Aap kee jaanib se yeh fil badeeh naz^m a't^aa kee gaee hai. jise dekh kar jee khush ho geyaa. aap ne baRee rawaanee aor salaasat se maZ^ameen ko she'er-o-miSra' ke saanche meN Dhaala hai. jo qaabil daad hai. so meree jaanib se is koshish par ilee daad aor mubaarak baad qubool keejiye.
رکھئے عزیز آپ سدا یاد رفتگاں
ھے یاد ان بزرگوں کی اک گنج شایگاں
غالب، انیس، میر تقی میر،ذوق و داغ
ان کے بغیر ادھوری ھے اردو کی داستاں
سردار جعفری ھوں کہ احمد فراز ھوں
ان کا کلام آج ھے اک نقش جاوداں
رحمت الھی برق ھوں یا کیفی اعظمی
اک روز یہ سپھر ادب پر تھے ضوفشاں
اردو غزل کا آج ھے دامن بہت وسیع
اقبال کا کلام ھے عظمت کا اک نشاں
ھے کاروان اردو ھمیشہ رواں دواں
اب دیکھئے ٹھہرتی ھے جا کر نظر کہاں
فی البدیہ
Salaam Barqi SaaHeb
bohat khoob
bohat achay andaaz maiN aap ne in bazurg sho'araa ko khiraaj-e teHseen pesh kiya hai, aur aaj k qaari ko aik baar phir inke qadr-o-manzilat ka aHsaas dilaaya hai. waise tau in ki tareef kernaa suraj ko charaagh dikhaana hai. magar in kaa ham per haq hai keh ham in ko yaad rakhiN. yeh woh laug haiN jo urdu adab kaa stoon haiN.