"voh Qatl bhi karte haiN to charcha nahin hota"...by FarHan

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

"voh Qatl bhi karte haiN to charcha nahin hota"...by FarHan

Post by farhan »



Salaam o RaHmat,,,

Apni tazah tareen tarahi ghazal aur takheer kay liye mA'ziart kay saath maiN HaZir hooN. ummid karta hooN k nazim.e.mushaira aur ahbaab darguzar say kaam leengaye.
takheer ka sabab yeh hai k main in dinoon main bahut hi maSroof raha.

ghazal

1]
hone ko zamane meiN bhala kiya nahin hota.
bas mayra hara naKHl.e.tamanna nahin hota.

2]
ik Harf.e.galat keh k maiN ruswa.e.jahaN hooN.
"voh Qatl bhi karte haiN to charcha nahin hota".

3]
kirdaar.e.muballiG meiN nahin rooH.e.MuHabbat,
bay.noor CHaraGaooN say ujaala nahin hota.

4]
nafrat kay Ewaz, uss ko muHabbat say nawazooN,
dushman ko mire yeh bhi gawara nahin hota.

5]
afsoos k badli na tirii fikr nay karwaT,
sooraj k nikalne say sawayra nahin hota.

6]
KHaka sa muHabbat ka hooN, QirTaas.e.azal per,
dukh hai k mukammal yo sarapa nahin hota.

7]
na.shukr.guzarooN ka yeh roona hai hamesha,
aisa nahin hota kabhi waisa nahin hota.

8]
lamHooN meiN utar jati haiN KHushboo ki naQaabeeN,
do pal ka muSaHib kabhi apna nahin hota.

9]
har ranG meiN dhoke hi diye zeest nay itne,
KHushiyooN pay kisi Tour bharosa nahin hota.

10]
ujRe hue logooN nay sunayii yeh kahanii,
bimaar.e.muHabbat kabhi achcha nahin hota.

11]
hum jis kay liye zeenat.e.maQtal hue FarHan!
voh paikar.e.maGhroor hamara nahin hota.

Talib.e.dua

FarHan Aziiz
Madinah Munawwarrah.
Attachments
voh.qatl.bhi.karte.hain.to.charcha.nahin.hota.gif
voh.qatl.bhi.karte.hain.to.charcha.nahin.hota.gif (16.57 KiB) Viewed 415 times
Khurshidul Hasan Naiyer
-
-
Posts: 96
Joined: Thu Mar 20, 2008 8:23 am

Re: "voh Qatl bhi karte haiN to charcha nahin hota"...by FarHan

Post by Khurshidul Hasan Naiyer »

muHtaram FarHaan Sb

salaam a'laik

ek achhee or pur kaif Ghazal par daad HaaZir hai. (gar qubool oftaNd).

Masjib nabwee HaZri ho to mujh nachheez kaa salaam Zaroor a'rZ farmaadeN

aHqar

Khurshidul Hasan Naiyer
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Re: "voh Qatl bhi karte haiN to charcha nahin hota"...by FarHan

Post by farhan »

Khurshidul Hasan Naiyer wrote:muHtaram FarHaan Sb

salaam a'laik

ek achhee or pur kaif Ghazal par daad HaaZir hai. (gar qubool oftaNd).

Masjib nabwee HaZri ho to mujh nachheez kaa salaam Zaroor a'rZ farmaadeN

aHqar

Khurshidul Hasan Naiyer


Janab Khurshidul Hasan Naiyer SaHib,,,

Salaam o RaHmat,,,
ummid hai k aap ba.khair o khoobi honge. ghazal per daad kay liye haQeer pur.taQseer ki janib say shukriya Qabool farmayeaga.

aap ka Salaam.e.EeQadat juma ki shab, Huzoor.MUHAMMAD MUSTAFA SALLEL LAHU AALAIHI WA SALLAM ki bargaah main ba.sad' aHteraam phouncha diya gaya hai.

Talib.e.dua'

FarHan Aziiz
Post Reply