Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
aabarqi
-
Posts: 596 Joined: Tue Oct 07, 2008 11:09 am
Location: New Delhi
Contact:
Post
by aabarqi » Wed Mar 18, 2009 11:38 am
GHAZAL: Jiska Tha Muddat Se Mujhko intezaar Aa Hi Gaya
Dr.AHMAD ALI BARQI AZMI
Qalb e muztar ko mere aakhir qaraar aa hi gaya
Gulshan e hasti mein woh jaan e bahaar aa hi gaya
Uske aane ka na tha hargiz mujhe wahm o gumaan
Wadah e farda pe uske etebaar aa hi gaya
Rang jab laya mera soz e duroon woh khud bakhud
Mujhse milne ke liye diwanah waar aa hi gaya
Jiske isteqbal mein the didah o dil farsh e raah
woh negar e rooh parwar mushkbaar aa hi gaya
Uske aane se mashaam e jaan mu’attar ho gaii
Chehrah e afsurdah par mere nikhaar aa hi gaya
Jiski tasveer e tasawwur thi nesaat e zindagi
Woh pari paikar mijassam jalwah baar aa hi gaya
Kyon na khush bakhti pe BARQI mujhlo apni naaz ho
Jisaka tha muddat se mujhko intezaar aa hi gaya
غزل:جس کا تھا مدت سے مجھکو انتظار آھی گیا
Attachments
ghazal-aa-hi-gaya.gif (40.06 KiB) Viewed 131 times
http://www.drbarqiazmi.com
munir-armaan-nasimi
-
Posts: 460 Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:
Post
by munir-armaan-nasimi » Wed Mar 18, 2009 3:42 pm
Qalb e muztar ko mere aakhir qaraar aa hi gaya
Gulshan e hasti mein woh jaan e bahaar aa hi gaya
Kab ki Baat Hai... Bhai jaan????
Mujhe lagta hai yeh Ghazal aapne hamari Bhabi jee ko Tohfa diya hai. Hai na?!!
Yaqeen karein... aapka yeh romantic (100%) Rang dekh kar main Dang rah gaya hoon.... Ek hum hain keh farmaayish pe bhi apni shareek-e-hayaat ke liye EK ADAD romantic sher nahin keh paate........ ek aap hain keh chalte phirte ashaar yoN kehte hain jaise....... alfaaz haath baandhe aapke saamne aa-kar kehte hoN.. hamein le lo, hamein le lo....!!
Alla'h dostoN ki nazr e bad se bachchaaye.
Aameen.
NOTE: ROMAN MAIN LIKHE GHAZAL KE MAQTE MAIN... EK JAGAH TYPING MISTAKE HAI. PLZ USKO THEEK KAR LEIN.
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
Posts: 1258 Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:
Post
by Muzaffar Ahmad Muzaffar » Sat Mar 21, 2009 12:02 pm
moHtaram A'li AHmad Barqi Azmi SaaHib aadaab!
mataa'-e-laalah-o-Gul ho gaee nicaar is par
jo seenchaa khun-e-rag-e-jaaN se Gulistaan-e-Ghazal
e'boodiyat ke maraaHil tamam t^e kar ke
jabeen-e-khaamah jhukee hai ba aastaan-e-Ghazal
Ghazal firdoos-e-naz^ar huee. e'boodiyat ke tamaam maraaHil bakhaer-o-khubee t^e karne ke ba'd jabeen-e-khaamah kaa ba aastaan-e-Ghazal jhuknaa aor khun-e-rag-e-jaaN se Ghulistaan-e-Ghazal ko seenchna laai'q-e-daad hai. kiya kehne lajaawaab asha'aar haiN. rawayatee usloob kee jumlah paasdaaree ko malHooz^ rakhaa geya hai. nuktah aafareenee ke maZ^aameen qaaree ko yakdam yeh eHsaas dilaate haiN. keh shaae'ir me'raaj-e-fan-e-she'er kaa aae'inah haath meN thaame baRee kaamyaabee ke saath wiSaal-e-Yaar ke manaz^ir kee a'ks bandee kaa ehtemaam gar hai.
Haqqeqqat ke Hawalah se majaaz kee shanaakht aor majaaz se Haqqeaqt kee jihat meN Harkat Urdu Ghazal kee pehchaan rahee hai. aor isee markaz kee jaanib shaai'er-e-Haqeeqee kaa zehen muRtaa hai. aap ke haaN aesee tajrube kacrat se milte haiN.
meree jaanib se is dilkash aor lajawaab Ghazal kee eejaad par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiy.
Wassalam
Muzaffar AHmad Muzaffar