agar aap nah hotay ----------hadiyah-e-na't

Hamd e Baari aur Naat eRasoolakram ke lye
Post Reply
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

agar aap nah hotay ----------hadiyah-e-na't

Post by yasir shah »

assalamoa'laikum

giraaN qadr qaari'een-e-karaam!
buzurg kyaa khoob farmaatay haiN SaHaabah raZiAllaahua'nhum koi kaam kartay hi yeh daiKh kar thay keh sunnat hay aur aaj ham koi kaam ChauRtay hi is liye haiN keh "SaaHib sunnat hi to hay "-kis qadar giraa huvaa maqaam hay yeh aur tis peh yeh da'waa hay keh 'aashiq haiN ham -

yeh sab a'laamaat-e-fuqdaan-e-a'zmat-o-maHabbat-e-rasool haiN jaisay keh mairay murshid HaZrat Maulaanaa MuHammad Hakeem Akhtar apnay bayaan ki ibtidaa maiN bayaan kartay haiN -yeh waaqi'ah-e-aboo t'aalib baGhaur sunnay se i'laaqah raKhtaa hay :
http://www.khanqah.org/audios/show/toob ... iat-090799

saath hi mairee t'araf se yeh aik saadah si koshish ,Allaah qubool farmaa,ay, paRhye- "shaayed keh utar jaa.ay tiray dil maiN miree baat":




نعت [/color]


ہم کہاں ہوتے اگر آپ نہ ہوتے طٰہٰ
دو جہاں ہوتے اگر آپ نہ ہوتے طٰہٰ
(صلٌ اللہ علیہ و اٰلہ سلٌم )



فصل گل نغمء بلبل تو بہت دور کی بات
گلستاں ہوتے اگر آپ نہ ہوتے طٰہٰ
(صلٌ اللہ علیہ و اٰلہ سلٌم )



آپ کے پاؤں نہ پڑتے تو زمیں ہوتی کیا
آسماں ہوتے اگر آپ نہ ہوتے طٰہٰ
(صلٌ اللہ علیہ و اٰلہ سلٌم )



آپ سے پہلے بھی عالم یہ دھواں ہی تو تھے
اب دھواں ہوتے اگر آپ نہ ہوتے طٰہٰ
(صلٌ اللہ علیہ و اٰلہ سلٌم )



کس طرح آپ پہ عشٌاق تصدٌق ہوتے
جسم و جاں ہوتے اگر آپ نہ ہوتے طٰہٰ
(صلٌ اللہ علیہ و اٰلہ سلٌم )
[/color]




___________________________________________________________________



ham kahaaN hotay agar aap nah hotay t'auhaa?
do jahaaN hotay agar aap nah hotay t'auhaa?
(Sallallaahu a'laihi va aalihi wa sallam)



faSl-e-gul naGhma-e-bulbul to bahut door ki baat
gulsitaaN hotay agar aap nah hotay tauhaa ?
(Sallallaahu a'laihi va aalihi wa sallam)



aap ke paaooN nah paRtay to zameeN hotee kyaa?
aasmaaN hotay agar aap nah hotay tauhaa?
(Sallallaahu a'laihi va aalihi wa sallam)



aap se pahlay bhi 'aalam yeh dhuvaaN hi to thay
ab dhuvaaN hotay agar aap nah hotay tauhaa
(Sallallaahu a'laihi va aalihi wa sallam)



kis t'araH aap peh u'shshsaaq taSadduq hotay?
jism-o-jaaN hotay agar aap nah hotay tauhaa?
(Sallallaahu a'laihi va aalihi wa sallam)[/color][/b]


___________________________________________________________



aakhir maiN aik guzaarish hay keh aaj juma' kaa din hay khoob durood bhaijiye aap ke naam ke saath aaN HaZrat Sallallaahu a'laihi va aalihi va sallam ki baargaah maiN pahuNchaa diyaa jaa.ay gaa -


yasir
User avatar
azeezbelgaumi
-
-
Posts: 420
Joined: Thu Apr 05, 2007 2:52 pm
Location: BANGALORE INDIA
Contact:

Re: agar aap nah hotay ----------hadiyah-e-na't

Post by azeezbelgaumi »

Subhanalla Yasir Bhai,

Naat bahut Khubsoorat takhleeq ki hai aap ne. Aap ishq-e-rasool ki gehraaiyouN meiN Doob kar Gauhar haay-e-giraNmaaya nikal laaye haiN. Is sa'aadat aasaa kaavish par mubarakbad pesh karta huN. Meri raye ko Mubaalegha aaraayee par mahmool na farmaNyeN. Sheir waaqayee Khub haiN.

Azeez Belgaumi
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Re: agar aap nah hotay ----------hadiyah-e-na't

Post by yasir shah »

azeezbelgaumi wrote:Subhanalla Yasir Bhai,

Naat bahut Khubsoorat takhleeq ki hai aap ne. Aap ishq-e-rasool ki gehraaiyouN meiN Doob kar Gauhar haay-e-giraNmaaya nikal laaye haiN. Is sa'aadat aasaa kaavish par mubarakbad pesh karta huN. Meri raye ko Mubaalegha aaraayee par mahmool na farmaNyeN. Sheir waaqayee Khub haiN.

Azeez Belgaumi
mukarramee Azeez SaaHib !
assalaamoa'laikum

jazakAllaah !aap ki HauSilah.afzaaee se mairaa dil baRh gayaa -tah-e-dil se mamnoon hooN-bas yeh aik Allaah vaalay ki SuHbat kaa acar hay keh is kaavish main kuch taaceer hay-


du'aago
yasir
Post Reply