غزل :وہ نہیں آیا اور میں بلاتا رھا

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
aabarqi
-
-
Posts: 596
Joined: Tue Oct 07, 2008 11:09 am
Location: New Delhi
Contact:

غزل :وہ نہیں آیا اور میں بلاتا رھا

Post by aabarqi »

غزل :وہ نہیں آیا اور میں بلاتا رھا
Attachments
ghazal-sunata-raha.gif
ghazal-sunata-raha.gif (34.09 KiB) Viewed 189 times
http://www.drbarqiazmi.com
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: غزل :وہ نہیں آیا اور میں بلاتا رھا

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Janaab A'li AHmad Barqi A'zmi SaaHib aadaab-o-tasleemaat!

Aap kee yeh Ghazal-e-musalsal firdoos-e-naz^ar huee. dard-o-ranj meN Doobe huwe asha'aar qaaree ke dil-o-demaaGh ko mutaacer kiye baGhaaer naheeN reh sakte. Haqeeqat to yeh hai keh maiN ba'd az mut^alea'h dard kee a'jeeb lazzat se do chaar huwa. yooN lagaa jaese alfaaz^ khud meH-e-takallum haiN. balkeh aamaadah-e-fuGhaaN kehna chahiye. gaoyaa alfaaz^ bhee dard kee shiddat ko meHoos karte huwe khaaliq-e-Ghazal ke hamraah naoHah kunaN haiN. yaqeen keejiye is Ghazal jo woh lut^f diya keh aek Ghazal meree jaanib se bhee ho gaee aor inshAllah jald hee pesh kar dooN gaa.

Ghazal pur dard-o-puracar hai. so is kee takhleeq par meree jaanib se dilee daad aor mubarak baad qubool farmaiye.

Muzaffar AHmad Muzaffar
User avatar
aabarqi
-
-
Posts: 596
Joined: Tue Oct 07, 2008 11:09 am
Location: New Delhi
Contact:

Re: غزل :وہ نہیں آیا اور میں بلاتا رھا

Post by aabarqi »

محترم مظفر صاحب
السلام علیکم
آپ کی اس حوصلہ افزائی اورنوازش مسلسل کے لئے صمیم قلب سے سپاسگذار ھوں۔اللہ آپ کو جزائے خیر دے۔
ھے مجہہ پہ یہ احمد علی فیضان مظفر
وہ مجھکو نوازیں یہ ھے احسان مظفر

لکھتا ھوں جو برقی میں ،مرے دل کی ھے آواز
جو کچہہ وہ سمجھتے ھیں ،ھے عرفان مظفر

مخلص
احمد علی برقی اعظمی
Attachments
izhar-e-tashakkur-mere-liye.gif
izhar-e-tashakkur-mere-liye.gif (18.73 KiB) Viewed 171 times
http://www.drbarqiazmi.com
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Re: غزل :وہ نہیں آیا اور میں بلاتا رھا

Post by munir-armaan-nasimi »

Mohtaram Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi Saaheb,

Beshak Alla'h ne aapko Urdu zaban o adab ki khidmat ke liye zameen par utaara hai. Aaj tak main ne aap jaisi shakhsiyat nahin dekha jo yoN chalte phirte... baat baat pe.. baat ka jawaab bhi sher main de. Aap ne ess ghazal main bohat hi sahal, sada aur aam-faham alfazoN ka sahara le kar......... bohat gehree batoN ka zikr kar gaye hain...... Bohat pasand aayi aapki yeh ghazal.. sirf ek jagah mujhe ruk-na pada..... ruk ruk kar padhna pada... socha keh ho sakta hai "Typing mistake" ho gaya ho magar phir...... aapse typing mistake saz o nadir hi hota hai to socha...... aap se hi pooch looN..... itna sochne se kya faayeda. Aapka sher hai...

Uskii baatoN main main aa gaya jab to woh
Mustaqeel mujh se peechaa chhudata raha

pahle misre main "main main" ek saath..... mujhe padhne main, tarannum se gunguna ne main.. bohat pareshaan kar rahe hain.. kya koyi alag surat nahin ho sakti Doctor Saaheb??? :grin:

Doosri baat..... main yeh sher theek tarah samajh nahin paaya keh..... jab aap apne mehboob ki baatoN main aa gaye....... baatoN main aa jana shayad koyi muhawera hai.. jiska matlab hai shikaar shikaari ke daam main aa gaya..... :-) to phir woh/ aapka mehboob aap se peechaa kyoN chhudana chaahtaa hai... baat saaf nahin ho rahi hai.... Upar se aapne "mustaqeel" lafz jod kar mujh jaise naa-samajh ko aur bhi pareshaani main daal diya hai..... :laugh:

Ab main kya karooN, aap nahin samjhayenge to phir ye karam kaun karega???

Taalib-e-dua,

Munir
Post Reply