ek husn kaa dariyaa kabhee qatraa naheeN hotaa !

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
PK Swami
-
-
Posts: 102
Joined: Wed Jul 06, 2005 2:59 am
Location: Delhi
Contact:

ek husn kaa dariyaa kabhee qatraa naheeN hotaa !

Post by PK Swami »

sabhee dostN ko aadaab.

guzaarish 47-tarahee misre par jo aazmmaish kee hai vo
aap kee khidmat meiN haazir hai. urdu se bohat door
hote hue bhee main kitnaa paas hooN-ye aap jaante
haiN. yaqeen hai k aapkee faraakhdilee meri adabee
kamee ko door karne meiN madadgaar saabit hogee.
aap kee araa aur islaaH kaa muntzir hooN.

ham aaNkh uThaa leN to hai qatl kaa ilzaam
vo qatl bhee karte hain to charchaa naheeN hotaa

tu aashiqe.e nashaad ko vo lamhaa bataa de
jis waqt tere cheHre pe pardaa naheeN hotaa

oos aaNkh ko kis aaNkh se dekhegaa zamanaa
jis aaNkh se roshan teraa cheHraa naheeN hotaa

har teraa sitam ek gul.e beganaa banaa hai
dil hai k kabhee aalam.e seHraa naheeN hotaa

dil khastaa mukammal ho agar naaz hai unko
kyoN zakhm.e jigar bol tu geHraa naheeN hotaa

ek zoq.e aseree to naheeN jazb.e muhabbat
kahte haiN k aazaad pe peHraa neheeN hotaa

har rag meiN muhabbat hee muhabbat hai munawwar
ek husn kaa dariyaa kabhee qatraa naheeN hotaa !

PK Swami
mujhe dil diyaa to taRap bhee de
jo hooN doosroN kaa sharik.e gham
mujhe aisey dil kee talab naheeN
jo kisii ke kaam na aa sake
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: ek husn kaa dariyaa kabhee qatraa naheeN hotaa !

Post by sbashwar »

Mohtaram PK Swami Saheb
aadaab

har rag meiN muhabbat hee muhabbat hai munawwar
ek husn kaa dariyaa kabhee qatraa naheeN hotaa !

Wah bohat khoob. Aapki tarhi ghazal bohat umda hai.
Meri daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.

Mukhlis
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
Post Reply