"raah-e-ulfat" .......aik safar ki chand jhalkiyaaN

Adabi aur tanqeedi mazaameen
Afsane aur tabsire

Moderator: munir-armaan-nasimi

Post Reply
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

"raah-e-ulfat" .......aik safar ki chand jhalkiyaaN

Post by yasir shah »

assalaamoa'laikum!

guzashtah saal baraa-e-tableeGh maiN ne bhee aik "chillah" lagaayaa "chillah" istilaaH meN chaalees din khaas Allaah ke liye faariGh karnay ko kahtay haiN yeh din mairee zindagee ke yaadgaar din thay aur baish-qeemat bhee -aik iHsaas-e-ziyaaN shadeed tar thaa keh abhee tak is kaam ko ham nay apnaa maqsad naheeN banayaa HaalaaNkeh Ghair sar joR ke baiThtay haiN aur khoob jaan toR meHnat bhee kartay haiN -khudaa karay keh hamaiN iHsaas-e-ziyaaN ho , aur yeh iHsaas niyyat meN badlay ,niyyat iraaday meN badal jaa.ay aur iraadah mubaddil bah qaSad ho jaa.ay -aameen, aameen cumma aameen

meN ne kaheeN kaheeN safar ki yaadaiN qalamband bhee keeN harchand keh karnee nah chaahiye theeN keh itnay a'zeem maqSad ke aagay yeh film.bandiyaaN aur qalam.bandiyaaN
cheh ma'nee daarad laiken baqaul shakhSay:

boo-e-mai to chalo ga.ee muNh se
mast aaNkhaiN kahaaN Chupaao gay ?

kabhee kabhee qalam uThaa kar baiTh ga.ay bas is khaamah.farsaa.ee ki chand jhalkiyaaN ba.tadreej paish karnay kaa iraadah hay -mard Hazraat agar apnay jazbaat se aagaah karaiN to khushee ho gee-
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Re: "raah-e-ulfat" .......aik safar ki chand jhalkiyaaN

Post by yasir shah »

bismillaahir.r.raHmaani.r.raHeem
raah-e-ulfat

qadam haiN raah-e-ulfat maiN to manzil ki hawas kaisee !
yahaaN to a'in manzil hay thakan se choor ho jaanaa
------( Taqee Usmaanee)



"..............safar kaa baa.qaai'dah aaGhaaz haftah ki SubH se ho gayaa- maGhrib tak "mautee masjid" meN qiyaam kiyaa-das bajay ke qareeb sab saathee railway station pahunch ga.ay -i'shaa ki namaaz "station" par hi jamaa.'at se adaa kee is namaaz kaa iHsaas bhee judaagaanah thaa -chaar farZ adaa kiyay ,do sunnataiN bhee paRh leeN magar jooN hi witr paRhnaa shuroo' kiyay seeTee bajee aur "Train" maiN Harakat aa ga.ee,, bas Phir kyaa thaa , namaaz ChauR ,"Train" ko dauR ,yeh jaa woh jaa, sab saathee apnay apnay Dabbay maiN-waaZeH rahay keh azroo-e-fiqah aisay moqe' par namaaz tauR dainay ki ijaazat hay- khair ,raat kaa yeh safar shuroo' huwaa- neend to kyaa aatee alHamdulillaah kuCh aaraam aa gayaa- Hairat ki baat to yeh thee keh "Train" waqt ki paaband niklee -raat ko bhee waqt-e-muqarrar par aa.ee aur SubH ko bhee waqt-e-muqarrar "rohRee" aa dhamkee -"rohRee" maiN aik masjid maiN Dairah Daalaa ,naashtah kiyaa , mashwarah kiyaa aur manzil-e-maqSood ki taraf rawaanah ho ga.ay -z'uhr se qabl laaRkaanah pahunch ga.ay -yahaaN tableeGhee markaz meN qiyaam hay -sufaid eeNToN se banee huwee aik puraanee masjid , ird gird neem ke paiR , hawaa rukee rukee see -iHsaas yehee ho rahaa hay keh puraanay waqtoN maiN aa ga.ay haiN -saathee thakay huway haiN -koi kaheeN paRaa hay ,koi kaheeN laiken sab ke a'zm-o-iraaday baland haiN-Allaah sab se raaZee ho jaa.ay -aameen


gaahay ba gaahay muzaakiray hotay haiN jin se HauSilay buland rahtay haiN , maqSood bhee tar-o-taazah rahtaa hay aur niyyat kaa istiHZaar bhee hotaa rahtaa hay,, kabhee masjid ke aadaab kaa muzaakirah ,kabhee da'wat-o-tableeGh kaa muzaakirah , kabhee khaanay peenay ke aadaab kaa muzaakirah-kabhee aadaab-e-gasht kaa tazkirah alGharaZ zindagee aamaadah bah taHreek rahtee hay -


.........................markaz maiN kapRay waGhairah dho ke Taang diyay ,a'jeeb lut'f aayaa kapRay dhonay maiN bhee - nichoRtay waqt yeh she'r yaad aa jaataa :

tar daamanee peh shaikh hamaaree nah jaaiyo
daaman nichoR daiN to farishtay wuZoo karaiN

zuhr ke ba'd ta'leem huwee , khaanaa khaayaa aur aagay rawaanah ho ga.ay - wuheeN "laaRkaanay" maiN "staff colony" ki aik ChoTee masjid maiN jaa Thahray-yeh masjid DaaktaroN ke i'laaqay maiN waaqe' hay-waaZeh rahay keh hamaaray qaafilay maiN do maayahnaaz DaakTar bhee shaamil haiN ,baRay aql.mand haiN keh in kaa jo waqt kaee roopiyoN ke i'waz biktaa thaa ab us se naikiyaaN khareed rahay haiN ,,naikiyoN ke i'waz to har karrancee heech hay -mashwarah huwaa saathiyoN ke a'maal t'ai ho ga.ay-kisee ke zimmay bayaan huwaa ,kisee ke zimmay ta'leem, kisee ke zimmay khidmat, kisee ke zimmay tazkirah-e-aadaab-e-gasht mairay zimmay i'laan huwaa -go naHeef aawaaz thee magar aakhir i'laan kar diyaa i'laan kiyaa thaa sab namaaziyoN ki t'araf mutawajjeh ho kar kahnaa thaa :

"Hazraat ! meree aap ki balkeh saraay 'aalam ke saaray insaanoN ki mukammal kaamiyaabee Allaah paak ne islaam maiN raKhee hay yeh deen hamaaree zindagiyoN maiN kaisay aa.ay gaa is ke liye meHnat ki Z'aroorat hay inshaaAllah baqiyah namaaz ke ba'd isee meHnat ke silsilay maiN baat ho gee -aap sab se shirkat ki darkhwaast hay inshaaAllaah bahut nafa' ho gaa"

Phir a'Sr ke ba'd namaaziyoN se darmiyaanee baat karnay kaa mauqa' bhee milaa-teen aadamee sun.nay waalay thay, thoRee bahut baat kee laiken Phir baat nah ban paaee,jo kahaa us maiN bhee aik aayat Ghalat' paRh Daalee- sakht sharmindagee huwee- baat kheenchee na ga.ee chup ho gayaa goyaa baqual-e-"dard" maiN bhee qiSSah mukhtaSar huwaa :

zaur 'aashiq mizaaj hai koi
dard ko qiSSah mukhtaSar daiKhaa

khair is halke Phulkee shikast ne aglay rauz ke liye HauSilay mujtame' kar Daalay-kal ke liye khaat'ir jama' kar rakhee hay.....................
Last edited by yasir shah on Fri May 01, 2009 10:06 am, edited 2 times in total.
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: "raah-e-ulfat" .......aik safar ki chand jhalkiyaaN

Post by sbashwar »

Mohtaram Yasir Shah Saheb
:salaam:

Masha'allah. Allah aapki khidmat o ibadaat ko qubool farmaye. :ameen:
Safar ke jhalkiya sharakat karne ka behud shukria.
:jazak:
سالم احمد باشوار
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Re: "raah-e-ulfat" .......aik safar ki chand jhalkiyaaN

Post by yasir shah »

sbashwar wrote:Mohtaram Yasir Shah Saheb
:salaam:

Masha'allah. Allah aapki khidmat o ibadaat ko qubool farmaye. :ameen:
Safar ke jhalkiya sharakat karne ka behud shukria.
:jazak:

janaab Saleem Bashwar SaaHiB !
assalaamoa'laikum
aap ki du'aaoN kaa bandah bahut mamnoon hay-aaindaaoN bhee du'aaoN maiN yaad raKhiyay gaa -

yasir
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Re: "raah-e-ulfat" .......chand aur jhalkiyaaN

Post by yasir shah »

.............


hamaaray yaumiyah ma'moolaat yeh haiN keh namaaz-e-fajr paRh kar ham maiN se jis kaa bayaan t'ai hotaa hay woh SaaHib bayaan kartay haiN ,Phir mashwarah hotaa hay jis meN har aik guzashtah din ki kaarguzaare saamnay raKhtaa hay keh kitnoN ko da'wat dee aur kon kon "khurooj" peh aamaadah huwaa neez a'maal bhee baahamee mashwaray se t'ai paatay haiN , Phir naashtah kar ke kuCh dair ko so jaatay haiN,uThtay haiN to "faZaai'l-e-a'maal" aur "faZaail-e-Sadaqaat" se aapas maiN ta'leem hotee hay aur namaaz-e-z'uhr ke ba'd majme' maiN -

is ta'leem ke bhee aadaab haiN macalan wuZoo kar ke do raka't nafl paRh kar, Allaah se maaNg kar, khushboo lagaa kar, dil ke piyaalay ko khaalee kar ke do zaano ho kar baiThaa jaa.ay aur mutakallim ko khoob tawajjoh se sunaa jaa.ay-

waaqi'ee yeh faqat' kahnay ki baat naheeN keh "baa.adab baa.naSeeb aur bai.adab bai.naSeeb" balkeh Haqeeqatan adab se insaan kahaaN se kahaaN pahunch jaataa hay -z'uhr ki ta'leem ke ba'd ta'aam - khaanay kaa aChChaa ihtimaam hotaa hay Phir muttaqiyoN ke haath ke khaanay ki barakaat bhee bahut haiN - khaanay ke ba'd qailoolah , ba'd azaaN a'Sr ki tayyaaree aur isee icnaa maiN chaa.ay kaa daur chaltaa hay -a'Sr ke ba'd muHallay maiN da'watee gasht kiyaa jataa hay, jamaa't kaa aik rahbar hotaa hay jo logoN se milwaataa hay aur aik mutakallim apnee da'wat raKhtaa hay aur masjid maiN saath chalnay kaa mut'aalibah bhee kartaa hay -

da'wat dainay ke kuCh napay tulay alfaaz' haiN jab tak keh zabaan-o-dil Khul nah jaa.aiN - aik baar aadamee kaa mizaaj daai'yaanah ho jaa.ay to kahtay haiN keh daa'ee ki ulTeee bhee seedhee hotee hay macalan aik saathee bayaan maiN kahnaa yooN chaah rahay thay keh har khair aur shar kaa khaaliq bhee Allaah hay, baul paRay har khar aur shair kaa khaaliq bhee Allaah hay- baat bhee SaHeeH ho ga.ee keh donoN jaanwar Allaah hi ne paidaa kiyay aur adab ki ri'aayat bhi ho ga.ee keh shar ko Allah ki taraf bat'aur-e-adab mansoob nah karnaa chaahiyay -

khair, aik jamaa.'at masjid maiN bhee rahtee aur aik saathee ke zimmay a'Sr se maGhrib tak darmiyaanee baat karnaa hotee , itnay t'aweel waqfay ke liyay baat kheenchnaa mushkil hotaa laiken karnay waalay kar laitay - maGhrib ki namaaz ke ba'd bayaan Phir khoraak aur al-aakhir namaaz-e-i'shaa aur ba'd azaaN ta'leem - Allaah AllaaH khair sallaah


ham kul milaa kar lag bhag baarah tairah nufoos haiN jin maiN bees saal se lai kar assee saal ke bain bain Haamilaan-e-sin haiN ,,in maiN jamaalee bhee haiN jalaalee bhee a'malee bhee khayaalee bhee alGharaZ

gulhaa-e-rang rang se hay raunaq-e-chaman
ai zaug is jahaaN ko hay zaib ikhtilaaf se

Phir bhee sab kaa naSb.ul,'ain mushtarakah hay aur woh hay "i'laa-e-kalimatullaah" -sab aapas maiN gulay milay rahtay haiN, aik faZaa-e-bai.takallufaanah hay keh takalluf akcar "kibr" ke sabab hotaa hay aur takabbur se tamaddun ki jaR kaTtee hay -jo mu'aashiray maiN zaraa haT ke rahnaa chaahtaa hay woh mu'aashiray se kaT ke rah jaataa hay, nateejatan andar se TooT PhooT kaa shikaar ho jaataa hay- dil se "kibr" nikal jaa.ay bas Phir aadamee halkaa Phulkaa hay, jahaaz ki "seat" par ho to kyaa bas ki Chat peh ho to kyaa, taaftaan uRaa rahaa ho to kyaa chanay chabaa rahaa ho to kyaa , "chuneeN shudeem cheh shud yaa chunaaN shudeem cheh shud " aisee SuHbatoN maiN aa kar ma'loom paRtaa hay keh mere andar kyaa kyaa fasaad barpaa hay harchand keh yeh laug is kaa iHsaas nah dilaa.aiN ,maiN khud ko nah jaanay rooH ke kin kin amraaz maiN mubtilaa paataa hooN aur in maiN rah kar kuCh farq bhee maHsoos kartaa hooN- khudaa rooH ko ifaaqah naSeeb farmaa.ay-


khair fajr ki namaaz se na.ay din kaa aaGhaaz kiyaa -neend bhee insaan ki zindagee maiN bahut kuCh kirdaar adaa kartee hay -agar isay aik din sonay nah diyaa jaa.ay to nah jaanay kahaaN kahaaN ki haaNktaa hay -fajr ke ba'd mashwarah huwaa aur t'ai paayaa keh a'Sr ke ba'd teen jamaa.'ataiN banaa kar mukhtalif samtoN maiN da'watee gasht kiyaa jaa.ay-taa aaN keh ziyaadah se ziyaadah i'laaqah baraa.ay da'wat ghairaa jaa sakay -

naashitah ke ba'd a'laSSubH maiN aur aik aur buzurg "baaqar Uncle" infiraadee mulaaqaataiN karnay niklay - mukhtalif gharoN peh jaa kar laugoN ke saamnay da'wat raKhee -maiN ne "sindhee" maiN bhee guftugoo kee- in laugoN maiN balkeh har qaum main aik jazbah mushtarkah hay keh apnay hamzabaan ko baultaa daiKh kar mutaacir hotay haiN -Phir masjid ko lauT aa.ay aur seeKhnay siKhaanay kaa silsilah shuroo' huwaa-

naawaaqifiyat aur laa.i'lmee kaa yahaaN bhee daur daurah hay- SubH ho ga.ee laiken shab-e-baraat ke paTaakhay band nah huway -aik aadamee baahir baahir se hi masjid ki deewaar ko choom kar chal diyaa mumkin hay namaaz bhee parHtaa ho par bahutoN kaa to bas choomaa chaaTee par hi iktifaa hay - kabhee deewaar choom lee kabhee apnay angooThay choom liyay yaa Phir kabhee quraan choomaa aur baalaa-e-t'aaq raKh ChoRaa Allaah Allah khair sallaah- ba eeN hamah chiraaGh to aNdhairoN maiN jalaa.ay jaatay haiN sooraj ko chiraaGh kyaa diKhaanaa -


.........................jaaree hay
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Re: "raah-e-ulfat" .......mazeed jhalkiyaaN

Post by yasir shah »

.......a'Sr ke ba'd ham aamadah bah gasht thay -"gasht" ya'nee galiyoN ki khaak uRaanaa ,ghar ghar dastak dainaa aur Allaah ke ghar ki t'araf bulaanaa aisaa baish.qeemat a'mal hay keh agar is kaa laugoN ko SaHeeH idraak ho jaa.ay to in kaa ghar maiN Tiknaa muHaal hay- aataa hay keh Allaah ke raastay kaa gard-o-Ghubaar jism peh jahaaN lag jaa.ay wuhaaN jahannam ki aag to darkinaar us kaa dhuwaaN bhee Haraam hay-

is a'mal ke jahaaN baishumaar infiraadee faZaail-o-fawaaid musallam haiN wuheeN ijtimaa'ee fawaaid bhee Hairaan.kun haiN - hamaaree da'wat koi sunay nah sunay , maanay nah maanay maHZ zaakiroN ki yeh chalat Phirat door.ras aur dair.paa nataaij ki Haamil hay-

kitnay hi afraad haiN keh aaj infiraadee sat'H par deen ke nifaaz ko ba'eed az qiyaas jaantay haiN aur is pur.kaif zindagee ko gum.kardah bahisht se ta'beer kartay haiN aur kitnay haiN keh jin ko khabar hi naheeN keh deen kahtay kisay haiN,jo "haa.ay kambakht too ne pee hi naheeN" kaa miSdaaq banay huway haiN , jab in jeetay jaagtay khudaa ke bandoN muHammad Sallallaahu a'laihi wa aalihee wasallam ke GhulaamoN ko sar-e-'aam chaltaa Phirtaa daiKhtay haiN to in ke andar bhee maqSood ki t'alab keh jo bhook pyaas se ziyaadah aTal, aham aur fit'ratee hay aNgRaaee liye bin naheeN rahtee aur yehee woh t'alab hay jo rukh-e-zeest badalnay maiN mu'aawin bantee hay-


gasht ke liye jamaa'at tayyaar thee ,aik maqaamee saathee ko rahbar muqarrar kiyaa gayaa keh jo hamaaraa ta'aaruf karaa.ay gaa -aik mutakallim chunaa gayaa jo da'wat day gaa- yeh do aagay rahaiN gay baaqee peeChay peeChay - jamaa'at masjid se du'aa maaNg kar niklee - "bhaai abdul MuGheec" mutakallim Thahray-

chand laugoN se baat huwee -aik darwaazay peh dastak dee to koi SaaHib niklay laiken pooray nah niklay- kawaaR pakaR kar KhaRay thay- mutakalim ne ijmaalee da'wat aagay raKhee unhoN ne sarsaree andaaz se liyaa- pooChtay kyaa haiN :
"aap Salawaat paRhtay haiN"
ham sab chauNk ga.ay magar mutakallim ne barjustah jawaab diyaa "haaN paRhtay haiN" aur paRh ke diKhaayaa :
"aSSalaatu wassalaamu a'laa rasoolullah"

jab in se kahaa gayaa keh masjid ko chaliye gaa bolay masjid maiN nah aa.ooN gaa -yeh Takaa saa jawaab kis aasaanee se day diyaa - maiN is jawaab se kaafee dair mutaacir rahaa laiken baaqee saathee in baatoN ke 'aadee lagtay thay ,aagay baRh jaatay -

chaltay chaltay aik ghar paRaa takhtee par Ghaaliban "raajpoot" darj thaa-rahbar ne bataayaa hindoo haiN -yeh sun.naa thaa keh ham aagay rawaanah ho ga.ay -mairee khwaahish thee keh yahaaN bhee kuCh bunyaadee baat raKh dee jaatee magar buzurg Ghair muslimoN ko baaZaabit'ah da'wat dainay se baaz raKhtay haiN -sabab is kaa ba'd maiN, apnoN ki deenee zabooN Haalee keh jis ke Ghair bhee shaahid haiN, ma'loom chalaa- baqaul-e-Iqbaal:

gilah-e-jafaa-ay-wafaa.numaa keh Haram ko ahl-e-Haram se hay
kisee but.kaday maiN bayaaN karooN to kahay Sanam bhee 'haree' 'haree'




----------------------------jaaree hay
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Re: "raah-e-ulfat" .........mazeed jhalkiyaaN

Post by yasir shah »

....laaRkaanay kaa yeh i'laaqah neem daihaatee hay -din maiN sakht garmee aur raat mu'tadil hotee hay- qareeban tamaam saathiyoN kaa ta'lluq ameer gharaanoN se hay , magar masjid ke farsh par Khulay aasmaaN talay maHw-e-istiraaHat haiN - aaraaish-o-aasaaish bazaat-e-khud mazmoom naheeN laiken iHtiyaaj-e-ta.'yyush buree balaa hay-aasmaan kaa naZ'Z'aarah bhee kyaa rooH parwar hay ,aasmaan peh sitaaroN kaa jaal biChaa hay beech maiN chaaNd Phir sab poooree aab-o-taab se namoodaar haiN,ThanDee hawaa ke jhauNkay ,nah chauree kaa Dar ,nah maut kaa khauf ,nah Gham-e-bairaahravee - aur kyaa chaahiyay bataaiyay ! neeNd ke aanay tak-alHamdulillaah-


.....ab hamaaree maizbaan "chandikah medical hostel" se mulHiq aik masjid hay - kaafee kushaadah hay -hamaaray qiyaam se Allah masjidoN ko khoob raunaq bakhshtaa hay , diloN ko musakhkhar kar daitaa hay , laug "khurooj" peh fauree aamadah nah bhee hoN to khoob khaat'ir tawaaZu' kartay haiN - mana' karnay ke baawajood anwaa'-o-aqsaam ke Khaanay lay aatay haiN -ghul mil kar baiThtay haiN ,baat suntay haiN aur sanjeedagee se laitay haiN , mustaqbil ke liye naik iraaday bhee kartay haiN - yeh bhee kyaa kam hay munaasibat-e-deen ke liye alHamdulillaah- yehee munaasibat hee bahtoN ki ba'd azaaN maHabbat maiN badal jaa.ay gee inshaaAllaah - iSlaaH to isee kaa naam hay aur yeh batadreej huwaa kartee hay -


hostel maiN bhee khuSooSee aur u'moomee gasht kiyay ga.ay- yahaaN t'ulabaa ne tableeGh-o-tarGheeb ko bahut aChChay andaaz se liyaa- meHnatee t'abqah hay chunaaNcheh meHnat kaa qadr.daan hay bas zaraa tarjeeHaat waaZeH ho jaa.aiN aur sunnataiN zindah ho jaa.aiN bas Phir kyaa hay yehee ta'leem i'baadat ban jaa.ay -

hamaaray DaakTaraan ne bhee yahaaN baRh chaR kar meHnat kee baaqaai'dah fahristaiN murattab kar ke khoob Daak khaanay milaa.ay -aakhir shab-e-juma' tableeGhee markaz ko rawaanah ho ga.ay ,mukhtalif bayaanat sunay, eemaanee kaifiyat maiN iZaafah huwaa- Phir laaRkaanay ki aik aur masjid ki t'araf kooch kiyaa-


"mire dil mire musaafir
huwaa Phir se Hukm Saadir
keh wat'an badar hoN ham tum
daiN galee galee SadaaiN
karaiN rukh nagar nagar kaa
keh suraaGh koi paaiN......"




....."taaj masjid" maiN qiyaam kiyaa- yahaaN ameer-e-jamaa't "DaakTar Shakeel SaaHib " ne khidmat ki zimmahdaaree mujhay aur apnay aap ko sauNpee-palaiToN, pyaaliyoN aur chamchoN se to paalaa paRtaa rahtaa hay, haaNDee, choolhay, daigchee ,Churee, aur kaitleee se pahlee dafa' aisaa tafSeelee saabiqah paRaa - laiken karnaa paRtaa hay - tableeGh hi naheeN balkeh pooray islaam ki rooH to "maan kar chalnaa" hay aur yeh mushkil.tar hay baRay baRay is t'areeq maiN Dagmagaa.ay haiN baqaul Haalee :

sakht mushkil hay shaiwah-e-tasleem
ham bhee aakhir ko jee churaanay lagay

agar yeh nah sun laitaa keh ameer ki i't'aa'at maiN HuZoor Sallallaahu a'laihi wa aalihi wasallam ki it'aa.a't hay to ka.ee mauq'oN par maiN bhee shaiwah-e-tasleem se jee churaa laitaa, daaman ChuRaa laitaa aur aaNkhaiN mooNd laitaa , laiken is shaiwa-e-tasleem ke jo fawaid fazaail aur anwaaraat maiN ne maHsoos kiyay un kaa iHaat'ah karnay se bhee qalam qaaSir hay-

khair, mashwarah huvaa keh kyaa pakaayaa jaa.ay gausht Khaa Khaa ke ma'dah uktaa chukaa thaa chunaaNcheh "tooree" pakaanaa t'ay paayaa -tooriyaaN jaa kar lay aa.ay- mujhay ameer SaaHib ne tooree Cheelnay peh lagaa diyaa aur khud haaNdee choolhaa saNbhaal liyaa yooN lagtaa thaa keh ghar maiN bhee khaanaa pakaatay rahtay haiN-

waisay tooree Cheelnaa bhee aik fan hay kis zaaviyay se Churee PakRee jaa.ay , kis zaur aur kis raftaar se chaalaaee jaa.ay- mere to Cheelnay maiN haath kaaNptay thay -chunaaNcheh zaraa see uNglee kaT ga.ee khair dauraan-e-khidmat waalidah ki baRee yaad aa.ee aur un ki qadr bhee maHsoos huvee - bhalaa ho jamaa'at kaa keh aik naa.hanjaar ko waalidah kaa qadrdaan banaa diyaa -khudaa ki qasam kabhee kabhee yeh jazbah-e-nadaamat ghair laitaa hay keh ab jab keh un ki khidmat hamaiN karnee chahiyay, ham khidmat liyay jaa rahay haiN- du'aa hay ke Allaah yahaaN se ghar waapas waalidain kaa it'aa.a't shi'aar-o-khidmat guzaar banaa kar lauTaa.ay -




.....yooN to jamaa'at ke sab afraad mutaacirkun shakhSiyaat ke Haamil haiN -aik shakhSiyat se maiN bahut mutaacir hooN- mujhay is kaam ke saath baGhair kisee baaqaai'dah da'wat ke jauRay raKhnay maiN in kaa bhee kirdaar hay- kabhee bayaan ke liyay KhaRay ho jaa.aiN to jumlay TooT PhooT jaatay haiN, HaafiZah saath ChauR jaataa hay yahaaN tak keh a'in majme' maiN luqmay maaNgtay haiN laiken lahjay ki miThaas aisee hay keh bas aadamee suntaa rahay- un ki da'wat-o-tableeGh un ke akhlaaq haiN , un ki milan.saaree hay , un ki murawwat hay, un ki insaan daustee hay warnah bayaan karnay ko to bahuteeray haiN- in kaa naam hay Idrees u'rf "Baaqar uncle" -"PIA" maiN "pilot" rah chukay haiN -

"Baaqar uncle" ki baat hi kuCh aur hay in jaisay laug ab mu'aasharoN maiN khaal khaal hi diKhtay haiN- khudaa mujhay bhee in jaisay akhlaaq naSeeb karay aameen - ab akcar akhlaaq Z'aahiree aur maSnoo'ee haiN ,jaabajaa bas akhlaaq ki adaakaaree naZ'ar aatee hay -zaraa kaheeN mafaad peh Zarb aa.ee aur janaab aapay se baahir -baqaul shakhSay :

zaraa si dhoop maiN akhlaaqiyaat bhool ga.ay
zaraa si bhook maiN "islaamiyaat" bhool ga.ay


Allaah hamaiN a'laa akhlaaq naSeeb karay keh bin is ke chaarah-e-kaar naheeN-



...............................jaaree hay
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Re: "raah-e-ulfat" .......aakhiree jhalkiyaaN

Post by yasir shah »

--

"yahaaN kaafee din guzar jaatay haiN aur aaeenah daiKhnaa naSeeb naheeN hotaa - maiN bhee Ghar se nikaltay huvay aaeenah lainaa bhool gayaa- Maulaanaa roomee ki aik Hikaayat yaad aa ga.ee Ghaaliban baadshah jahaaNgeer kaa vaaqi'ah hay keh unhaiN cheenee aainah kaheeN se tuHfay maiN milaa shaayed us vaqt ke cheenee aaeenoN maiN shakl aur bhee aChChee diKhtee ho -aik khaadim se Safaaee maiN TooT gayaa -khidmat -e-shaah maiN yooN a'rz pardaaz huvaa :


"baa qaZaa aaeenah-e-cheenee shikast"
(qaZaa se cheenee aaeenah TooT gayaa) baadshaah ne yeh naheeN kahaa keh kambakht maaray yeh kyaa kar diyaa dafa' ho, shakl gum kar, balkeh kyaa farmaatay haiN , suniye:

"khoob shud asbaab-e-khud beenee shikast"
(aChChaa huvaa khud ko daiKhnay kaa saamaan hi TooT ga.ay) goyaa "bas ab yaaro Allaah hi Allaah hay"
waisay aaeenah daiKhnaa sunnat hay aur daiKh kar yeh du'aa paRhnee chaahiye "allaahumma anta Hassanta khalqee faHassin khuluqee" tarjimah: " ai Allaah jaisay too ne mairee Soorat aChhee banaaee mairay akhlaaq bhee aChhay kar day"


mairaa aglay rauz SubH kaa bayaan t'ai thaa lihaazaa mukhtaSaran chand baataiN bat'aur-e-yaad.dihaanee majma'ay ke gaush guzaar kar deeN- buzurgoN ne, taakeh ikhtilaafee baHcaiN nah ChiR jaa.aiN, Che (6) bunyaadee baataiN talqeen kee haiN -in maiN rah kar baat kee jaatee hay -yeh Che baataiN daraSl Che Sifaat haiN jinhain majma'ay maiN baul baul kar khud maiN paidaa karnaa aur auroN ko in ki tarGheeb dainaa maqSood hay-yeh haiN :



"1-kalimay ki Haqeeqat (ya'nee dil se har Allaah kaa Ghair nikal jaa.ay aur dil maiN bas Allaah hi Allaah bas jaa.ay)
2-Sifat-e-Salaat ( pooree zindagee namaaz ki tarteeb peh aa jaa.ay ya'nee Allaah kaa Hukm ho nabee Sallallaahu a'laihi wa sallam kaa t'areeqah ho aur mairaa tan ho)
3-i'lm--zikr (bunyaadee "i'lm" keh jo farZ ke darjay maiN hay seeKh laiN jaisay kaun meHram hay kaun naa.meHram ,kyaa paak hay kyaa naa.paak, kyaa Halaal hay kyaa haraam ,kyaa jaaiz hay kyaa naa.jaaiz sab Saaf ho jaa.ay aur "zikr" ya'nee Allaah kaa uThtay baiThtay, chaltay Phirtay dhiyaan naSeeb ho jaa.ay jis T'arah se daihaat ki aurataiN sar peh paanee ke gaRhay uThaa.ay Phirtee haiN, sakiyoN se baul chaal bhee rahtee hay aur dhyaan gaRhay maiN hotaa hay )
4-ikraam ul muslimeen (ya'nee ham tamaam musalmaanoN kaa ikraam karnay vaalay ho jaa.aiN)
5-ikhlaaS (har naik kaam aur har buraai se bachnaa maHz Allaah ki raZaa ke liyay ho)
6-da'wat (khud naik kaam kartay huvay auroN ko is ki tarGheeb aur khud buraaee se bachtay huvay auroN ko is se bachnay ki talqeen-ya'nee apnee iSlaaH auroN ki itt'ilaa')"



yahaaN se ab hamaaraa daanah paanee uTh gayaa -chillay ke das din kisee daihee i'laaqay maiN tashkeel hotee hay aur baqiyah tees din door daraaz i'laaqoN maiN- i'laaqay ki taqarruree "raaiwand markaz" se hotee hay-


aaj barauz-e-peer ham "RaaiwanD" ke liye rawaanah huvay- is vaqt maiN rail gaaRee ke Dabbay maiN yeh taHreer liKh rahaa hooN -hichkaulay khaatee huvee "train","A/c" vaalaa Dabbaa, bachchoN ki aavaazaiN aur maiN liKH rahaa hooN, liKh rahaa hooN keh kyaa beet rahee hay , liKh rahaa hooN keh kyaa sauch rahaa hooN - jab avvwaleen tarjeeH Allaah ki raZaa hotee hay to bahut see cheezaiN caanvee Haiciyat ikhtiyaar kar laitee haiN- Faraaz kahtaa hay:


kaThin hay raah.guzar ThoRee door saath chalo
bahut kaRaa hay safar ThoRee door saath chalo

tamaam u'mr kahaaN koi saath daitaa hay
maiN jaantaa hooN magar ThoRee door saath chalo

magar jab safar raah-e-ulfat kaa ho ,maqSood Allaah ki khushnoodee ho to raah.guzar kaa kaThin honaa caanvee hay, Safar kaa kaRaa honaa caanvee hay , kisee kaa thoRee door aur thoRee dair saath dainaa bhee ba'd ki baat hay agarcheh saath dainay waaloN ki kisee nah kisee darjay maiN Zarooorat paRtee hay- daiKhiye ! safar t'aveel hay magar hamraahee khush-o-mut'main naZ'ar aatay hay- Allaah hamaiN khulooS a't'aa farmaa.ay-aameen




"....hamaaraa yeh safar "RaaiwanD" peh jaa kar khatm huvaa- yeh bhee aik pooree bastee lagtee hay-har t'araf laug hi laug naZ'ar aatay haiN- jinhaiN insaan daiKhnay haiN yahaaN aa jaa.ay - jinhaiN maumin daiKhnay haiN yahaaN aa jaa.ay, jinhaiN muballiGh daiKhnay haiN yahaaN aa jaa.ay, jinhaiN mujaahid daiKhnay haiN yahaaN aa jaa.ay , jinhaiN akaabir daiKhnay haiN yahaaN aa jaa.ay- alGharaZ ,alQiSSah , almukhtaSar jinhaiN Allaah ke banday daiKhnay haiN unhaiN yeh bastee kuCh door naheeN- kyaa u'lamaa kyaa juhalaa , kyaa umaraa kyaa fuqaraa, kyaa tujjaar kyaa qallaash sab saaree tameezaiN miTaa.ay khaak.nisheen haiN- alHamdulillaah keh noor-e-naZ'ar bujhnay se qabl aaNKhoN ne yeh dar-o-deevaar daiKh liyay -

maGhribee niZ'aam-e-ta'leem ne meree rooH ko ishtihaa-o-tishnagee to a'taa kar hi raKhee thee qareeb thaa keh "dunyaa tumhaaree ungliyoN par"(world at your finger tips) ke farsoodah na'ray talay isay aseer kar daitee aur yooN yeh baichaaree bhookee pyaasee hi mar jaatee agar maiN is zindaaN se baahir qadam nah uThaataa aur Phir Allaah ki madad shaamil-e-Haal nah hotee -yeh khazaanah woh naheeN keh ghar baiThay mil jaa.ay deen to hay hi justujoo kaa naam -

farang se bahut aagay hay manzil-e-maumin
qadam uThaa ! yeh maqaam intihaa-e-raah naheeN

yahaaN (RaaiwanD) aa kar maHsoos hotaa hay keh "jamood" Hayaat ke daaman par kitnaa baRaa daaGh hay -aik jamaa'at aa rahee hay ,aik jamaa'at jaa rahee hay- aik andaroon se aa rahee hay ,bairoon ko jaa rahee hay-aik bairoon se aa rahee hay andaroon ko jaa rahee hay -kyaa barwaqt iqbaal ke yeh ash'aar yaad aa ga.ay:

faZaa neelee neelee havaa maiN suroor
Thahartay naheeN aashiyaaN maiN t'uyoor

woh joo-ay kuhistaaN uchaktee huvee
aTaktee ,lachaktee, saraktee huvee

uChaltee Phisaltee , saNbhaltee huvee
baRay paich Khaa kar nikaltee huvee

rukay jab to sil cheer daitee hay yeh
pahaaRoN ke dil cheer daitee hay yeh

zaraa daiKh ai saaqiy-e-laalah faam!
sunaatee hay yeh zindagee kaa payaam

"Allaah-o-Akbar" aagay farmaatay haiN:

fireeb-e-naZ'ar hay sukoon-o-cabaat
taRaptaa hay har zarrah-e-kaainaat

Thahartaa naheeN kaarwaan-e-wujood
keh har laHZ'ah hay taazah shaan-e-wujood

samajhtaa hay too raaz hay zindagee
faqat' zauq-e-parwaaz hay zindagee

safar zindagee ke liye barg-o-saaz
safar hay Haqeeqat , HaZar hay majaaz


yeh jagah pooraa aik shahr diKhtee hay- mukhtalif shu'bay maujood haiN - Daak kaa shu'bah alag ,khidmat kaa shu'bah alag, nigraanee kaa shu'bah alag , tarjumaanee kaa shu'bah alag (yeh shu'bah daraSl bairoon ki jamaa'atoN ko tarjumaan faraaham kartaa hay taakeh da'wat dainay maiN aasaane ho)- yahaaN pooree dunyaa ke naqshay maujood haiN keh jin maiN dunyaa ki qareeban tamaam masjidoN kaa indiraaj hay aur sun.nay main aayaa keh yeh naqshay haath ke banay haiN -in shu'boN maiN kaam karnay waalay raZaakaar haiN ya'nee bai.mu'aawiZah "nah gilah hay daustoN kaa nah shikaayat-e-zamaazah" ki miSdaaq, saaray qaabil haiN balkeh bandagee ke libaadoN maiN aisee hastiyaaN naZ'ar aa jaatee haiN keh a'ql dang rah jaatee hay, nah kaheeN Dankaa bajaa ,nah kaheeN dhoom machee ,yeh haiN aur in kaa maulaa waaqi'ee ikhlaaS waalay Phir kaheeN ke naheeN rahtay(lazzat-e-ikhlaaS ke sabab)- ai kaash saaree ummat maiN yeh bai.lauc jazbah Phir se baidaar ho jaa.ay aur har aik yeh fikr karay keh woh deen ke kis shu'bay maiN ikhlaas se kaam aa saktaa hay to koi din jaataa hay yeh ummat Phir se Phal Phool uThay -


aik naayaab sunnat yahaaN zindah daiKhee -alHamdulillaah-baGhair "loud speaker" ke LaaKhoN ke majma'ay ne (takhmeenan) baa.jamaa't namaaz adaa kee - mukhtalif jaghoN par "mukabbir" t'ay thay jab chaaroN t'araf se yeh "ALLAAH-O-AKBAR" aur "RABBANAA LAKAL HAMD" ki Sadaa.aiN buland kartay to samaaN bandh jaataa aur rag-o-pay maiN kaee lahraiN see uTh jaateeN - eeN namaaz raa lut'f deegar ast -



".....Haajee Abdul Wahhaab saaHib (ameer-e-tableeGh) ki ziyaarat naSeeb huvee -yeh woh hastiyaaN haiN keh aaNkh bhar daiKho to jee nah bharay- nooraanee ma'soom chahrah, dilnisheeN tabassum , intihaaee dheemee aavaaz -hamah tan gaush ho jaaiye to samundar se mautee haath aa.ay naheeN to hamah tan chashm hi rahiye-baqaul shakhSay :

yeh to maloom hay too baulay to khaamaush rahooN
hamahtan chashm rahooN maiN hamahtan gaush rahooN ?

yooN ird gird laug ikaThThay ho jaatay goyaa shamma' ke gird parwaanay - ba'Z auqaat kaaNdhay PhalaaNgnay maiN bhee pas-o-paish nah kartay aur yeh cheez Ghalat' hay- a'in bayaan ke dauraan Haajee SaaHib ko ooNgh aa jaatee kabhee kabhee chahrah aik t'araf ko Dhalak jaataa tab laug hamahtan muntaZ'ir ho jaatay keh ab jaagaiN aur ab multafit hoN-

zamaanah baRay shauq se sun rahaa thaa
hamheeN so ga.ay daastaaN kahtay kahtay

aik dam se jaag jaatay aur silsilah-e-takallum wuheeN se juRtaa jahaaN TooTaa thaa - bayaan ke aakhir maiN khaadimeen un kee "pahyyaa kursee"(wheel chair) liyay rafoochakkar ho jaatay aur maiN muSaafiHay kaa tamannaaee tamannaaee hi rahtaa -



khair aagay hamaaraa safar pishaawar kaa t'ay paayaa , khoob rahaa ,yeh safarnaamah khatm ho gayaa laiken safar abhee jaaree hay keh baqaul-e-khud

nah kiyaa tark safar mil ga.ee manzil aakhir
faaSilay haar ga.ay aur qadam jeet ga.ay





Harf-e-Aakhir

aaj waqt ki sab se baRee Zaroorat da'wat il Allaah hay- aur sab se pahlay is kaa faaidah khud ko hi pahunchtaa hay jooN Khaitee paktay hi pahlay kisaan ke ghar aatee hay Phir manDee maiN daa'ee ki baat pahlay usee ke dil peh acarandaaz hotee hay Phir majma'ay par -chunaaNcheh aap islaam ki da'wat daiN taakeh aap ke qalb maiN islaam raasikh ho jaa.ay aur a'jab naheeN keh yeh deen chaar soo bhee Phail jaa.ay - agar laugoN maiN a'maal zindah karnay kaa zaree'ah aap ban ga.ay to sab ke a'maal kaa cawaab aap ke khaatay maiN jaa.ay gaa yooN keh un sabhoN ke ajr maiN zaraa kamee nah ho gee-

wa aakhiru da'waanaa a'nil Hamdulillaahi rabbil 'aalameen
Post Reply