Haalaat e Haazira peh parindoN kii guftugu

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
ismail ajaz
-
-
Posts: 436
Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm

Haalaat e Haazira peh parindoN kii guftugu

Post by ismail ajaz »

www.urdujahaan.com meiN post kii ga'ee nazm urdubandhan se bandhan baandhne ke liye tamaam aihl e bazm kii nazr

Haalaat e Haazira peh parindoN kii guftugu


ay suno !......................

humaara kaunsii dunya meiN abb baseraa hai
jahaaN peh chhaaya huwa har taraf andheraa hai

na rishta daariyaaN insaaN nibhaa rahaa hai kaheeN
na zimadaariyaaN apnii uThaa rahaa hai kaheeN

jise bhii dekho raah e faraar chaahta hai
nigaaheiN pher ke dil ka qaraar chaahta hai

hai khud numaa'ee,har ikk shakhS meiN banaawaT hai
freb o jhooT meiN kirdaar kii sajaawaT hai

kaheeN peh zindagii ka qatl e aam jaaree hai
kaheeN peh kaif o mastee suroor taarii hai

kaheeN peh bhook hai aflaas hai tabaahee hai
kaheeN peh ayesh hai,aur zeest tarz e shaahee hai

kisii ko faKhr hai Khud ke kafeel hone ka
kisee ko qalq hai kamtar zaleel hone ka

kaheeN peh zindagii be aabroo sisaktee hai
kaheen peh dekho tow Hayewaaniyat thiraktee hai

chalo hum apnii na'ee dunya ko basaa'aiN ge
aur apna aashiyaaN insaan se bachaa'aiN ge

ajab urooj hai inn ka ajeeb pastii hai
"khayaal" yeh dunya ! naheeN panchhiyoN kii bastii hai

Ismail ajaz khayaal
Attachments
parindoN kii guftugu.gif
parindoN kii guftugu.gif (107.52 KiB) Viewed 526 times

محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا

muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

Ismail Ajaz Khayaal

(خیال)
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Re: Haalaat e Haazira peh parindoN kii guftugu

Post by tahira Masood »

Ajaz SaHeb

salaam

aap ne kamaal ki tazmeen ki hai

bohat a'alaa alfaaZ aur takhayyul hai

naghmagee se bherpuur hai =D> =D> =D> :rose

aur saath hi ankheiN kholne waala kalaam bhi hai

aaj kal is terah ki shaairee ki bohta zaroorat hai

yeh qalmi jehaad hai jis mai HiSSah laina hamaara ferz hai

magar afsos kitne haiN jo is teraf sochte haiN

Allah Ta'alaa is se bohtoN ko aql pakaRne ki taufeeq.aameen

wassalam
live and let live

Image
User avatar
ismail ajaz
-
-
Posts: 436
Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm

Re: Haalaat e Haazira peh parindoN kii guftugu

Post by ismail ajaz »

tahira Masood wrote:Ajaz SaHeb

salaam

aap ne kamaal ki tazmeen ki hai

bohat a'alaa alfaaZ aur takhayyul hai

naghmagee se bherpuur hai =D> =D> =D> :rose

aur saath hi ankheiN kholne waala kalaam bhi hai

aaj kal is terah ki shaairee ki bohta zaroorat hai

yeh qalmi jehaad hai jis mai HiSSah laina hamaara ferz hai

magar afsos kitne haiN jo is teraf sochte haiN

Allah Ta'alaa is se bohtoN ko aql pakaRne ki taufeeq.aameen

wassalam
moHtaramah "TAHIRA MAS"OOD SaHebah
assalaam o alaikum

aap ke nehaayat HauSla afza aur bharpoor andaaz e pazeeraa'ee ne merii himmat bandhaa'ee hai,maiN aap ka taih e dil se shukr guzaar hooN,Allah aap ko dunya aur aakhirat kii kaamyaabiyoN se nawaaze.

sachchii baat kii Himaayat karna bhii jihaad hai,fitrat ke khilaaf hone waalii har cheez peh kuRhna bhii jihaad hai,aiHsaas ka apnii nehej peh barqaraar raihna bhii jihaad hai,naikii ko naikii aur badii ko badii tasleem karte raihna bhii jihaad hai,aur apnii kamzorii aur kam himmatii par taasuf pazeer hona bhii jihaad hai,aur Allah se apne andar himmat o HauSla baRhaane kii duaa o justuju meiN lage raihna bhii jihaad hai.yeh woh saarii shakleiN haiN jin meiN eemaan ki Haraarat baaqii hai,aur agar humaare ird gird hone waalii bad aamaaliyaaN be usooliyaaN humeiN hotii hu'ee nazar aarahii haiN aur hum Tass se mass naheeN ho rahe tow eemaan kii chhuTTee

Allah hum sab ke eemaanon kii Hifaazat farma'ay (aameen)

Ismail ajaz khayaal

محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا

muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

Ismail Ajaz Khayaal

(خیال)
sajhashmi
-
-
Posts: 554
Joined: Thu Oct 23, 2008 7:40 am

Re: Haalaat e Haazira peh parindoN kii guftugu

Post by sajhashmi »

Tahirah Masood sahiba ne durust fermaiya S Anwer Jawaid Hashmi eis review per 2 baar Suaad aur 3 barr
Ismail ajaz k khayaal ki terceel per mubarakbaad detey heiN.wah wah wah =D>
User avatar
ismail ajaz
-
-
Posts: 436
Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm

Re: Haalaat e Haazira peh parindoN kii guftugu

Post by ismail ajaz »

sajhashmi wrote:Tahirah Masood sahiba ne durust fermaiya S Anwer Jawaid Hashmi eis review per 2 baar Suaad aur 3 barr
Ismail ajaz k khayaal ki terceel per mubarakbaad detey heiN.wah wah wah =D>

moHtaram janaab S Anwer Jawaid Hashmi SaHab

aap kii jaanib se HauSla azfa'ee DheroN Khoon baRha detee hai.Allah aap ko dunya o aakhirat kii izzateiN ata farma'ay (aameen)

taalib du'aa

Ismail ajaz khayaal

محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا

muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

Ismail Ajaz Khayaal

(خیال)
Post Reply