"tire ishQ ki inteha chahta hooN"...........FarHan

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

"tire ishQ ki inteha chahta hooN"...........FarHan

Post by farhan »



Salaam o RaHmat,,,

maah.e.rawaaN k misra.e.tarah per apni tazah tareen ghazal aap ki basaratoon kay hawale! ummid karta hoon k kisi layeq hogi.


1]
tamannaooN ki inteha chahta hooN.
zaman.o.makaaN ka sira chahta hooN.

2]
mire Khaal.o.Khadd meiN tira noor chamke.
"tire ishQ ki inteha chahta hooN".

3]
farishtooN ko de khuKm.e.sajdah dobarah.
mira gum.shudah martabah chahta hooN.

4]
nahiN mujh say kam tar mira zouQ.e.EeSiyaaN.
k aadam si koi KHata chahta hooN.

5]
yeh bande tire tujh say muKHliS nahiN haiN.
diwana hooN, inn say wafa chahta hooN.

6]
saboo.e.dil.o.jaaN, shikastah haiN saQii.
abhi bazm say maiN utha chahta hooN.

7]
mira aks.e.aayeenah bujhne laga hai.
maiN maazi ka QiSSah hua chahta hooN.

8]
huii kab kisi ki yeh aawarah KHushboo.
koi mayra dard aashnaa chahta hooN.

9]
zamane meiN YARAB, na ho mayra Canii.
lakeerooN k naQsha juda chahta hooN.

10]
maseeHa.e.aalam! hai beemaar ummat.
maiN banjar dilooN ki dawa chahta hooN.

11]
hawaooN ka nooHa, Qiyamat hai WALLAH!
gam.e.gul say pagal hua chahta hooN.

12]
gunaah.e.muHabbat say daman aTa hai.
tiri raHmatooN ki ghaTa chahta hooN.

13]
makaan.e.fana say dar.ul.baQa tak.
jamaal.e.HABEEB.e.KHUDA(PBUH) chahta hooN.

14]
bane Qabr mayri diyaar.e.NABI(PBUH) meiN.
maiN Qurb.e.SHAH.e.AMBIYA(PBUH) chahta hooN.

15]
baQa chahta hooN, nigahooN ki FarHan!
maiN deedar.e.KHAIRUL.WARA(PBUH) chahta hooN.

Talib.e.dua

FarHan Aziiz.
Madinah Munawwarrah.
Attachments
tire.ishq.ki.inteha.chahta.hoon.gif
tire.ishq.ki.inteha.chahta.hoon.gif (21.98 KiB) Viewed 924 times
User avatar
ismail ajaz
-
-
Posts: 436
Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm

Re: "tire ishQ ki inteha chahta hooN"...........FarHan

Post by ismail ajaz »

farhan wrote:

Salaam o RaHmat,,,

maah.e.rawaaN k misra.e.tarah per apni tazah tareen ghazal aap ki basaratoon kay hawale! ummid karta hoon k kisi layeq hogi.


1]
tamannaooN ki inteha chahta hooN.
zaman.o.makaaN ka sira chahta hooN.

2]
mire Khaal.o.Khadd meiN tira noor chamke.
"tire ishQ ki inteha chahta hooN".

3]
farishtooN ko de khuKm.e.sajdah dobarah.
mira gum.shudah martabah chahta hooN.

4]
nahiN mujh say kam tar mira zouQ.e.EeSiyaaN.
k aadam si koi KHata chahta hooN.

5]
yeh bande tire tujh say muKHliS nahiN haiN.
diwana hooN, inn say wafa chahta hooN.

6]
saboo.e.dil.o.jaaN, shikastah haiN saQii.
abhi bazm say maiN utha chahta hooN.

7]
mira aks.e.aayeenah bujhne laga hai.
maiN maazi ka QiSSah hua chahta hooN.

8]
huii kab kisi ki yeh aawarah KHushboo.
koi mayra dard aashnaa chahta hooN.

9]
zamane meiN YARAB, na ho mayra Canii.
lakeerooN k naQsha juda chahta hooN.

10]
maseeHa.e.aalam! hai beemaar ummat.
maiN banjar dilooN ki dawa chahta hooN.

11]
hawaooN ka nooHa, Qiyamat hai WALLAH!
gam.e.gul say pagal hua chahta hooN.

12]
gunaah.e.muHabbat say daman aTa hai.
tiri raHmatooN ki ghaTa chahta hooN.

13]
makaan.e.fana say dar.ul.baQa tak.
jamaal.e.HABEEB.e.KHUDA(PBUH) chahta hooN.

14]
bane Qabr mayri diyaar.e.NABI(PBUH) meiN.
maiN Qurb.e.SHAH.e.AMBIYA(PBUH) chahta hooN.

15]
baQa chahta hooN, nigahooN ki FarHan!
maiN deedar.e.KHAIRUL.WARA(PBUH) chahta hooN.

Talib.e.dua

FarHan Aziiz.
Madinah Munawwarrah.

moHtaram janaab FarHan Aziiz. SaHab
salaam arz hai

masha Allah bohot hii khoobSoorat duaa'iyaa + Haalaat Haazirah + Haalat e eemaanii ka tazkirah jin dilsoz pur aCr ta'aCCuraat se aap ne bayaan farmaaya hai,uss ke liye bhar poor daad Haazir hai.
bohot umdah janaab e aalee kya baat hai

kherandesh

Ismail ajaz khayaal

محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا

muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

Ismail Ajaz Khayaal

(خیال)
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: "tire ishQ ki inteha chahta hooN"...........FarHan

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram A'zeez Farhan saaHib tasleemaat!

Ummeed hai baakheriyat hooN ge. rawaaN A'alami mushae'rah meN aap kee shumuliyat dilkhush kun hai. ham sab dostooN ke liye yeh baat bhee qaabil-e-fakhr-o-masarrat hai keh aap sheher-e-mubarak Madeenah Munawwarah se is mushae'rah meN shaamil ho kar arbaab-e-meHil ke zaoq-e-saleem ka kheyaal karte haiN. is e'naayat ke liye maiN teh-e-dil se mamnoon-o-mutashakkir hooN. Allah aap ko jazaa-e-khaer se nawaze! Aameen!

Ghazal taSawwuf kee ra'naaee aor kheyaal kee upaj liye huwe hai. jis meN aap ne apne dilee jazbaat-o-eHsasaat kaa barmala iz^haar karte huwe apnee dereenah khuwahishooN se pardah is rang meN chaak kiya hai.keh har mard-e-maomin kee aawaaz se aawaaz mila dee hai. daraSl ham sab kee yahee umangeeN haiN. jis kaa mazkoor aap kee is eemaan parwar Ghazal meN hai. meree jaanib se is kaamyaab-o-dilkash Ghazal par dilee daad-o-mubarak baad qubool keejiye.

1]
tamannaooN ki inteha chahta hooN.
zaman.o.makaaN ka sira chahta hooN.

waah!

2]
mire Khaal.o.Khadd meiN tira noor chamke.
"tire ishQ ki inteha chahta hooN".

Kiya baat hai Waah Waah!

3]
farishtooN ko de khuKm.e.sajdah dobarah.
mira gum.shudah martabah chahta hooN.

Waah!

4]
nahiN mujh say kam tar mira zouQ.e.EeSiyaaN.
k aadam si koi KHata chahta hooN.

Waah!

5]
yeh bande tire tujh say muKHliS nahiN haiN.
diwana hooN, inn say wafa chahta hooN.

Kiya baat hai Waah Waah Bohot khoob lajawaab she'er hai! =D>

6]
saboo.e.dil.o.jaaN, shikastah haiN saQii.
abhi bazm say maiN utha chahta hooN.

Waah!

7]
mira aks.e.aayeenah bujhne laga hai.
maiN maazi ka QiSSah hua chahta hooN.

Waah Waah!

8]
huii kab kisi ki yeh aawarah KHushboo.
koi mayra dard aashnaa chahta hooN.

Waah!

9]
zamane meiN YARAB, na ho mayra Canii.
lakeerooN k naQsha juda chahta hooN.

Waah!

10]
maseeHa.e.aalam! hai beemaar ummat.
maiN banjar dilooN ki dawa chahta hooN.

Waah!

11]
hawaooN ka nooHa, Qiyamat hai WALLAH!
gam.e.gul say pagal hua chahta hooN.

Waah!

12]
gunaah.e.muHabbat say daman aTa hai.
tiri raHmatooN ki ghaTa chahta hooN.

Waah!

13]
makaan.e.fana say dar.ul.baQa tak.
jamaal.e.HABEEB.e.KHUDA(PBUH) chahta hooN.

Waah! pehla miSra' wazan meN naheeN asakaa. dekh leejiye gaa. aek Surat-e-mumkinah pesh-e-khidmat hai.
"makaan-e-fanaa taa bah khaer-ul-baQaa maiN"
yaa
"makaan-e-fanaa se maiN daar-ul-baQaa tak"

14]
bane Qabr mayri diyaar.e.NABI(PBUH) meiN.
maiN Qurb.e.SHAH.e.AMBIYA(PBUH) chahta hooN.

Kiya baat hai! Waah!

15]
baQa chahta hooN, nigahooN ki FarHan!
maiN deedar.e.KHAIRUL.WARA(PBUH) chahta hooN

Bohot khoob waah! mashallah!

Wassalam
AHmad


Wassalam
AHmad[/b][/size][/color][/i]
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Re: "tire ishQ ki inteha chahta hooN"...........FarHan

Post by farhan »

ismail ajaz wrote:

moHtaram janaab FarHan Aziiz. SaHab
salaam arz hai

masha Allah bohot hii khoobSoorat duaa'iyaa + Haalaat Haazirah + Haalat e eemaanii ka tazkirah jin dilsoz pur aCr ta'aCCuraat se aap ne bayaan farmaaya hai,uss ke liye bhar poor daad Haazir hai.
bohot umdah janaab e aalee kya baat hai

kherandesh

Ismail ajaz khayaal



MuHtaram Janab Ismail Ajaz Khayaal SaHib,,,

Salaam o RaHmat,,,

Ummid karta hooN k aap ba.khair hoNge. ALLAH aap ko KHush.o.KHurram rakkhe.Ameen!

yeh mayray liye bahut hi massarrat ki baat hai k Gazal aap ko bohot umdah lagi. bhar poor daad kay liye maiN aap ka mamnoon hooN. Izzat afzayii ka bahut bahut shukriya.

Talib.e.dua
FarHan Aziiz
Madinah Munawwarrah
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Re: "tire ishQ ki inteha chahta hooN"...........FarHan

Post by farhan »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram A'zeez Farhan saaHib tasleemaat!

Ummeed hai baakheriyat hooN ge. rawaaN A'alami mushae'rah meN aap kee shumuliyat dilkhush kun hai. ham sab dostooN ke liye yeh baat bhee qaabil-e-fakhr-o-masarrat hai keh aap sheher-e-mubarak Madeenah Munawwarah se is mushae'rah meN shaamil ho kar arbaab-e-meHil ke zaoq-e-saleem ka kheyaal karte haiN. is e'naayat ke liye maiN teh-e-dil se mamnoon-o-mutashakkir hooN. Allah aap ko jazaa-e-khaer se nawaze! Aameen!

Ghazal taSawwuf kee ra'naaee aor kheyaal kee upaj liye huwe hai. jis meN aap ne apne dilee jazbaat-o-eHsasaat kaa barmala iz^haar karte huwe apnee dereenah khuwahishooN se pardah is rang meN chaak kiya hai.keh har mard-e-maomin kee aawaaz se aawaaz mila dee hai. daraSl ham sab kee yahee umangeeN haiN. jis kaa mazkoor aap kee is eemaan parwar Ghazal meN hai. meree jaanib se is kaamyaab-o-dilkash Ghazal par dilee daad-o-mubarak baad qubool keejiye.

1]
tamannaooN ki inteha chahta hooN.
zaman.o.makaaN ka sira chahta hooN.

waah!

2]
mire Khaal.o.Khadd meiN tira noor chamke.
"tire ishQ ki inteha chahta hooN".

Kiya baat hai Waah Waah!

3]
farishtooN ko de khuKm.e.sajdah dobarah.
mira gum.shudah martabah chahta hooN.

Waah!

4]
nahiN mujh say kam tar mira zouQ.e.EeSiyaaN.
k aadam si koi KHata chahta hooN.

Waah!

5]
yeh bande tire tujh say muKHliS nahiN haiN.
diwana hooN, inn say wafa chahta hooN.

Kiya baat hai Waah Waah Bohot khoob lajawaab she'er hai! =D>

6]
saboo.e.dil.o.jaaN, shikastah haiN saQii.
abhi bazm say maiN utha chahta hooN.

Waah!

7]
mira aks.e.aayeenah bujhne laga hai.
maiN maazi ka QiSSah hua chahta hooN.

Waah Waah!

8]
huii kab kisi ki yeh aawarah KHushboo.
koi mayra dard aashnaa chahta hooN.

Waah!

9]
zamane meiN YARAB, na ho mayra Canii.
lakeerooN k naQsha juda chahta hooN.

Waah!

10]
maseeHa.e.aalam! hai beemaar ummat.
maiN banjar dilooN ki dawa chahta hooN.

Waah!

11]
hawaooN ka nooHa, Qiyamat hai WALLAH!
gam.e.gul say pagal hua chahta hooN.

Waah!

12]
gunaah.e.muHabbat say daman aTa hai.
tiri raHmatooN ki ghaTa chahta hooN.

Waah!

13]
makaan.e.fana say dar.ul.baQa tak.
jamaal.e.HABEEB.e.KHUDA(PBUH) chahta hooN.

Waah! pehla miSra' wazan meN naheeN asakaa. dekh leejiye gaa. aek Surat-e-mumkinah pesh-e-khidmat hai.
"makaan-e-fanaa taa bah khaer-ul-baQaa maiN"
yaa
"makaan-e-fanaa se maiN daar-ul-baQaa tak"

14]
bane Qabr mayri diyaar.e.NABI(PBUH) meiN.
maiN Qurb.e.SHAH.e.AMBIYA(PBUH) chahta hooN.

Kiya baat hai! Waah!

15]
baQa chahta hooN, nigahooN ki FarHan!
maiN deedar.e.KHAIRUL.WARA(PBUH) chahta hooN

Bohot khoob waah! mashallah!

Wassalam
AHmad


Wassalam
AHmad[/b][/size][/color][/i]



MoHtarami o Mukarrami Janab Ahmed SaHib,,,

Salaam o RaHmat,,,

Aap achche khiyalaat kay malik haiN, aur apne khiyalaat ka ba.khoobi izhaar karte haiN. yeh bhi khuda.daad SalaHiyat hai.ALLAHI BARIK FEEH.ALLAH aap ko apni reHmatooN say nawaze. Ameen!!!

Aap do do meHfilooN kay mushairah sections ko jis khoobi o khush.nizami kay saath chalra rahey haiN, maiN uss kay liye aap ko teh.dil say mubarak baad peesh karta hooN. Qabool farma kar shukriya ka mouQa Eenayat kijeaga.

yeh HaQeeQat hai k aap nay ghazal ko husn.e.zan kay aayenah meiN deekha iss liye aap ko achchi lagi.aap ki muHabbatoon aur EenayatooN kay liye mamnoon hooN.ZAKALLAHU KHAIRA!!!

aap nay shair number (13) ki janib tawwajjh mabzool karayii k voh wazan say khairj hai. roman meiN lafz :maiN: likhne say reh gaya hai. urdu ki image meiN yeh miSra bilkul youN hi hai jaisa k aap ka tajweez kardah dosra miSra hai.iss chook ki taraf tawajjah dilane ka liye main aap ka mutashukkur hooN. yeh iss baat ki daleel hai k aap ba.nazar.Gayer muTaliah karte haiN. yeh ik achchi baat hai.

apni muKHliS duaooN main Shamil rakhiyeaga.

FarHan Aziiz
Madinah Munawwarrah.
Post Reply