchi ghazal kahi aapne. Meri dili daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Mukhlis
Salem Bashwar
Salem Saheb
Ghazal ki pasandeedgi ka purkhuloos shukriya qabool kijiye.
Aainda bhi hoslaafzai farmaiye ga Khushi hogi

Doaa go
Steve Almas
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Re: Fasana Baney Ga

Post by munir-armaan-nasimi »

Kathan ho ga phir dharhkanon ka tasalsal
Yeh dil dard ka jab thikana baney ga

Masha'Allah......

Behad shaandaar aur haseen ghazal hai... Daad qobool karein.... !!
Steve Almas
-
-
Posts: 43
Joined: Mon Jun 06, 2005 6:52 pm

Re: Fasana Baney Ga

Post by Steve Almas »

Kathan ho ga phir dharhkanon ka tasalsal
Yeh dil dard ka jab thikana baney ga

Masha'Allah......

Behad shaandaar aur haseen ghazal hai... Daad qobool karein.... !!
Mohtrami Munir-Armaan Saheb
Bohat shukriya, karam, meherbani
Khoobsoorat Dad ke liye :grin: :grin:
Khair Andesh
Steve Almas
Post Reply