Ghazal: "yuuN umr kaT rahii hai ..."

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Ghazal: "yuuN umr kaT rahii hai ..."

Post by irfan abid »

aadaab, dosto!

kuchh roz qabl :Meer: ko Khaaksaar kii Khiraaj-e-tahseen par nigaah-e-karam ke baad hamaare azeez dost Amjad Sb ne hukm saadir kiyaa thaa ki :Ghalib: kii yaad taaza karuuN. to leejiye, :Ghalib: kii zameen meN ek Ghazal pesh hai. ye taKhleeq koii do saal qabl vujuud meN aayii thii, lekin jahaaN tak mujhe yaad hai, ab tak aap ke saamne pesh nahiiN kii gayii. yahaaN ye arz kartaa chaluuN ki is Ghazal meN maiN ne :Ghalib: kii sirf zameen istemaal kii hai aur :Meer: vaalii Ghazal kii maanind maaKhiz-e-taaseer (source of inspiration) ke :raNg: ko apnaane kii koii daanista koshish nahiiN kii hai. haaN, naa.daanista taur par ye raNg dar aayaa ho to aur baat hai! :-)

Ghazal

yuuN umr kaT rahii hai jahaan-e-Kharaab meN
jaise hoN jism-o-jaan musalsal azaab meN

pesh-e-nazar jo hai so faqat sat.h-e-bahr hai
muKhfee hai ek aalam-e-jalva hijaab meN

shaidaa-e-rang sab haiN magar vo nazar kahaaN
dekhe jo baaGhbaaN ke lahuu ko gulaab meN

miTnaa hai ek aan meN donoN hii kaa vujuud
hastii ko apnii dekh rahaa huuN habaab meN*

yuuN to har ek nafs kaa anjaam hai fanaa
mujh saa miTe na koii zamaan-e-shabaab meN

farhaad-o-qais ho gaye jis meN supurd-e-Khaak
ham ne bhii rakh diyaa hai qadam us saraab meN

tasleem, aap aayeNge pursish ko ek roz
tab tak magar jiye jo koii iztiraab meN!

ik jaaN.ba.lab ke chain ko talqeen-e-intizaar
likkhaa hai qaaida ye bhalaa kis kitaab meN?

baaz aaye ham jo tum se kareN aur kuchh savaal
hote haiN sau savaal tumhaare javaab meN

aisaa bhii kyaa ki aap ke qaabil na ban sakuuN
maqbuul ho jo arz-e-muhabbat janaab meN

:Abid: kii paarsaaii par uNglii uThii hai aaj
mumkin hai kal ko daaGh lage aaftaab meN!

Niyaazmand,
Irfan :Abid:

* hastii apnii habaab kii sii hai (Meer)
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Re: Ghazal: "yuuN umr kaT rahii hai ..."

Post by Mahtab Qadr »

salaam e masnoon
Ghazal mai ustadaana rang jhalak raha hai. bahut bahut mubarak ho Irfan abid sahib.

yuuN umr kaT rahii hai jahaan-e-Kharaab meN
jaise hoN jism-o-jaan musalsal azaab meN
wah waah aaj ki umoomi insani zindagi ka kai khoob manzar utara hai aapne.

pesh-e-nazar jo hai so faqat sat.h-e-bahr hai
muKhfee hai ek aalam-e-jalva hijaab meN
bahut khob ye masayel e tasawuf .... tujhe hum wahi samajhte ..agar na irfan abid ...

shaidaa-e-rang sab haiN magar vo nazar kahaaN
dekhe jo baaGhbaaN ke lahuu ko gulaab meN
wah sahib bahut umda kaha hai

miTnaa hai ek aan meN donoN hii kaa vujuud
hastii ko apnii dekh rahaa huuN habaab meN*
zindagi ka sacha falsafa bayan kia hai ,

yuuN to har aik nafs kaa anjaam hai fanaa
mujh saa miTe na koii zamaan-e-shabaab meN
zaman e shabab ko agar...ahd e shabaab karleiN to kaisa rahega .

farhaad-o-qais ho gaye jis meN supurd-e-Khaak
ham ne bhii rakh diyaa hai qadam us saraab meN
acha khyal hai, magar zara sambhal ke janab...:)

tasleem, aap aayeNge pursish ko ek roz
tab tak magar jiye jo koii iztiraab meN!
khoob, kaun jeeta hai teri zulf ke sar hone tak

ik jaaN.ba.lab ke chain ko talqeen-e-intizaar
likkhaa hai qaaida ye bhalaa kis kitaab meN?
ji sach hai aaj ke nisaab mai ye qaida shamil nahi , magar duroos haye ishq o mohabbat mai yahi sab kuch to huva karta tha.

baaz aaye ham jo tum se kareN aur kuchh savaal
hote haiN sau savaal tumhaare javaab meN
waah waah khoob ghazal ka acha sher hai

aisaa bhii kyaa ki aap ke qaabil na ban sakuuN
maqbuul ho jo arz-e-muhabbat janaab meN
acha hai

:Abid: kii paarsaaii par uNglii uThii hai aaj
mumkin hai kal ko daaGh lage aaftaab meN!
waah kia tashbeehat haiN magar huzoor kisi ne kaha hai ke..itni na barhaa paakiye damaaN ki hikayat....:)


shukria
Mahtab Qadr
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Re: Ghazal: "yuuN umr kaT rahii hai ..."

Post by Hashmat Usmani »

moHtaram janaab e "Abid" saaHib,

kaise mizaaj haiN? ummeed hai ki ba_Khair hoNge.

aapkii Ghazal nazar nawaaz huii aur hamesha kii taraH yeh Ghazal bhii ustaadaanah rang liye huye haiN. aapke kalaam se maiN hamesha hii lutf andoz hotaa huN...kuchh aisa hii jadoo hai aapke kalaam meN.

yeh Ghazal bhii mujhe bahot hii ziyaada pasand aayii aur yaqeenan aapne Haq adaa kar diyaa aur chacha Ghalib kii rooH yaqeenan Khush huii hogii.

aapkii Ghazal ka har sher paaye ka hai. kisi ek she'r ko dusre par tarjeeH denaa naa-insaafii hogii. har she'r laa-jawaab hai, har she'r angooThii ka nagiina hai, har she'r Ghaalib kii yaad dilaataa huaa hai. ek kaamiiyaab Ghazal par merii jaanib se bahot bahot mubaarakbaadeN...gar qubool uftaad. aapke kalaam ka intezaar rahegaa.

Hashmat
Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob waah waah

Post by Abdullah Nazir »


Muhtarami o Azeezi
IRFAN ABID Saahib


Purkhuloos TAsleemaat,


Aapki ghazal paRhkar behad khushi houi. Saare ke saare ashAar bahut hii pasand aaye wah waah.

Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Shear No.6 ke is misreA per der tak souchnaa paRaa:

Ham ne bhii rakhdiyaa hei qadam us saraab meiN

Kiyoonke sarab meiN qadam rakhne waali ibaarat zaahiri taur per fauran samajh meiN nahiN aati hei. Jab us ko pahle misreA kii raushni mein ghaur kiyaa to baat saaf hougaii. Waah waah.


Aapka Mukhlis,

Nazir.

Image
Ibn-e-siddique
-
-
Posts: 219
Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
Location: Doha Qatar
Contact:

Post by Ibn-e-siddique »

Irfan bhai:

salaam arz hai

ye dekh ker bahot khushi hui ke aap ne khaaksaar ki farmaaish per Hazrat-e-ghalib ki zameen meiN ghazal pesh ki :)

aap ne is zameen ka khoob Haq adaa kia, lutf aaya paRh ker
meri jaanib se daad qubool kijiye

:Abid: kii paarsaaii par uNglii uThii hai aaj
mumkin hai kal ko daaGh lage aaftaab meN


vaah vaah vaah, bahot khoob janaab, kia maqta hai , daad qubool kijiye :)

amjad
Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Post by irfan abid »

Mahtab Sb, v'assalaam!

javaab meN taaKheer ke liye behad sharminda huuN. ummeed hai aap Khayaal nahiiN kareNge. aap ne jis faraaKh.dilii se is adnaa koshish ko saraahaa hai, us ne dil baaGh baaGh kar diyaa. meraa dilii shukriya qubuul farmaaiye!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Post by irfan abid »

Usmani Sb, aadaab!

aap soch rahe hoNge ki shaayad maiN ne aap kaa Khat faraamosh kar diyaa! :-) bhaaii, haalaat kuchh aise haiN ki na chaahte hue bhii taaKheer ho gayii. baharhaal, aap kii daad hamesha kii maanind baais-e-sad.masarrat rahii. bahut bahut shukriya!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Post by irfan abid »

Sara bahan, aadaab!

kaisii haiN aap? ye jaan kar Khushii huii ki Ghazal aap ko pasand aayii. navaazish kaa shukriya!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Post by irfan abid »

muhtaram Nazir Sb, aadaab!

pahle to merii jaanib se maazrat qubuul farmaaiye ki aap ke inaayat.naama kaa javaab is qadar taaKheer se de rahaa huuN. aap kii daad mere liye hameshaa faKhr-o-masarrat kaa baais rahii hai, aur rahegii. navaazish kaa shukriya!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Post by irfan abid »

mukarramee Amjad Sb, v'assalaam!

is Ghazal par aap ke navaazish.naama kaa javaab deegar mahaafil meN de diyaa thaa, is vajh se yahaaN kotaahii kar gayaa! baharhaal, taaKheer ke liye muaafii chaahtaa huuN. ye Ghazal Khaas taur par aap hii kii nazr thii, aur ye jaan kar bahut Khushii huii ki aap ne ise pasand farmaayaa. yuuN samajhiye ki mahnat kaam aayii. :-) navaazish kaa bahut bahut shukriya!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
Post Reply