alamia :do sher

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Aadil Rasheed
-
-
Posts: 52
Joined: Sat May 09, 2009 5:08 am
Contact:

alamia :do sher

Post by Aadil Rasheed »

do sher urdu ke hawale se
Attachments
alamia.jpg
alamia.jpg (24.92 KiB) Viewed 185 times
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: alamia :do sher

Post by sbashwar »


Mohtaram Aadil Rasheed Saheb
:salaam:

DonouN sher bohat pasand aye jinhein maine urdu mein type karne ki koshish kya houn:

tujhe urdu zaban shohrat ke bhooke qatl kar denge
jo tu ghairon se bach nikli to apne qatl kar denge


تجھے اردو زبان شہرت کے بھوکےقتل کر دینگے
جو تو غیروں سے بچ نکلی تو اپنے قتل کر دینگے

gharon men baith ke urdu pe tabsara kaisa
wahan charagh jalao jahan zaroorat hai


گھروں میں بیٹھ کے اردو پہ تبصرہ کیسا
وہاں چراغ جلاو جہاں ضرورت ہے
سالم احمد باشوار
Aadil Rasheed
-
-
Posts: 52
Joined: Sat May 09, 2009 5:08 am
Contact:

alamia :do sher

Post by Aadil Rasheed »

Shukriya
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Re: alamia :do sher

Post by munir-armaan-nasimi »

Bhai, bohat khoob Adeel Rashid Saheb kya ashaar hain... Urdu zaban ko aaj sab se ziyada khatra uske apnoN se hai. Wohh log jo Urdu ke professor, lecturer, adeeb o naaqid hain..... unhi ke gharoN main unke bachche Urdu se Aashna nahin hain... English medium main padhte hain. Kabhi apni ek ghazal main mera bhi ek sher kuch yoN tha mulahija farmaayein.

Chaah kar bhi mitaa na paaoge
Ban ke Urdu bikhar gayi khushboo

Taalib-e-dua,

Munir Armaan
Aadil Rasheed
-
-
Posts: 52
Joined: Sat May 09, 2009 5:08 am
Contact:

Re: alamia :do sher

Post by Aadil Rasheed »

munir saheb aapne talibe dua kyun likha aapki dua ki zaroora to mujhe hai
kyunki mai aapse chhota hun
aapka sher bilkul usi khayal ki akkasi karta hai jo aapne upar likhin hain
yahi urdu ki dastane ghum hai

mera ek sher hai

kaho to nam ungli par gina doon
adab ki jo ke khidmat kar rahe hai

ummeed hai ye sher bhi pasand aayega
dua talab
Aadil Rasheed
-
-
Posts: 52
Joined: Sat May 09, 2009 5:08 am
Contact:

Re: alamia :do sher

Post by Aadil Rasheed »

muneer arman saheb aadab

magar ab ziyada tar shiban mushaire ki shairi ko hi adab samajhta
khalis adabi ko mushaire me nahi bulate
aap aapna e mail zaroor den aap kahan se hai kya karte hain ye janna chahta hun

dua talab
Post Reply