Guzarish # 48 par apnee see kaawish lekar Haz^ir hooN
Allah Hafiz
Khurshidul Hasan Naiyer
[/size]
Khurshidul Hasan Naiyer SaHab
salaam masnoon
aap kii poorii ghazal nazar nawaaz hu'ee,tabee'at khush kar dee aap ne,bohot umdah kalaam pesh kiya hai aap ne
bhar poor daad qubool farmaa'iye KhaaS taur par yeh dow ash'aar tow poorii ghazal meiN apnii miCaal aap haiN,kya baat hai SaHab,bohot khoob ek baar phir daad qubool farmaa'iye
hotee jo jagah dil meiN Khudaa or Nabee (pbh) Kee
phir naam-e-geraamee teraa ruswaa naheeN hotaa
haiN SaaHeb-e-eemaaN kee ma'eeyat meN fareshte
ek mard-e-mujaahid kabhee tanhaa naheeN hotaa
yeh 2 bhii achhe ash'aar haiN khoobSoorat soch hai laikin mujhe donoN ke paihle miSre kuchh wazn ke aitibaar se baihtar naheeN lage,aur maq ta meiN donoN miSroN meiN rabt o hum aahangii merii kotaah nazrii se mujh peh waazea naheeN hu'ee,iss ke liye maiN mazrat khwaah hooN
maahir e sukhan aur tajziyaa nigaar mujh se baihtar nigaah rakhte haiN,SaHeeH raihnuma'ee wohii farma sakte haiN
kiyaa shaee hai zameeN loH-o-qalam bhee tere hote
aHsaas-e-khudee gar teraa murdah naheeN hotaa
charchah to bahut karte ho "Naiyer" wafaa kaa tum
kiyuN zaat ke andar tere zindah naheeN hotaa?
baiHer Haal ek khoobSoorat kaavish peh ek baar phir daad qubool farmaa'iye
muKhliS
Ismail ajaz khayaal
محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا
muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa
maiN nihayat sharmindah hooN keh bawajh-e-maSroofiyat ka'ee dinooN tak meHfil meN nah HaaZ^ir ho sakaa jis ke baae'ic dostooN kee takhleeqaat par kuch nah likh sakaa. ummeed hai darguzar farma deeN ge.
Guzarish#48 ke liye aap ke asha'aa dekhne kee taofeeq milee. jis se aap kee meHnat aor lagan kaa andazah bhee ho geyaa. achche she'er kahe haiN. nudrat-e-bayaN jo is Ghazal kaa khaaSah hai. qaabil-e-daad hai. e'laawah azeeN a'aalamee siyaasee reshah dawaaniyooN ko Ghazal meN bayaN karne par meree jaanib se khaaS t^aor par daad qubool keejiye.
dil meiN jo tere jaah kaa putlah naheeN hotaa
phir dekhte hathoN meiN bhalaa kiyaa naheeN hotaa
Waah!
kiyaa shaee hai zameeN loH-o-qalam bhee tere hote
aHsaas-e-khudee gar teraa murdah naheeN hotaa
Waah Waah!
hote nah kabhee makr meiN ham unke giraftaar
aaraaesh-e-fardah kaa jo dhokaa naheeN hotaa
Kiya kehne Waah!
hotee jo jagah dil meiN Khudaa or Nabee (pbh) Kee
phir naam-e-geraamee teraa ruswaa naheeN hotaa
Kiya kehne waah Waah!
patthar badast ham hee gunahgaar rahe haiN
woh bam bhee giraate haiN to be jaa naheeN hotaa
Waah Kiya khoob kaha hai! lekin pehla miSra' wazan meN naheeN asakaa.
kal tak to mujhe Sirf a'doo se hee gilaa thaa
ab doast kee baatoN kaa bharosah naneeN hotaa
Kiya baat hai Waah Waah!
naaloN pa mere shoar machaataa hai zamaanah
"woh qatl bhee karte haiN to charchah naheeN hotaa
Guzarish # 48 par apnee see kaawish lekar Haz^ir hooN
Allah Hafiz
Khurshidul Hasan Naiyer
[/size]
Khurshidul Hasan Naiyer SaHab
salaam masnoon
aap kii poorii ghazal nazar nawaaz hu'ee,tabee'at khush kar dee aap ne,bohot umdah kalaam pesh kiya hai aap ne
bhar poor daad qubool farmaa'iye KhaaS taur par yeh dow ash'aar tow poorii ghazal meiN apnii miCaal aap haiN,kya baat hai SaHab,bohot khoob ek baar phir daad qubool farmaa'iye
hotee jo jagah dil meiN Khudaa or Nabee (pbh) Kee
phir naam-e-geraamee teraa ruswaa naheeN hotaa
haiN SaaHeb-e-eemaaN kee ma'eeyat meN fareshte
ek mard-e-mujaahid kabhee tanhaa naheeN hotaa
yeh 2 bhii achhe ash'aar haiN khoobSoorat soch hai laikin mujhe donoN ke paihle miSre kuchh wazn ke aitibaar se baihtar naheeN lage,aur maq ta meiN donoN miSroN meiN rabt o hum aahangii merii kotaah nazrii se mujh peh waazea naheeN hu'ee,iss ke liye maiN mazrat khwaah hooN
maahir e sukhan aur tajziyaa nigaar mujh se baihtar nigaah rakhte haiN,SaHeeH raihnuma'ee wohii farma sakte haiN
kiyaa shaee hai zameeN loH-o-qalam bhee tere hote
aHsaas-e-khudee gar teraa murdah naheeN hotaa
charchah to bahut karte ho "Naiyer" wafaa kaa tum
kiyuN zaat ke andar tere zindah naheeN hotaa?
baiHer Haal ek khoobSoorat kaavish peh ek baar phir daad qubool farmaa'iye
muKhliS
Ismail ajaz khayaal
muHtaram Khayaal Sb
salaam a'laik
aap kee muHabbatoN kaa bahut shukriya. aap kee daad or mashware se dil khush huaa. ummeed hai keh aaiNdah bhee HoSlah afzaai, farmaate rahenge. khoshish karunga keh Ghazal kee nai' shakal pesh karsakooN.
biradare man aap kee muHabbat, karam farmaai, HoSlah afzaai, pazeeraai, daad-o-dahish, kaa bahut bahut shukriyah. yeh sab aap aHbaab kee naz^ar kaa kamaal hai keh meree saadah see koshish meiN kuchh talaash kar letee hai. Allah aap ko khush rakhe or i'lm-o-faZl se nawaaze. aap kaa taakheer se meree koshish pah nigaah paRne se maiN qatai'ee barham NaheeN hotaa mujhe aap sab logoN kee mashGhuliat kaa khoob eHsaas hai.
jin asha'aar kee t^araf aap ne kamee ka zikr kiyaa hai woh yooN gae haiN. aap ko jab furSat ho dekhleN.
patthar badast ham hee hue chaar sooe badnaam
woh bam bhee giraa jaaeN to bejaa naheeN hotaa
"Naiyer" kie,y to phirte ho zikr-e-wafaa magar
kyuN zaat ke aNdar tere zindah naheeN hotaa