Merey Sath Chal

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Steve Almas
-
-
Posts: 43
Joined: Mon Jun 06, 2005 6:52 pm

Merey Sath Chal

Post by Steve Almas »

Aik aour taza kalam ke sath hazir hooa hoon, umeed he pasand aaye ga.
Image
Merey ajnabi merey aashna
Merey sath chal merey sath chal
Aa qadam se merey qadam mila
Merey sath chal merey sath chal

Kabhi rastey they juda juda
na tha manzalon ka ata pata
Sar-e-Rah to mujey mil gaya
Merey sath chal merey sath chal

Tera sath he to he zindagi
He ajab saroor jo he bekhudi
Teri qurbatein gehra nasha
Merey sath chal merey sath chal

Kahein dekh ker tanha mujhey
Barhey pyar se di sada mujhey
Terey pyar per dil-o-jan fida
Merey sath chal merey sath chal

To mila to dil ko sakoon he
Mera ishq beshak janoon he
To nahein to jeney mein kiya maza
Merey sath chal merey sath chal

Almas ho jo qareeb ter
Rahe fasila na ho koi dar
Merey Hamsafer merey Rahnuma
Merey sath chal merey sath chal

Steve Almas
[/color]
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: Merey Sath Chal

Post by sbashwar »

Mohtaram Steve Almas Saheb
:salaam:

To mila to dil ko sakoon he
Mera ishq beshak janoon he
To nahein to jeney mein kiya maza
Merey sath chal merey sath chal

Aapka ye andaaz-e-kalaam bhi bohat pasand ayaa.
Daad aur mubarakbaad qubool farmaye.

Aapka mukhlis
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
sonu
nau-waarid
Posts: 8
Joined: Thu Sep 20, 2007 11:21 pm

Re: Merey Sath Chal

Post by sonu »

mohtaram steve saheb



To mila to dil ko sakoon he
Mera ishq beshak janoon he
To nahein to jeney mein kiya maza
Merey sath chal merey sath chal

mujhe bhi yeh ashaar baht pasnd aaye

der aaye dorst aaye ](*,)
Be khadar ki yaari main hum ne sau dukh paaya hai

Kikar par angoor chadhaya har khosha zakhmaaya hai
Steve Almas
-
-
Posts: 43
Joined: Mon Jun 06, 2005 6:52 pm

Re: Merey Sath Chal

Post by Steve Almas »

To mila to dil ko sakoon he
Mera ishq beshak janoon he
To nahein to jeney mein kiya maza
Merey sath chal merey sath chal

Aapka ye andaaz-e-kalaam bhi bohat pasand ayaa.
Daad aur mubarakbaad qubool farmaye.

Aapka mukhlis
Salem Bashwar
Janab Salem Saheb
Adab
Iss bar apki mushkil ko nazr mein rakhtey hooay mein ne Ghazal ko Roman
rasm-ul-khat mein pehley hi shamil ker diya tha, aainda bhi iss ka khiyal
rakhoon ga, takeh diqat na ho. Andaz-e-kalam pasand aaya, iss ke liye teh
dil se shukriya Yeh shehr mujhey bhi kafi acha laga, Daad ke liye bhi
shukriya qabool kijiye

Khair andesh
Steve Almas
[/color]
Steve Almas
-
-
Posts: 43
Joined: Mon Jun 06, 2005 6:52 pm

Re: Merey Sath Chal

Post by Steve Almas »

mohtaram steve saheb



To mila to dil ko sakoon he
Mera ishq beshak janoon he
To nahein to jeney mein kiya maza
Merey sath chal merey sath chal

mujhe bhi yeh ashaar baht pasnd aaye

der aaye dorst aaye
Sonu Ji
Der Ayed Drust Ayed wali baat pasand aayi
Samjha keh aapka ishara Dil ke sakoon ki janib hoga, agar yehi baat he to
uoon kehiye sakoon-e-wasl ka maza hi to jeeney ka sahara banta he, Sahi he na
:grin: :grin: :grin:
Dooa go
Steve Almas
Ehtesham Anwar
-
-
Posts: 19
Joined: Tue Oct 14, 2008 6:19 pm

Re: Merey Sath Chal

Post by Ehtesham Anwar »

Almas shb adab!

khoob janab kia kahnay hain aap kay....

jee khush howa, behad daad qabool fermaiN.

mukhliis,
EHtesham Anwar
Post Reply