seh maahee Mizraab: Jan 2010

Taazah bataazah adabi khabreN
Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

seh maahee Mizraab: Jan 2010

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-Bazm! tasleemaat!

seh maahee Mizraab kaa January, 2010 shumaarah "online" aa chukaa hai. guzaarish hai keh is ko http://www.mizraab.org par jaa kar Z^aroor dekheN aur apne Khayaalaat se Khaadim ko sarwarazi@yahoo.com par aagaah farmaaYeN. bohat nawazish ho gee.

Sarwar A. Raz
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: seh maahee Mizraab: Jan 2010

Post by sbashwar »

MoHtaram Sarwar A. Raz SaHeb
:salaam2:

Mizraab paRhne mein itna maho hogaya ke pan khana bhol gaya. Ye mere saath pehli bar hua hai.
1.Rasheed Ahmed Siddiqui Saheb ka mazmoon Asghar marhoom par bohat pasand ayaa.
2. Apka likha hua mazmoon Urdu kahavatein paRhkar dil baag baag hogaya. Ab waqiye kahwatein kam sunne ko milti hain.
3. Ghazliyat ka intekhab bhi bohat khoob hai.
4. Guzishta shumarey ka ehtemam dekh kar khushi hui.

Abhi bohat paRhna baqi hai.

Ek miyari peshkash par meri ba'taur e khas aap aur tammam mauneen ko dili mubarakbaad arz hai.

Mukhlis
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: seh maahee Mizraab: Jan 2010

Post by Sarwar A. Raz »

sbashwar wrote:MoHtaram Sarwar A. Raz SaHeb
:salaam2:

Mizraab paRhne mein itna maho hogaya ke pan khana bhol gaya. Ye mere saath pehli bar hua hai.
1.Rasheed Ahmed Siddiqui Saheb ka mazmoon Asghar marhoom par bohat pasand ayaa.
2. Apka likha hua mazmoon Urdu kahavatein paRhkar dil baag baag hogaya. Ab waqiye kahwatein kam sunne ko milti hain.
3. Ghazliyat ka intekhab bhi bohat khoob hai.
4. Guzishta shumarey ka ehtemam dekh kar khushi hui.

Abhi bohat paRhna baqi hai.

Ek miyari peshkash par meri ba'taur e khas aap aur tammam mauneen ko dili mubarakbaad arz hai.

Mukhlis
Salem Bashwar
biraadaram Bashwar saaHeb: wassalaam!

aap kee himmat-afzaayee mere liYe bohat baRee baat hai. Urdu waaloN meN a'am t^aur se kisee aur ke kaam se Khush hone aur us kee ta'reef karne kaa dastoor naheeN hai aur yeh nihaayat qaabil-e-afsos baat hai. ham ne doosree zabaan waaloN se mil-jul kar kaam karnaa, ek doosre kee HauSilah-afzaayee, SeHatmand tabaadilah-e-Khayaal, tanqeed ko ThanDe dil se bardaasht karnaa waGhairah naheeN seekhaa. so us kaa anjaam z^aahir hai. Mizraab kaa daaman har ek ke liYe khulaa huwaa hai lekin bohat kam dost aise haiN jo us ke liYe koyee cheez baGhair darKhwaast kiYe bhejeN. Khair, yeh to aisee cheez hai jis kaa i'laaj kisee ek ke bas kaa naheeN hai. aap jaise dard-mandoN se iltimaas hai keh isee t^araH Mizraab aur doosre risaaloN kee sarparastee karte raheN. shukriyah!

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: seh maahee Mizraab: Jan 2010

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Qiblah Sarwar SaaHib aadaab! :-)

MiZraab dekhaa jee khush hogeya. jaesa keh moHtaram Salim SaaHib ne zikr kiya hai. ab un ke ba'ad kehne ko kuch naheeN reha. baharHaal risaalah aap kee mehnat-e-shaaqah aor aap kee Urdudaostee ka muNh boolta cuboot hai. Allah aap ke jazbah jawaN rakhe. Aameen!

Muzaffar AHmad
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: seh maahee Mizraab: Jan 2010

Post by Sarwar A. Raz »

mukarramee Muzaffar SaaHeb: aadaab!

Zikr meraa mujh se behtar hai keh us meHfil meN hai!

yaad karne kaa bohat shukriyah. Mizraab aap ko pasand aayaa to meree i'zzat-afzaayee huyee. kaash aap hee bataaYeN keh Urdu waale kis t^araH mil-jul kar apnee zabaan kee Khidmat kar sakte haiN. maiN to har t^araH se ta,a'awun ke liYe taiyyaar hooN. inshaa Allah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Post Reply