nayaa saal khushiyon kaa paighaam laaey
Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi
nayaa saal khushiyon kaa paighaam laaey
khushee woh jo aaey to aakar nah jaaey
khushee yeh har ek shakhs koo raas aaey
muhabbat ke naghme sabhee ko sunaaey
rahe jazbae khair khwaahee salaamat
rahein saath mil jul ke apne paraaey
jo hain indinon door apne watan se
nah unko kabhee yaade gurbat sataaey
naheen khidmate khalq se kuchh bhi behtar
jahaan jo bhi hai farz apnaa nihaaey
muhabbat ke shamEn firozaan hon har soo
diyaa amn aor sulah kaa jagmagaaey
rahein log mil jul ke aapas meiN :Barqi:
sabhon ke dilon se kadoorat mitaaey
[/size]Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi
nayaa saal khushiyon kaa paighaam laaey
khushee woh jo aaey to aakar nah jaaey
khushee yeh har ek shakhs koo raas aaey
muhabbat ke naghme sabhee ko sunaaey
rahe jazbae khair khwaahee salaamat
rahein saath mil jul ke apne paraaey
jo hain indinon door apne watan se
nah unko kabhee yaade gurbat sataaey
naheen khidmate khalq se kuchh bhi behtar
jahaan jo bhi hai farz apnaa nihaaey
muhabbat ke shamEn firozaan hon har soo
diyaa amn aor sulah kaa jagmagaaey
rahein log mil jul ke aapas meiN :Barqi:
sabhon ke dilon se kadoorat mitaaey