Arbaab-e-meHfil aor SaaHibaan-e-Zaoq Aadaab-o-tasleemaat!
GuZarish#41 ke liye apne chand asha'aar le kar maojood-e-khidmat hooN. ummeed hai pasand farma kar shukriyah ada karne kaa maoqa' faraham kareeN ge. aor apnee qeematee aara' se bhee nawazeeN ge. inshAllah!
Ghazal
1,
Dil ko Qateel-e-jalwah-e-janaaN bana diya!
Shaam-e-alam ko SubH-e-darakhshaaN bana diya!
2,
likh kar SaHeefah Gham ka lahu meN Dubo diya
khun-e-jigar ko Zeenat-e-u'nwaaN bana diya!
3,
Ab eHteyaat^ kee koee Surat naheeN rahee
Qalb-e-HaZeeN ko shua'lah badamaaN bana diya!
4,
WeeraaN rakhaa nah ka'bah-e-dil ko tumhareY ba'ad
ek but taraash kar use yaZdaaN bana diya!
5,
kuch is adaa se yaar tabassum fishaaN huwaa
SeHraa ko pal meN rashk-e-GulistaaN bana diya!
6,
aeY Qaes! mujh ko paas-e-junooN hai isee liye
"jo Gham huwaa use Gham-e-janaaN bana diya"
7,
:AHmad: jigar figaar ne pee kar Zeher ke ghooNT
seenah tamaam Ganj-e-shaheedaaN bana diya!
Muzaffar :AHmad: Muzaffar