Ghazal : “Jo Mujhe Tujh Se Juda Karti Hai”
Ahmad Ali Barqi Azmi
Sham’e ummeed jala karti hai
Dil meiN ek hashr bapa karti hai
Kabhi shola Kabhi shabnam ban kar
Khana e dil meiN raha karti hai
Sar se pa tak mujhe khud se bekhud
Us ki har ek adaa karti hai
Bad gumani ke siwa kuchh bhi nahiN
“ Jo mujhe tujh se juda karti hai”
Har ghaRi murid e ilzaam mujhe
KyoN woh be jurm o khata karti hai
Zindagi baar e amaanat hai meri
Apna jo haq hai ada karti hai
Yaad jab aati hai us ki Barqi
Zakhm e dil mera hara karti hai
Ahmad Ali Barqi Azmi
Sham’e ummeed jala karti hai
Dil meiN ek hashr bapa karti hai
Kabhi shola Kabhi shabnam ban kar
Khana e dil meiN raha karti hai
Sar se pa tak mujhe khud se bekhud
Us ki har ek adaa karti hai
Bad gumani ke siwa kuchh bhi nahiN
“ Jo mujhe tujh se juda karti hai”
Har ghaRi murid e ilzaam mujhe
KyoN woh be jurm o khata karti hai
Zindagi baar e amaanat hai meri
Apna jo haq hai ada karti hai
Yaad jab aati hai us ki Barqi
Zakhm e dil mera hara karti hai