guzarish 48# k liye aik koshish hazir hai

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
mujahid
-
-
Posts: 49
Joined: Tue Aug 28, 2007 2:14 pm
Location: belgium
Contact:

guzarish 48# k liye aik koshish hazir hai

Post by mujahid »

salam
Attachments
heeraaaaaaaaaaa.gif
heeraaaaaaaaaaa.gif (15.03 KiB) Viewed 682 times
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Re: guzarish 48# k liye aik koshish hazir hai

Post by munir-armaan-nasimi »

Beradaram Mujahid Saaheb,

Aapki ghazal ka yeh mujahidana rang hamein bohat achcha laga... :-)

ApnoN se bhi waise koyi pardah nahin hota..... !!

ye baat kuchh samajh main nahin aayi.

Armaan
mujahid
-
-
Posts: 49
Joined: Tue Aug 28, 2007 2:14 pm
Location: belgium
Contact:

Re: guzarish 48# k liye aik koshish hazir hai

Post by mujahid »

bohot bohot shukria munir arman naseemi sahab aap ki hosla afzai aur pasandeedgi k liyee

chehra jo nazar aaya tho chadar bhi gira dho
apno'n se bhi waisey koi pardah nahi hota

yeh yaktarfa muhabbat ka izhaar hai , jub aap kisi ko chahtey ho'n aur mun he mun may aap uss ko apna bana laitey hai'n aur phhir achanuk aap ko aisa lagey k uss ne aap ko pasandeegi ka izhaar saa dubey lafzo'n may kar dia ho ,tho aap uss ko khula azhaar karney par uksaaney ki koshish kartey hai'n k abb aap ka aur humarey beech kia pardah kiun ke apno'n ke beech tho pardah hota he nahi hai :-)

shukria
mujahid khan
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: guzarish 48# k liye aik koshish hazir hai

Post by sbashwar »

Mohtram Mujahid Khan Saheb
:salaam:

Bohat umda ghazal kahi aapne.
Aapki ghazal ka aakhri sheir bohat pasand aaya.

Meri daad aur mubarakbaad qubool farmayen.

Mukhlis
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Re: guzarish 48# k liye aik koshish hazir hai

Post by munir-armaan-nasimi »

mujahid wrote:bohot bohot shukria munir arman naseemi sahab aap ki hosla afzai aur pasandeedgi k liyee

chehra jo nazar aaya tho chadar bhi gira dho
apno'n se bhi waisey koi pardah nahi hota

yeh yaktarfa muhabbat ka izhaar hai , jub aap kisi ko chahtey ho'n aur mun he mun may aap uss ko apna bana laitey hai'n aur phhir achanuk aap ko aisa lagey k uss ne aap ko pasandeegi ka izhaar saa dubey lafzo'n may kar dia ho ,tho aap uss ko khula azhaar karney par uksaaney ki koshish kartey hai'n k abb aap ka aur humarey beech kia pardah kiun ke apno'n ke beech tho pardah hota he nahi hai :-)

shukria
mujahid khan

Mohtaram bhai Mujahid saaheb.. shukriya keh aapne merii baat ka bura nahin mana........ aapke jawaab ne kuch samjhaya aur bohat kuch baqii rah gaya......... ek taraf aap keh rahe hain keh yeh "Yaktarfaa" mohabbat ka "izhaar" hai..... phir mehboob apni "pasand-deedgii" ka izhaar lafzo'n main karta hai...... matlab "ho bhi sakta hai aur nahin bhi"... to aap aise main usko "USKAA" rahe hain keh.......... Chehra dikhaa diya hai to AB CHAADAR BHI GIRA DO .......... yeh kya baat hoyi bhai???????

Aap bohat jaldi main nazar aate hain :lol: Thoda Intezaar kiziye... jab wohh khud hi aapse "Pardaah" karna chhod dein aur aapko "Uskana" na pade........ !!

Bhai bura na manein... meri samajh main jo sher padh kar Qaari khud na samajh sake aur usko samjhana pade...... us Sher pe do-bara ghaur kar lena hi behtar hai....

Aapka kya khayaal hai...??? (mera khayaal ghalat bhi ho sakta hai...)

Aapka apna,

Munir Armaan Nasimi
Khurshidul Hasan Naiyer
-
-
Posts: 96
Joined: Thu Mar 20, 2008 8:23 am

Re: guzarish 48# k liye aik koshish hazir hai

Post by Khurshidul Hasan Naiyer »

janaab mujaahid Sb

salaam alaikum

ek khoobSoorat Ghazal par daad Haz^ir hai qubool farmaaen

aap kaa apnaa mujaahidana rang bahut khoob hai.

khair aNdesh

Khurshidul Hasan Naiyer
Post Reply