Guftgu Azeez Belgaumi ke saath - Siasat Bangalore

Taazah bataazah adabi khabreN
Post Reply
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Guftgu Azeez Belgaumi ke saath - Siasat Bangalore

Post by sbashwar »

:salaam:

Image
Image
Image
سالم احمد باشوار
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Re: Guftgu Azeez Belgaumi ke saath - Siasat Bangalore

Post by munir-armaan-nasimi »

Mohtaram Salem Bashwar Saaheb...

Bohat bohat shukriya keh aapne Janab Azeez Belgaumi Saaheb ka Siasat wala interview hum se share kiya. Hamein mukhtesar hi sahi Azeez Saaheb ke baare main jaan ne ka mauqa mila. Alla'h kare Urdu zaban o adab ke ye mard-e-mujahid....... apne qalam ka jauhar dikhaate rahein aur Urdu ka Gulshan hamesha mehekta rahe.

Aameen.
User avatar
azeezbelgaumi
-
-
Posts: 420
Joined: Thu Apr 05, 2007 2:52 pm
Location: BANGALORE INDIA
Contact:

Re: Guftgu Azeez Belgaumi ke saath - Siasat Bangalore

Post by azeezbelgaumi »

Mohataram Janab Munir Armaan Naseemi Saheb,

Salam o Rahmat,

Kisi Shayar ne kya khub kaha hai:
Is se ZahnouN ki bulandi ka pataa chalta hai
Naam ZarrouN ke tum apne Mah o Akhtar Rakhna

Aapne bhi mujh jaise ek Zarre ko "Urdu ka Mard e Mujahid" kah kar darasl apni Zahn aur soch ki bulandi ka pata diya hai. Warna ham apni Haqeeqat se khub waqif haiN. Urdu Bandhan ke aap jaise Mukhlaseen ki Himmat Afzaayiyan jo housala bakhshti haiN wo to kuchh ham hi jantey hain. Mohataram Salem Bashwar Saheb ki ye karam farmayi hai ke ham jaise log aapki Gayebana Sohbatoun se faizyaab ho rahe hain. MaiN aapka shukriya ada karta hun ke aap ne interview ko pasand kiya. Saath hi maiN Salem Bhai ka bhi shukriya adaa karta hun. Ummid ke aayenda bhi aapki himmat afzaayiyan jari rahengi. Apna Khayal RakheN. Allah aapko khush rakhe. Ameen.

Wassalam
Azeez Belgaumi
Post Reply