ek Ghazal: maiN sharaabee naheeN!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

ek Ghazal: maiN sharaabee naheeN!

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-Anjuman: aadaab-o-tasleemaat!

chand din huwe mujh ko baiThe-baiThe apne bachpan meN sunee huyee ek Ghazal kaa ek miSra' yaad aa gayaa:

"sab ko ma'loom hai maiN sharaabee naheeN, koyee phir bhee pilaaYe to maiN kyaa karooN?"

jab is kaa Zikr maiN ne apne mehrbaan aur a'zeez dost Swami jee se kiyaa to unhoN ne bataayaa keh yeh Ghazal :Anwar: Mirzapuri kee hai aur apnee be-panaah yaad-daasht se nikaal kar unhoN ne is Ghazal ke chand ash,a'ar likh bheje jo darj-e-Zel haiN:

teree Soorat nigaahoN meN phirtee rahe, i'shq teraa sataaye to maiN kyaa karoon?
mere khaamosh rehne se pardah-nisheeN! tujh pe ilzaam aaYe to maiN kyaa karooN?

Husn aur i'shq donoN men tafreeq hai, kyaa karooN meraa donoN peh eemaan hai
gar Khudaa rooTh jaaYe to sajde karooN, gar sanam rooTh jaaYe to maiN kyaa karooN?

maiN ne Khaak-e-nasheman ko bose diYe, aur keh kar ke dil ko yeh samjhaa liyaa
aashiyanah banaanaa miraa kaam thaa, koyee bijlee giraaYe to maiN kyaa karooN?

shauq peene kaa mujh ko ziyaadah nah thaa, tark-e-taubah kaa koyee iraadah nah thaa
mujh peh tohmat nah rakh maiN sharaabee naheeN, woh naz^ar se pilaaYe to main kyaa karooN?

har chand keh yeh raNg-e-taGhazzul meree t^abee,a't se ziyaadah munaasibat naheeN rakhtaa hai lekin phir bhee jee chaahaa keh is zameen meN kuchh fikr karooN. chunaan.ch ek Ghazal ho gayee jo aap kee Khidmat meN pesh kar rahaa hooN. dekhiYe keh kisee qaabil hai bhee keh naheeN. apnee raaYe se nawaaz kar shukriyeh kaa mauqa' i'naayat keejiYe.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
============================================
GHAZAL

dil dukhaaYe kabhee,jaaN jalaaYe kabhee, har t^araH aazmaaYe to maiN kyaa karooN?
maiN use yaad kartaa rahooN har ghaRee, woh mujhe bhool jaaYe to maiN kyaa karooN?

Haal-e-dil gar kahooN maiN to kis se kahooN, aur zabaaN band rakkhooN to kyoN kar jiyooN?
yeh shab-e-imtiHaaN aur yeh soz-e-durooN, Khirman-e-dil jalaaYe to maiN kyaa karooN?

maiN ne maanaa keh koyee Kharaabee naheeN, par karooN kyaa t^abee,a't :gulaabee: naheeN
maiN sharaabee naheeN! maiN sharaabee naheeN! woh naz^ar se pilaaYe to maiN kyaa karooN?

soz-e-har-dard hai, saaz-e-har-aah hai, gaah be-kaif hooN, sarKhushee gaah hai
meree har aah meN ik nihaaN waah hai, i'shq jaadoo jagaaYe to maiN kyaa karooN?

kuchh ye Khud-saaKhtah apnee majbooriyaaN, kuchh zamaane kee sauGhaat mehjooriyaaN
aur us par qiyaamat kee yeh dooriyaaN, chain ik pal nah aaYe to maiN kyaa karooN?

mujh ko dunyaa se koyee shikaayat naheeN, jhooT bolooN miree aisee a'adat naheeN
yeh Haqeeqat hai yaaro! Hikaayat naheeN, be-sabab woh sataaYe to maiN kyaa karooN?

zeHmat-e-zeest hai daur-ai,yyaam hai, naa-muraadee miraa doosraa naam hai!
kyoN Gham-e-mustaqil meraa anjaam hai, jab qiyaamat yeh DhaaYe to maiN kyaa karooN?

Khud hee maiN a'ks hooN, Khud hee aa,eenah hooN, maiN balaa se zamaane peh z^aahir nah hooN
haaN! chhupooN gar maiN Khud se to kaise chhupooN, yeh Khalish jo sataaYe to maiN kyaa karooN?

shaa,i'ree meree "Sarwar", yeh t^arz-e-bayaaN, yeh taGhazzul, tarannum, yeh Husn-e-zabaaN
sab a't^aa hai zahe maalik-e-do-jahaaN! gar kisee ko nah bhaaYe to maiN kyaa karooN?
====================================

یاران اردو انجمن: آداب وتسلیمات
چند دن ہوئے مجھ کو بیٹھے بیٹھے اپنے بچپن کی سنی ہوئی ایک غزل کا ایک مصرع یاد آ گیا:
سب کو معلوم ہے میں شرابی نہیں، کوئی پھر بھی پلائے تو میں کیا کروں
جب میں نے اس کا ذکر اپنےمہربان اور عزیز دوست سوامی جی سے کیا تو انھوں نے بتایا کہ یہ غزل انور مرزا پوری کی ہے اور پھر اپنی بے پناہ یادداشت سے نکال کرتسلیمات اس غزل کہ یہ اشعار مجھ کو لکھ بھیجے
:
تیری صورت نگاہوں میں پھرتی رہے، عشق تیرا ستائے تو میں کیا کروں
میرے خاموش رہنے سے پردہ نشیں تجھ پر الزام آئے تو میں کیا کروں

حسن اور عشق دونوں میں تفریق ہے کیا کروں میرا دونوں پہ ایمان ہے
گر خدا روٹھ جائے تو سجدے کروں، گر صنم روٹھ جائے تو میں کیا کروں

میں نے خاک نشیمن کے بوشے دئے اور کہہ کر کے دل کو یہ سمجھا لیا
آشیانہ بنانا مرا کام تھا کوئی بجلی گرائے تو میں کیا کروں

شوق پینے کا مجھ کو زیادہ نہ تھا،ترک توبہ کا کوئی ارادہ نہ تھا
مجھ پہ تہمت نہ رکھ میں شرابی نہیں، وہ نظر سے پلائے تو میں کیا کروں

ہر چند کہ یہ رنگ تغزل میری طبیعت سے زیادہ مناسبت نہیں رکھتا ہے پھر بھی جی چاہا کہ اس زمین میں کچھ فکر کی جائے۔ چنانچہ ایک غزل ہو گئی جو آپ کی خدمت میں پیش کر رہا ہوں۔ دیکھئے کہ کسی قابل ہے بھی کہ نہیں۔ اپنی رائے سے نواز کرشکریہ کا موقع دیجئے۔

سرور عالم راز سرور
Attachments
mainsharaabee.gif
mainsharaabee.gif (32.36 KiB) Viewed 125 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
sajhashmi
-
-
Posts: 554
Joined: Thu Oct 23, 2008 7:40 am

Re: ek Ghazal: maiN sharaabee naheeN!

Post by sajhashmi »

Sarwar Saheb aur tamam Haazreen ko paishgi Eid mubarak
Old is Gold k miSdaaq Raaz saheb ney Anwer Mirzapuri ki aik yaadgar
ghazal peRhwa ker khoosh kerdia Swamijee ka bhi Shukria...gaahey gaahey
baaz khwaN eiN qissa e paareena raa.

Syed Anwer Jawaid Hashmi,Karachi,Pakistan
17th Septmber 2009(26th Ramadan Karachi)
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Re: ek Ghazal: maiN sharaabee naheeN!

Post by munir-armaan-nasimi »

dil dukhaaYe kabhee,jaaN jalaaYe kabhee, har t^araH aazmaaYe to maiN kyaa karooN?
maiN use yaad kartaa rahooN har ghaRee, woh mujhe bhool jaaYe to maiN kyaa karooN?

soz-e-har-dard hai, saaz-e-har-aah hai, gaah be-kaif hooN, sarKhushee gaah hai
meree har aah meN ik nihaaN waah hai, i'shq jaadoo jagaaYe to maiN kyaa karooN?

Khud hee maiN a'ks hooN, Khud hee aa,eenah hooN, maiN balaa se zamaane peh z^aahir nah hooN
haaN! chhupooN gar maiN Khud se to kaise chhupooN, yeh Khalish jo sataaYe to maiN kyaa karooN?

shaa,i'ree meree "Sarwar", yeh t^arz-e-bayaaN, yeh taGhazzul, tarannum, yeh Husn-e-zabaaN
sab a't^aa hai zahe maalik-e-do-jahaaN! gar kisee ko nah bhaaYe to maiN kyaa karooN?


Mohtaram Janab Sarwar A. Sarwar Saheb... Anwar Mirzapuri Saheb kii Zameen pe aapki ghazal behad pasand aayi. Ess Ghazal ko Pakistan ke "Sabri Brothers" ne bhi Qawwali ke tarz pe gaaya hai aur bohat hi popular hua hai.... Yon to mujhe puri ghazal pasand hai phir bhi mandarza bala ashaar bohat bohat aur bohat pasand aaye.

Taalib-e-dua,

munir armaan nasimi
Post Reply