يه مسئله نهيں اخلاص ميں كمي كيوں هے
سوال يه هے كه انسان دشمني كيوں هے
اك عمر ديكھ چكے هيں جو غم زده مجھ كو
انھيں يه رنج كه هونٹوں په اب هنسي كيوں هے
هزار چهروں ميں ديكھا نه كوئي ويسا ملا
كوئي بتائے كه وه شكل دوسري كيوں هے
مناو جشن تمھيں كون روك سكتا هے
شكستگاں كے ليے اتني برهمي كيوں هے
چراغ بجھتے هوئے هم سے ديكھے جاتے نهيں
هوا چلي تو سهي پر هوا چلي كيوں هے
درونِ ذات هے گردوغبار چھايا هوا
يه قلب و ذهن په طاري فسردگي كيوں هے
وه اپنے حليے سے كيسا عجيب لگتا هے
هر اك نگاه اسي پر لگي هوئي كيوں هے
ثبوت مانگنے والے سخن شناس نهيں
جو پوچھتے هيں مرا شغل شاعري كيوں هے
اِدھر اُدھر كے مضامين، گفتگو ، باتيں
سخن وري كي فضا آج ايك سي كيوں هے
سنا هے هاشمي الفاظ پھول هوتے هيں
تمھارے لهجے ميں شامل كرختگي كيوں هے
سيد انور جاويد هاشمي
اردوڈكشنري بورڈ،كراچي
Syed Hashmi SaaHib !
assalaamoa'laikum
Ghazal kyaa khoob kahee hay -daad qubool keejiye gaa -aur Hazrat kuch nah kuCh jawaaban liKhiye gaa yooN hi sahee keh miyaaN tumhaaree daad hamaiN qubool naheeN-
du'aakhwaah
yasir
huzoor aap ka yeh tabcirah fuzool nahin
mein kaisey kehdoon bhala daad ye qubool nahin
dilouN ko touRna to Hashimi usool nahiN
ye aur baat k jaouN ager meiN bhool nahiN
to naikiyoun ki bhi qeemat houei wasool nahiN..Khoosh rahiyey housal afzai fermate rahiyey[/b]
Intehaayi muazerat chaahta hooN keh computer ki kharabi-e-sehat ki wazah se bohat der se aapki ghazal pe nazar padi. Kya khoob ghazal keh di hai aapne, haqueeqat ka fasana bana diya hai......
Ek Umr Dekh Chuke hain jo Ghamzada Mujhe....
Unhein yeh ranj keh hontoN pe ab Hansi kyoN hai
Lillah hamein aap ess main shumaar na kiziyega, hum yahi chaahte hain keh yeh "Trade Mark" Hansi aapke Chehre par hamesha khili rahe aur DushmanoN ke seene main moong dalti rahe. Aameen.
Chiraag bujhte hoye Humse dekhe jaate nahiN
Hawa Chali to sahi par Hawa Chali kyoN hai?
Bada ajeeb sawaal kar diya hai aapne Janab... Ab hawa chali kyoN hai.. eske liye ek Khoj Commission Baithana padega, wohh apni report 3-months main de degi to hum aapko bata denge.......
Waise hamein lagta hai keh DushmanoN ne kisi Peer, Faqueer ki dargah main Hawa chalne ki mannat kii hai.
Bahar-kaif, ek dilnasheen ghazal ke liye aapse dil se shukr guzaar hoon. aap jaise ustaad-e-fan hazrat ki ghazloN ko padh kar hamein bohat kuchh seekhne ko milta hai. ALLAH kare yeh silsila chalta rahe... Shamma jalti rahe, dil bahalta rahe.