Assalaaam o alaikum
dosto
taza tarhi ghazal hum aapki bacaaratoN ki nazr kar rahay haiN
gar qubool uftad zahay....
arz kiya hai.....
humnay islam say seekha hai 'ebaadat karna
'ishqay moula meiN har ik banday ki khidmat karna
is haseeN duniya meiN jee karkay shareefoN ki tarah
hum musalmaanoN ko hai 'aam sharaafat karna
haaji bankar bhi jau insaan nahiN ban paaye
unka baykaar hua hajjo ziyaarat karna
dekho zaahir nah karo 'ayb kisee kay warna
humkau pahunchayega dauzakh meiN yeh gheebat karna
kat bhi sakti hai zabaaN 'ishq meiN tere moula
" itna aasaaN bhi nahiN tujh say mohabbat karna"
odhkar sham o sahar humkau libaasay taqwa
apnay in qadmoN kau hai baicay barkat karna
jau haiN naamard wohi maangtay phirtay haiN jahez
hai bajaa aisaoN peh haamid tira l'aanat karna
nateejaye fikr
haamid baaqri
al hamdulilah
"is haseeN duniya meiN"taza tarhi ghazal peshay khidmat hai
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
"is haseeN duniya meiN"taza tarhi ghazal peshay khidmat hai
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa

- sbashwar
- -
- Posts: 1654
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
- Do you know URDU language?: Yes
- Location: Hyderabad, India
- Contact:
Re: "is haseeN duniya meiN"taza tarhi ghazal peshay khidmat hai
Mohtaram Haamid Baaqri Saheb
humnay islam say seekha hai 'ebaadat karna
'ishqay moula meiN har ik banday ki khidmat karna
Bohat achcha sheir hai.
is haseeN duniya meiN jee karkay shareefoN ki tarah
hum musalmaanoN ko hai 'aam sharaafat karna
Wah
haaji bankar bhi jau insaan nahiN ban paaye
unka baykaar hua hajjo ziyaarat karna
bohat khoob.
dekho zaahir nah karo 'ayb kisee kay warna
humkau pahunchayega dauzakh meiN yeh gheebat karna
Wah wah bohat khoob
kat bhi sakti hai zabaaN 'ishq meiN tere moula
" itna aasaaN bhi nahiN tujh say mohabbat karna"
Allah himmat de, ameen. Wah.
odhkar sham o sahar humkau libaasay taqwa
apnay in qadmoN kau hai baicay barkat karna
Wah
jau haiN naamard wohi maangtay phirtay haiN jahez
hai bajaa aisaoN peh haamid tira l'aanat karna
Ye sheir sabse zyada pasand aayaa. Bohat khoob.
Meri daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.
Mukhlis
Salem Bashwar

سالم احمد باشوار
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: "is haseeN duniya meiN"taza tarhi ghazal peshay khidmat hai
aapki mukhlisanah daad aur mubaarakbaad ka hum tahay dil say shukria ada karte haiN.sbashwar wrote:Mohtaram Haamid Baaqri Saheb
wa alaikumussalaam
mohtaram salem bashwar saahib
humnay islam say seekha hai 'ebaadat karna
'ishqay moula meiN har ik banday ki khidmat karna
Bohat achcha sheir hai.
bahut bahut shukriya
is haseeN duniya meiN jee karkay shareefoN ki tarah
hum musalmaanoN ko hai 'aam sharaafat karna
Wah
shukriya
haaji bankar bhi jau insaan nahiN ban paaye
unka baykaar hua hajjo ziyaarat karna
bohat khoob.
shukriya
dekho zaahir nah karo 'ayb kisee kay warna
humkau pahunchayega dauzakh meiN yeh gheebat karna
Wah wah bohat khoob
bahut bahut shukriya
kat bhi sakti hai zabaaN 'ishq meiN tere moula
" itna aasaaN bhi nahiN tujh say mohabbat karna"
Allah himmat de, ameen. Wah.
ilaahi aameen.shukriya
odhkar sham o sahar humkau libaasay taqwa
apnay in qadmoN kau hai baicay barkat karna
Wah
shukriya
jau haiN naamard wohi maangtay phirtay haiN jahez
hai bajaa aisaoN peh haamid tira l'aanat karna
Ye sheir sabse zyada pasand aayaa.
zahay naseeb
Bohat khoob.
shukriya
Meri daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.
Mukhlis
Salem Bashwar
JAZAKALLAH
AAPKA APNA
HAAMID BAAQARI
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
-
- -
- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
Re: "is haseeN duniya meiN"taza tarhi ghazal peshay khidmat hai
bha'ee SaHeb
bojhat a'alaa
bohat hi a'alaa
laa jawaab
Allah miyaaN qabul fermaaiN
wassalam
bojhat a'alaa
bohat hi a'alaa
laa jawaab
Allah miyaaN qabul fermaaiN
wassalam
live and let live
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: "is haseeN duniya meiN"taza tarhi ghazal peshay khidmat hai
jazakallahtahira Masood wrote:bha'ee SaHeb
jee...farmaaiye
bojhat a'alaa
bohat hi a'alaa
laa jawaab
bahut bahut shukriya
Allah miyaaN qabul fermaaiN
ilaahi aameen
wassalam
aapka abhaaii
haamid
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
Re: "is haseeN duniya meiN"taza tarhi ghazal peshay khidmat hai
Biradaram Haamid Baaqri SaaHib Assalamo Alikum!
Ummeed hai kheriyat se hooN geY. aap kaa kalam dekh chukaa thaa lekin barwaqt daad-o-mubarak baad nah de sakaa jis ke liye sharmindah hooN. aor taakheer hotee gaee. ummeed hai darguzar farmaa deeN ge.
mushae'rah Urdu duniya Guzarish#41 ke liye aap kaa har dil a'zeez kalam naz^ar afrooZ huwaa. aap ne apne mizaaj, jibillat, Hamiyat-e-eemanee aor Ghaerat-e-Islamiee kaa waaZ^eH cuboot faraham karte huwe apne taacuraat eHsaasaat aor meHsusaat ko jazbaat kee be panah aawezish se milaa kar apnee tawaanaee-e-Qalam aor Quwwat-e-takhleeq kee u'mdah micaal qaae'm kee hai.
Aap ne shaae'ree ke bal butee par in HaseeN-o-iSlaaHee kheyalaat ko tajrube aor eHsaas kee rahooN par chalate huwe nah Sirf u'qdah-e-Zindagee ko wa kiya hai. balkeh Hayaat aafareeN peGhaam paham pohunchaayaa hai. aor saath hee saath Haayaat-e-daae'mee kaa pataa bhee diyaa hai. jo Sirf aor Sirf raZ^aa-e-Ilahee aor perawee-e-rasool-e-A'arabee(S) meN muZ^mir hai. Haerat kee baat yeh hai keh is u'qdah kushaee meN aap ne Ghazal ke Husn aor us kee azalee ra'anaaee ko bhee haath se naheeN jane diya. aor Ghazal ke fit^ree Husn ko baHaal rakhaa.
humnay islam say seekha hai 'ebaadat karna
'ishqay moula meiN har ik banday ki khidmat karna
mashAllah! SubhaanAllah!
is haseeN duniya meiN jee karkay shareefoN ki tarah
hum musalmaanoN ko hai 'aam sharaafat karna
mashAllah! SubhaanAllah!
haaji bankar bhi jau insan nahiN ban paaye
unka baykaar hua hajjo ziyaarat karna
mashAllah! SubhaanAllah!
dekho zaahir nah karo 'ayb kisee kay warna
humkau pahunchayega dauzakh meiN yeh gheebat karna
mashAllah! SubhaanAllah!
kat bhi sakti hai zabaaN 'ishq meiN tere moula
" itna aasaaN bhi nahiN tujh say mohabbat karna"
mashAllah! SubhaanAllah! Bohot khubSurat Girah lagee hai.
odhkar sham o sahar humkau libaasay taqwa
apnay in qadmoN kau hai baicay barkat karna
mashAllah! SubhaanAllah!
jau haiN naamard wohi maangtay phirtay haiN jahez
hai bajaa aisaoN peh haamid tira l'aanat karna
mashAllah! SubhaanAllah!
is khubSurat takhleeq par mere jaanib se dilee daad aor purkhulooS mubarak baad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Assalaam o alaikumMuzaffar Ahmad Muzaffar wrote:Biradaram Haamid Baaqri SaaHib Assalamo Alikum!

muzaffar bhaii saahib
aapkay yeh besh qeemti kalaymaat hamaray liye koyee khazaanay say kam nahiN haiN.
allah(sbhnwt)aap per rahmatoN ki baarish karay.aameen
aapka apna
haamid baaqari