yeh dunyaa maiN ne Thukraayee bohat hai!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

yeh dunyaa maiN ne Thukraayee bohat hai!

Post by Sarwar A. Raz »

taqreeb-e-Ghazal

Haal hee meN Dallas (Texas, USA) ke ek mushaa,i'reh meN janab :Wasim: Barelavi kaa ek miSra' ba-t^aur-e-t^araH tajweez kiyaa gayaa:

:yeh dunyaa maiN ne Thukraayee bohat hai:

maiN ne bhee is meM fikr kee aur apnee Ghazal pesh kar rahaa hooN. is meN daanistah Molana :Hasrat: Mohani ke ek she'r se istifaadah kiyaa gayaa hai, bal.k yooN kehnaa ziyaadah SaHeeH hai keh un ke maZ^moon ko is Ghazal kee zameen aur beHr meN adaa karne kee kosish kee gayee hai. Molana kaa she'r hai:

naheeN aatee jo yaad un kee to barsoN tak naheeN aatee
magar jab yaad aate haiN to akcar yaad aate haiN

yeh waZ^aaHat is liYe Z^arooree hai keh kaheeN mujh par :sarqeh: kaa ilzaam nah lag jaaYe!

ab aap Ghazal dekhiYe. aap kee raaYe aur Khayaalaat kaa intiz^aar rahe gaa. shukriyah!
===========================
GHAZAL

mire jab bhee qareeb aayee bohat hai
:yeh dunyaa maiN ne Thukraayee bohat hai!:

maiN samjhotaa to kar looN zindagee se
magar z^aalim yeh har-jaayee bohat hai!

tumheN sarshaaree-e-manzil mubaarak!
hameN yeh aablah-paayee bohat hai

kahaaN maiN aur kahaaN teree tamannaa!
magar yeh dil! keh saudaayee bohat hai!

balaa se gar naheeN suntaa hai koyee
majaal-o-taab-e-goyaa,ee bohat hai!

miree rindee ba-raNg-e-paarsaayee
Hareef-e-Khauf-e-ruswaayee bohat hai!

maiN Hasrat-aashnaa-e-aarzoo hooN
miree Gham se shanaasaayee bohat hai

:nah aayee yaad to barsoN nah aayee
magar jab aayee to aayee bohat hai!:

maiN Khud ko DhooNDtaa hooN anjuman meN
mujhe eHsaas-e-tanhaayee bohat hai!

zamaane ko shikaayat hai yeh :Sarwar:
keh tujh meN boo-e-Khudraayee bohat hai!
=====================
Sarwar A. Raz :Sarwar:
Mujeeb
nau-waarid
Posts: 1
Joined: Fri Oct 31, 2008 9:47 pm

Re: yeh dunyaa maiN ne Thukraayee bohat hai!

Post by Mujeeb »

Aadaab !

wah wah wah ! bahut khoob !!!
itne asaan alfaaz meN app ne ghazal kahi , jaise koi kisi ko samjhaa raha ho , mujhe beHad achi lagi ghazal

meri jaanib se daad qabool fermaaieN


Mujeeb
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: yeh dunyaa maiN ne Thukraayee bohat hai!

Post by Sarwar A. Raz »

Mujeeb wrote:Aadaab !

wah wah wah ! bahut khoob !!!
itne asaan alfaaz meN app ne ghazal kahi , jaise koi kisi ko samjhaa raha ho , mujhe beHad achi lagi ghazal

meri jaanib se daad qabool fermaaieN


Mujeeb
a'zeezam Mujeeb: aadaab!

Ghazal pasand karne aur daad kaa dilee shukriyah qubool keejiYe. aate rahiYe aur Urdu Bandhan kee raunaq baRhaate rahiYe.

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Post Reply