"itna aasaaN bhee naheeN tujh se muHabbat karnaa"

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

"itna aasaaN bhee naheeN tujh se muHabbat karnaa"

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Arbaab-e-Zaoq aor SaaHibaan-e-qalam aadaab! :-)

Mushae'rah Urduduniya mah-e-rawaaN Guzarish#41 ke liye agarcheh kal she'er maozooN huwe the. lekin badqismatee se woh kaheeN khu gae. ab kuch miSre' yaad the aor chand na'e keh kar aap kee khidmat meN HaaZ^ir hooN. Ummeed hai pasand farmaeeN ge aor apnee be laag aaraa' se bhee meHroom nah rakheeN ge. shukriyah!

Ghazal

1,
Z^abt^-e-Gham karna nah iz^haar kee jura't karnaa!
"itnaa asaaN bhee naheeN tujh se muHabbat karnaa"

2,
mazhab-e-e'shQ kaa laazim hai fareeZ^ah yeh bhee
u'mr bhar ek but-e-kaafir kee e'baadat krnaa!

3,
is se behtar thaa keh maiN kunj-e-Qafas meN rehtaa
jaaN se jana hai tere shehr se hijrat karnaa!

4,
ham gadaayaan-e-reh-e-e'shq kaa dastoor hai yeh
ek faqat^ dard-e-muHabbat peh Qanaa't karnaa!

5,
mar nah jaooN kaheeN maiN saoZ-e-Gham-e-furqat se
Charah gar mujh peh zara Chashm-e-e'naayat karnaa!

6,
khudkushee kiya hai yeh ham ehl-e-wafaa se poocho?
dil ko begaanah-e-eHsaas-e-muHabbat karnaa!

7,
thaa kabhee ranG-e-Hinaa baaei'c-e-aaGhaaz-e-junooN
ab usee dast-e-jafaa kesh peh baee't karnaa!

9,
ek khalish hai jo huee kaar-e-wafaa kaa HaaSil
is peh ab kiya dil-e-nadaaN ko malamat karnaa?

10,
laakh t^ufaan-e-bala khez hooN dil meN :AHmad:
un kee meHfil meN taRap kar nah Qeyaamat karnaa!


Muzaffar AHmad Muzaffar
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Re: "itna aasaaN bhee naheeN tujh se muHabbat karnaa"

Post by Sohail Malik »

Muzaffar bhaee bohat arSay kay baad bazm maiN aana hua aur aap ki is murasa ghazal ko jalwah pazeer payaa.

daad qabul kijiay

majmui taCer maiN jo kami nazar ayee woh mazameen ki kami ka ehsaas hay. sheroN ka infiraadi taaCer kia raha? dekhtay haiN!

Ghazal

1,
Z^abt^-e-Gham karna nah iz^haar kee jura't karnaa!
"itnaa asaaN bhee naheeN tujh se muHabbat karnaa"

mujhay yeh joR aap kay mayyar kay mutabiq nahiN laga.


2,
mazhab-e-e'shQ kaa laazim hai fareeZ^ah yeh bhee
u'mr bhar ek but-e-kaafir kee e'baadat krnaa!

acha sher hay

3,
is se behtar thaa keh maiN kunj-e-Qafas meN rehtaa
jaaN se jana hai tere shehr se hijrat karnaa!

khub janaab!

4,
ham gadaayaan-e-reh-e-e'shq kaa dastoor hai yeh
ek faqat^ dard-e-muHabbat peh Qanaa't karnaa!

Theek hay

5,
mar nah jaooN kaheeN maiN saoZ-e-Gham-e-furqat se
Charah gar mujh peh zara Chashm-e-e'naayat karnaa!

Theek hay

6,
khudkushee kiya hai yeh ham ehl-e-wafaa se poocho?
dil ko begaanah-e-eHsaas-e-muHabbat karnaa!

achaa sher hay

7,
thaa kabhee ranG-e-Hinaa baaei'c-e-aaGhaaz-e-junooN
ab usee dast-e-jafaa kesh peh baee't karnaa!

sher ka mafhum kuch khul nahiN sakaa

9,
ek khalish hai jo huee kaar-e-wafaa kaa HaaSil
is peh ab kiya dil-e-nadaaN ko malamat karnaa?

acha sher hay

10,
laakh t^ufaan-e-bala khez hooN dil meN :AHmad:
un kee meHfil meN taRap kar nah Qeyaamat karnaa!


acha sher hay

duaoN maiN yaad rekhiay

khair andesh

sohail malik
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: "itna aasaaN bhee naheeN tujh se muHabbat karnaa"

Post by haamidbaaqri »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:
Arbaab-e-Zaoq aor SaaHibaan-e-qalam aadaab! :-)

Mushae'rah Urduduniya mah-e-rawaaN Guzarish#41 ke liye agarcheh kal she'er maozooN huwe the. lekin badqismatee se woh kaheeN khu gae. ab kuch miSre' yaad the aor chand na'e keh kar aap kee khidmat meN HaaZ^ir hooN. Ummeed hai pasand farmaeeN ge aor apnee be laag aaraa' se bhee meHroom nah rakheeN ge. shukriyah!

Ghazal

1,
Z^abt^-e-Gham karna nah iz^haar kee jura't karnaa!
"itnaa asaaN bhee naheeN tujh se muHabbat karnaa"

2,
mazhab-e-e'shQ kaa laazim hai fareeZ^ah yeh bhee
u'mr bhar ek but-e-kaafir kee e'baadat krnaa!

3,
is se behtar thaa keh maiN kunj-e-Qafas meN rehtaa
jaaN se jana hai tere shehr se hijrat karnaa!

4,
ham gadaayaan-e-reh-e-e'shq kaa dastoor hai yeh
ek faqat^ dard-e-muHabbat peh Qanaa't karnaa!

5,
mar nah jaooN kaheeN maiN saoZ-e-Gham-e-furqat se
Charah gar mujh peh zara Chashm-e-e'naayat karnaa!

6,
khudkushee kiya hai yeh ham ehl-e-wafaa se poocho?
dil ko begaanah-e-eHsaas-e-muHabbat karnaa!

7,
thaa kabhee ranG-e-Hinaa baaei'c-e-aaGhaaz-e-junooN
ab usee dast-e-jafaa kesh peh baee't karnaa!

9,
ek khalish hai jo huee kaar-e-wafaa kaa HaaSil
is peh ab kiya dil-e-nadaaN ko malamat karnaa?

10,
laakh t^ufaan-e-bala khez hooN dil meN :AHmad:
un kee meHfil meN taRap kar nah Qeyaamat karnaa!


Muzaffar AHmad Muzaffar
Assalaam o alaikum
muzaffar bhaaii saahib

aapki tarhi ghazal aapka apna munfarid andaaz liye hue mehfil ko garmaa rahi hai.

is dilkash ghazal per hamaari dilee daad qubool farmaaiyeN.

aapka apna
haamid baaqari
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: "itna aasaaN bhee naheeN tujh se muHabbat karnaa"

Post by sbashwar »

Mohtaram Muzaffar A. Muzaffar Saheb
:salaam:

mazhab-e-e'shQ kaa laazim hai fareeZ^ah yeh bhee
u'mr bhar ek but-e-kaafir kee e'baadat krnaa!

:mash: aapki ghazal ka har sheir dil ko cho liya. Meri dher sari daad aur mubarakbaad arz hai.

Mukhlis
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
Post Reply