غزل سھل ممتنع : انتظار

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
aabarqi
-
-
Posts: 596
Joined: Tue Oct 07, 2008 11:09 am
Location: New Delhi
Contact:

غزل سھل ممتنع : انتظار

Post by aabarqi »

غزل سھل ممتنع : انتظار

Ghazal : Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi

Usne kaha tha aaoonga kal
Ginta tha main ek ek pal

Kal aayaa aur guzar gaya
Aaya nahin woh jaan e ghazal

Dekh raha hoon uski raah
Pad gaye peshani par bal

Pooch raha hoon logon se
Jhank rahe hain sabhi baghal

Bool utha mujh se yeh raqeeb
Meri tarah ab tu bhi jal

Koi nahin hai uske siwa
Kare jo meri mushkil hal

Aati hai jab uski yaad
Man ho jata hai chanchal

Uska kheram e naaz na pooch
Khati ho jaise naagin bal

Soz e duroon jab laya rang
Shama e mohabbat gaii pighal

Aa gaya ab woh laut ke ghar
Uska iradah gayaa badal

Ahmad Ali Barqi hai shaad
Us ki tabiat gaii sanbhal
Ghazal Intezar.gif
Ghazal Intezar.gif (32.37 KiB) Viewed 183 times
http://www.drbarqiazmi.com
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: غزل سھل ممتنع : انتظار

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Biradaram AHmad Barqi SaaHib aadaab!

Aaj hee aap kee yeh Ghazal jo sehl-e-mumtena' meN kahee gaee hai. dekhne kee taofeeq milee. mashAllah bohot achchee koshish hai. Mir ne saadagee meN purkaaree paedah kee aor deegar shua'raa ke e'laawah FaiZ^ bhee is fan ko aage le kar chale. aap ke kalam meN bhee aese namune kacrat se milte haiN keh jis meN ise SalaHiyat kaa iz^aar kiya geya hai. mujhe yeh Ghazal aapke deegar kalaam kee t^arH be Had pasand aaee. so meree jaanib se is kaawish par dilee daad pesh-e-khidmat hai.

khush raheeN
Muzaffar AHmad Muzaffar
User avatar
aabarqi
-
-
Posts: 596
Joined: Tue Oct 07, 2008 11:09 am
Location: New Delhi
Contact:

Re: غزل سھل ممتنع : انتظار

Post by aabarqi »

Mohtaram Muzaffar AHmad Muzaffar Sb
Aadaab
Aapne Mera Badhaya hausalah
Aapke husn e nazar ka shukriyah
aabarqi

http://draabarqi.tripod.com
http://www.drbarqiazmi.com
Post Reply